Hadith Nabi Pakﷺ : Jo Tum Se Ladega Mein Us Se Ladunga.

“Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husain سلام الله عليها Se Farmaya :
Jis Se Tum Ladoge Meri Bhi Us Se Ladaayi Hogi, Aur Jis Se Tum Sulah Karoge Meri Bhi Us Se Sulah Hogi.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Imam Ibn Majah Ne Riwayat Kiya Hai.

Aik Aur Riwayat Me Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husain عَلَيْهِمُ السَّلَام Kee Taraf Dekha Aur Farmaya :
Jo Tum Se Ladega Mein Us Se Ladunga, Jo Tum Se Sulah Karega Mein Us Se Sulah Karunga (Ya’ni Jo Tumhara Dushman Hai Woh Mera Dushman Hai Aur Jo Tumhara Dowst Hai Woh Mera Bhi Dowst Hai).”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/699, Raqam-3870,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/52, Raqam-145,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/434, Raqam-6977,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/378, Raqam-32181,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/161, Raqam-4714,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/442,

Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/193, Raqam-230.]

Leave a comment