
Hazrat Umar ki Ahle Bayt-e-Athaar se Mohabbat!
“Sayyeduna Farooq-e-Aazam RadiAllahu Anhu ke Daur-e-Khilafat me jab Iran fatah hua maal-e-ganimat aaya aur Hazrat Sheharbano bhi aayin. Badshah Yazdgard ki Beti, maal-e-ganimat ke saath jo kaidi banke aaye unme Wo bhi aayin. Us waqt naam Unka Shah-e-Jahaan tha. To baithi hui thin to itna Husn tha Noor tha kehte hai ke Madina ke Aurato ki Aankhe chundiyagayi!
Sayyeduna Farooq-e-Aazam jab aaye Maal-e-Ganimat taqseem karne aur faisla karne keliye to Badshah Yazdgard ki Beti Hazrat Sheharbano ne Chehra chupa liya aur Apne baap ko bura kehne lagin ke baap ki galtiyo ki wajah se ye waqt hamare upar aana tha ke aaj kaidi ban gaye. Sayyeduna Farooq-e-Aazam ne farmaya Beti nahi, Aapke saath Izzat ka Sulook hoga baap ko bura na kaho.
To fir khade hogaye Farooq-e-Aazam ke Hasina-e-Aalam hain Jinke saamne Madina ki Shehzadiyan sar aur chehre chupa rahi hain, Iske liye SHEHZADA kaunsa chuna jaaye? Sheharbano kiske Aqd me di jaaye?
Fir Sayyeduna Farooq-e-Aazam ne Hazrat-e-Sheharbano ka Nikah Imam-e-Hussain se kiya Apne Bete se nahi kiya!! Imam Hussain pe haath rakhdiya! Chahte to Apne Bete ko bhi de sakte they, magar saari Aalam ki Hasina thin, Shehanshah Yazdgard Badshah-e-Iran ki Beti thin. To kaha Iske liye fir Kainat ka koi Shehzada hona chahiye aur Imam Hussain se Nikah karwa diya!
To Hazrat Sheharbano Imam Hussain ki Zouja bani, ye Ata-e-Farooq e Aazam thi! Taksim-e-Farooq e Aazam thi ke Hazrat Sheherbano ka Nikah Imam Hussain se hua, Unke Batan se Imam Zainul Aabideen hue aur Qul 9 Imam Paida hue. 12 Aaimma-e-Ahle Bayt me se 9 Imam Jis Batan aur Nasab se Paida hue hain Wo Maa ata ki hui hai Farooq-e-Aazam ki Imam-e-Hussain ko!!”
Alaihim Afdalus Salawatu was-Salaam
RadiAllahu Anhum Ajmaeen
Reference: 📚 Shia book
Abu Jafar al Kaleeni, Usool ul Kafi, page 296
Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim.