Shawwaal Lafz ‘Shaulun’ se bana hai ya’ni Uthaana, Ooncha karna.
Is mahine me Hajj ki tayyaari shuru ki jaati hai.****************
Hadeeṡe Nabawi :Jo shakhs Ramazaan ke roze rakhe aur us ke baad Maah e Shawwaal ke 6 roze rakhe to use pura saal roza rakhne ke barabar ṡawaab milega.
(Muslim , Jild -3, Hadeeṡ -2758)
Note :
(1) Maah e Shawwaal ke 6 roze Mustahab hain aur Eid-ul-Fitr ke baad musalsal (lagaatar) 6 din tak bhi rakh sakte hain ya pure mahine me alag alag koi bhi 6 din ke roze rakh sakte hain.(2) Maah e Shawwaal ke 6 roze rakhne waale ko pura saal roza rakhne ke barabar ṡawaab tabhi milega jab pehle us ne Ramazaan ke pure roze rakhe ho. Sirf Maah e Shawwaal me 6 roze rakhne waale ko nahi.
Agar kisi uzr ki wajah se Ramazaan ka 1 ya zyada roze chhut gaye ho to pehle us ki qaza kar len phir us ke baad hi Shawwaal ke 6 roze rakhen.(3) Ulama pura saal roza rakhne ke baraabar ṡawaab ka bayaan is tarah karte hain ke ALLĀH ta’ala 1 neki ke badla 10 ata farmaata hai. Ramazaan ke 30 aur Shawwaal ke 6 roze milakar 36 roze honge. Jis ka sawaab 360 ke barabar ata farmaega. Aur Ramazaan ul mubarak ke roze me jaane anjaane me jo kotaahiya ho gai hai ya kami reh gai ho unhe apni rahmat se muaf farmaega. In shaa Allāh.
****************
Is mubarak mahine me Eid-ul-Fitr aati hai. Ramazaan ul mubarak ke baad rahmato aur ne’amto ka din.*****************
Maah e Shawwaal ka chaand (Eid-ul-Fitr ka chaand) dekhkar ‘Surah al-Lahab’ padhen.بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
تَبَّتْ يَدَا أَبِي لَهَبٍ وَتَبَّ
مَا أَغْنَىٰ عَنْهُ مَالُهُ وَمَا كَسَبَ
سَيَصْلَىٰ نَارًا ذَاتَ لَهَبٍ
وَامْرَأَتُهُ حَمَّالَةَ الْحَطَبِ
فِي جِيدِهَا حَبْلٌ مِنْ مَسَدٍBismillāh ir-Rahmān ir-Raheem.
Tabbat yadă abee lahabinw wa tabb.
Mă agnā anhu maaluhū wan a kasab.
Sayaslā naaran zaata lahab.
Wa-mra atuhū, Hamma latal hatab.
Fee jeedihaa hablum mim masad.Phir ye masnoon dua padhen :
ﺍﻟﻠَّﻬُﻢَّ ﺃَﻫِﻠَّﻪُ ﻋﻠَﻴْﻨَﺎ ﺑِﺎﻷَﻣْﻦِ ﻭﺍﻹِﻳﻤَﺎﻥِ ﻭَﺍﻟﺴَّﻼﻣَﺔِ ﻭﺍﻹِﺳْﻼﻡِ ، ﺭَﺑّﻲ ﻭﺭَﺑُّﻚَ ﺍﻟﻠَّﻪ ، هِلالُ رُشْدٍ وخَيْرٍ
Allāhumma ahillahu alayna bil amni wal eimaani was salaamati wal islaami Rabbi wa Rabbuk-Allāh hilaalu rushdin wa khayrin.Tarjuma :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aye ALLĀH is (mahine) ko hum par amn aur eimaan aur salaamati aur islaam ke saath , Mera Rab aur tera Rab ALLĀH hai ye chaand hidaayat aur khair waala ho.
