
*Ahle Bait۴ Se Mohabbat Karo*
Khuda Wande Quddus Ne Apne Mehboob Kareem Alehi Wa Salaatu Wa Tasleem Ko Irshad Farmaya ” Mehboob Aelaan Farma Dijiye K Hamne Tumhe Gumrahi Wa Zallalat Se Nikaal K Hidayat Ka Rasta Dikhaya Hai, Aur Ham Tujhse Apne Haq e Tableeg Ye Mangte Hai K Hamari Ahle Bait e Atthar۴ Se Mohabbat Karo Mawaddat Karo “
*قُل لَّآ أَسْـَٔلُكُمْ عَلَيْهِ أَجْرًا إِلَّا ٱلْمَوَدَّةَ فِى ٱلْقُرْبَ*
(سورۃ شوریٰ آیت ۲۳)
Sahaba e Karaam Rizwan Allahi Alehi Ajmain Ne Khuda Wande Taala Ka Ye Hukam Suna To Darbaar E Mustafa ﷺ Mein Arz Kiya
قَرَابَتُکَ ہَؤُلاءِ الَّذِینَ وَجَبَتْ عَلَیْنَا
مَوَدَّتُہُمْ ؟
Yaa Rasool Allah ﷺ Hamein Farma Diya Jaaye K Aapke Wo Kon Qareebi Hai Jinki Mohabbat O Mawaddat Ham Par Waajib Kar Di Gayi Hai?
Imam Ul Anbiya ﷺ Ne Irshad Farmaya :
“علی و فاطمہ والحسن والحسین وابناءھما”
Yaani *Ali۴، Fatimaس، Hasan۴ o Hussain۴ Aur Unke Bete*
________________________
Dusri Riwayat Mein Hai Sahaba Razi Allahu Taala Ne Arz Ki :
یا رسول اللہ صلی اللہ علیک وسلم من قرا بتک والذین نزلت فیھم الآیت
Yaa Rasool Allah ﷺ Wo Aapke Kon Qareebi Hai Jinke Haq Mein Ye Aayat Naazil Hui Hai?
To Imam ul Anbiya ﷺ Ne Farmaya “علی و فاطمہ و ابنا ھما”
Yaani *Ali۴، Fatimaس، Aur Unke Bete۴*
Refrence :
1.Tafseer e Jala Leen Misri Vol.2 Pg.32
2.Tafseer e Madarik Vol.4 Pg.105
3.Tafseer e Kabeer Vol. 7 Pg.390
4.Tafseer Ibn e Jareeraj 25 Pg. 14
5.Tafseer Khazan Malam Vol.4 Pg. 122
6.Tafseer Saadi Vol.1 Pg.142
7.Tafseer Haqqani Vol.3 Pg.118