1. “Mai tum me 2 badi Azeem chizen chodey jaraha Hun, agar tum Unko
thaame rakhoge to kabhi gumrah nahi hoge, wo 2 Cheeze aisi hain Har ek, dusri se ahem hai, Allah ki Kitab Quran aur Meri Itrat aur Ahle Bayt.”
2. “Hazrat Ali Alaihissalam farmate hain: Mai Quran ki har Aayat ke baareme jaanta hun ke wo kiske baare, kis jagah aur kis par naazil hui, beshak Mere Rab ne Mujhe bahot zyada samajh waala Dil aur faseeh Zuban ata farmayi hai.”3. “Hazrat Ali Alaihissalam ne farmaya: Mujhse Kitabullah ke baareme sawaal karo pas beshak koi bhi Aayat aisi nahi hai jiske baareme Mai ye na jaanta hun ke Wo din ko naazil hui ya raat ko, pahaad me Naazil hui ya maidan me.”
4. “Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke
Quran-e-Pak ki jitni Aayaat Hazrat Ali Alaihissalam ke haq me Naazil hui hain kisi aur ke haq me Naazil nahi hui.”5. “Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma riwayat karte hain ke Hazrat Ali Alaihisslam ke haq me Quran-e-Kareem ki 300 Aayaat Naazil huin.”
6. “Hazrat Umme Salma RadiAllahu Anha Farmati hain ke Maine Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue suna ke Ali aur Quran ka choli daaman ka saath hai. Ye Dono kabhi bhi juda nahi honge yahan tak ke Mere paas Hauz-e-Kausar par (ikatthe) aaenge.”
REFERENCES
1.Muslim(except “ek dusri se ahem”), Musnad Ahmed, Nasai, Tirmizi
2. Hilyatul Auliya, Tabqatul Kubra
3. Tabqatul Kubra
4. Tarikh, Ibne Asakir
5. Tarikh, Ibne Asakir
6.Imam Tabrani “al-Mujam al Awsat”