(Tirmizi, Jild -2, Hadeeṡ -1376 /Hasan)***************
Maah e Shawwaal ke khaas din :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
1 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Muhammad Bukhari Mohaddeeṡ rahmatullāhi alaihi (Khartank, Samarqand / Uzbekistan);
1 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Fakhr-ud-deen Raazi rahmatullāhi alaihi (Herat / Afghanistan);
1 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Aarif Reogari rahmatullāhi alaihi (Reogar / Uzbekistan);
1 Shawwaal – Yaum e Urs Hazrat Khwaja Siraaj-ud-deen Uṡmaan urfe Akhi Siraaj rahmatullāhi alaihi (Gaur, Bengal);
1 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Jamaal-ul-Auliya rahmatullāhi alaihi (Kora Jahanabad, Fatehpur);
1 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Haafiz Abu Saeed Mujaddidi rahmatullāhi alaihi (Delhi);
4 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Badr-ud-deen Kaamil Qaadri Jilani rahmatullāhi alaihi (Vadodara, Gujarat);
5 Shawwaal – Yaum e Wisaal Ummul mo’mineen Hazrate Sawdah bint Zam’ah radiy-Allāhu ta’ala anha (Madeena munawwara);
5 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Uṡmaan Haarooni rahmatullāhi alaihi (Makka mukarrama);
5 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Muslih-ud-deen Saadi rahmatullāhi alaihi (Shiraz / Iran);
5 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Abdur Raheem Shaah urfe Qaazi Gudri Shaah Ṡaani rahmatullāhi alaihi (Ajmer / Rajasthan);
6 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Sayyed Taaj-ud-deen Abdur Razzaaq Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);
6 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Makhdoom Sharf-ud-deen Ahmad Yahyā Maneri rahmatullāhi alaihi (Bihar sharif, Bihar);
6 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Noor-ud-deen Mohammad Peer Satgor rahmatullāhi alaihi (Navsari, Gujarat);
7 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Uwais Qarni radiy-Allāhu ta’ala anhu (Salalah / Oman);
7 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Abu Hubaira Basri rahmatullāhi alaihi (Basra / Iraq);
7 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Abdul Azeez Mohaddeeṡ Dehlawi rahmatullāhi alaihi (Delhi);
7 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Baaba Kamaal Kirmani rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);
8 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Qaazi Chal Fir Shaah rahmatullāhi alaihi (Chittorgadh, Rajasthan);
10 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Mufti Muhammad Abdullāh Baloch Naeemi Shaheed rahmatullāhi alaihi (Karachi / Pakistan);
12 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Ahmad Ganj Khattu rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);
12 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Makhdoom e Gujarat Azeem-ud-deen Qaadri Jilani rahmatullāhi alaihi (Vadodara, Gujarat);
13 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Haaji Najm-ud-deem Sulaimāni Chishti rahmatullāhi alaihi (Fatehpur Shekhawati, Rajasthan);
14 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Huzaifa Mar’ashi rahmatullāhi alaihi (Basra / Iraq);
14 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Eisā Jundullāh Qaadri Shattaari rahmatullāhi alaihi (Burhanpur, Madhya Pradesh);
14 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed La’al Shaah Baaba Qaadri Jilani rahmatullāhi alaihi (Dhoraji, Gujarat);
15 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Ameer Hamza aur Shohada e Uhad radiy-Allāhu ta’ala anhuma (Madeena munawwara);
16 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Siraaj-ud-deen Mohammad Junaidi rahmatullāhi alaihi (Gulbarga, Karnataka);
16 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Rukan Shaah Wali rahmatullāhi alaihi (Okha, Gujarat);
17 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Makhdoom Shaikh Saarang rahmatullāhi alaihi (Barabanki, Uttar Pradesh);
17 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Maulawi Muhammad Abdul Qadeer Siddeeqi Qaadri Hasrat rahmatullāhi alaihi (Hyderabad, Telangana);
18 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Abu Daawūd, Sulaimān Mohaddeeṡ rahmatullāhi alaihi (Basra / Iraq);
18 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Ameer Khusru rahmatullāhi alaihi (Delhi);
19 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Ahmad Hankori Naagori rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);
19 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Makhdoom Shaikh Kaazim Shattaari urfe Hare Bhare Shaah rahmatullāhi alaihi (Delhi);
19 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Allama Maulana Mohammad Zareef Faizi rahmatullāhi alaihi (Ahmadpur Sharqia, Punjab / Pakistan);
21 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Qaazi Shaah Hammaad rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);
21 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Rukn-ud-deen Naqshbandi Alwari rahmatullāhi alaihi (Alwar, Rajasthan);
22 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Haaji Dost Muhammad Kandahari rahmatullāhi alaihi (Dera Ismāeel Khan / Pakistan);
23 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Ali Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);
23 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Baaba Taaj-ud-deen Sher sawaar rahmatullāhi alaihi;
23 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Peer Nizaam-ud-deen Chishti Fareedi rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);
24 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Ghaazi Saalaar Saahoo rahmatullāhi alaihi (Satrikh, Uttar Pradesh);
25 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaikh Saif-ud-deen Abdul Wahaab Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);
25 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Haaji Saaleh Muhammad Peer Ji Qaadri rahmatullāhi alaihi (Mumbai, Maharashtra);
27 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Abu Bakr Mohammad Kataani rahmatullāhi alaihi;
27 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Allama Mufti Fazle Rahmān Qaadri Madani rahmatullāhi alaihi (Madeena munawwara);
29 Shawwaal – Yaum e Wisaal Hazrat Sarmad Shaheed rahmatullāhi alaihi (Delhi).********
ALLĀH ta’ala is Maah e mubarak me us ke Habeeb sallallāhu alaihi wasallam ke sadqe me aur Ahle bait Aulia Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ko hidaayat ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sahi tareeqe se zyada ibaadat karne ki taufiq ata farmae aur Hamare nek amal qubool farmae aur In buzurgaan e deen ko isaal e sawaab karne ki taufiq ata farmae aur Islaam ka bolbala ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi aur izzat ata farmae aur Sab ki nek jaaiz muraado ko puri farmae aur Sab ko Ilm me, Amal me aur Rizq me barkat ata farmae.
Aur in baato ko yaad rakhkar us par amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aameen.
Month: March 2020
Fitnon Say Bhagna Deen Dari Hai
Roman Urdu :
Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Qareeb Hai Kay Musalman Ka Acha Maal Bakriyan Hongi, Jin Ko Lekar Wo Paharon Ki Chotiyon Aur Chatiyal Maidanon May Chala Jaye Takay Wo Apnay Deen Ko Fitnon Say Bacha Lay.
Sahih Bukhari : Jild No.1 : Hadees No. 18
Hadees Marfooh : Mukarrarat 13 : Muttafiq Alaih 5English Translation :
Narrated Abu Said Al-khudri: Allah’s Apostle Said, “a Time Will Come That The Best Property Of A Muslim Will Be Sheep Which He Will Take On The Top Of Mountains And The Places Of Rainfall (valleys) So As To Flee With His Religion From Afflictions.”
Kufar May Wapisi Ko Bura Samajhna Emaan May Dakhil Hai

Roman Urdu :
Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Jis Kisi May Ye 3 Batain Hon Gee Wo Emaan Ki Mithas Paye Ga :
- Wo Shakhs Jis Kay Nazdeek Allah Aur Uska Rasool Tamam Ma Siwa Say Zeyada Mehboob Ho.
- Wo Shakhs Jo Kisi Banday Say Sirf Allah Kay Liye Muhabbat Karay.
- Wo Shakhs Jo Emaan Naseeb Honay Kay Baad Kufar Ikhteyar Karnay Ko Aisa Bura Samjhay Jaisay Koi Aag May Dalay Janay Ko Bura Samajhta Hai.
- The One To Whom Allah And His Apostle Become Dearer Than Anything Else.
- Who Loves A Person And He Loves Him Only For Allah’s Sake.
- Who Hates To Revert To Disbelief (atheism) After Allah Has Brought (saved) Him Out From It, As He Hates To Be Thrown In Fire.”
Ahl-e-Emaan Ka Aamaal May Aik Doosray Say Zeyada Honay Bayan
Roman Urdu :
Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Jannat Walay Jannat May Aur Dozakh Walay Dozakh May Dakhil Ho Jayen Gay, Iskay Baad Allah Ta’ala Farishton Say Farmaye Ga Kay Jis Kay Dil May Raai Barabar Bhee Emaan Ho Usay Dozakh Say Nikal Lo. Pas Wo Dozakh Say Nikalay Jayen Gay Aur Wo Jal Kar Sayah Ho Chukay Hongay, Phir Wo Nehar-e-Haya Ya Nehar-e-Hayat May Dalay Jayen Gay Tab Wo Tar-o-Taza Ho Jayen Gay, Jis Tarah Dana Tar-o-Tazgi Kay Sath Pani Kay Sath Ugta Hai. aye Shakhs Kaya Tunay Nahi Dekha Kay Dana Kesa Sabz Konpal Zardi Mayel Nikalta Hai ? Iss Hadees Kay Aik Rawi Umar Nay Apni Aik Riwayat May Lafz Haya Ki Jaga Hayat Ka Lafz Aur Min Emaan Ki Bajaye Min Khair Riwayat Kiya Hai.
Sahih Bukhari : Jild No.1 : Hadees No. 21
Hadees-e-Qudsi : Mukarrarat 60 : Muttafiq Alaih 23English Translation :
Narrated Abu Said Al-khudri: The Prophet Said, ” when The People Of Paradise Will Enter Paradise And The People Of Hell Will Go To Hell, Allah Will Order Those Who Have Had Faith Equal To The Weight Of A Grain Of Mustard Seed To Be Taken Out From Hell. So They Will Be Taken Out But (by Then) They Will Be Blackened (charred). Then They Will Be Put In The River Of Haya’ (rain) Or Hayat (life) (the Narrator Is In Doubt As To Which Is The Right Term), And They Will Revive Like A Grain That Grows Near The Bank Of A Flood Channel. Don’t You See That It Comes Out Yellow And Twisted “
Haya Emaan Ka Juz Hai
Roman Urdu :
Nabi Kareem Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Aik Martaba Aik Ansari Sahabi Kay Paas Say Guzray Aur Unn Ko Dekha Kay Wo Apnay Baitay Ko Haya Kay Baray May Naseehat Kar Rahay Thay, To Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Kay Haya Kay Baray May Isko Naseehat Karna Chor Do Iss Liye Kay Haya Emaan May Say Hai.
Sahih Bukhari : Jild No.1 : Hadees No.23
Hadees Mutwatir, Hadees Marfooh : Mukarrarat 11 : Muttafiq Alaih 2English Translation :
Narrated ‘abdullah (bin ‘umar): Once Allah’s Apostle Passed By An Ansari (man) Who Was Admonishing To His Brother Regarding Haya’. On That Allah’s Apostle Said, “leave Him As Haya’ Is A Part Of Faith.” (see Hadith No. 8)





