
TAQDEER ki definition yeh hai k ALLAH ney apny ilm janty huay jo kuch ilmul-kitaab(loh-e-m ehfooz main) likh dia hai, jo bhi insan sey kia, yan kerna hota hai yeh sub taqdeer main likha hota hai. Types:
Taqdeer ki 3 types hoti hain:
1 -Taqdeer-e-Mubrum: Yeh taqdeer ki aisi type hai k es main insan k liay jo kuch bhi likha hota hai us main tabdeeli ki koi bhi surat nahi hoti, jeisy moat ka waqt waghera
2-Taqdeer-e-Mualaq Mahaz: Es main jo cheezain likhi hoti hain us main ALLAH ney option rakh hoti hai ke insan kisi moqa per dua waghera k zariyay es ko tabdeel kerwa sakta hai.
3-Taqdeer-e-Mualaq Shabib-e-Mubrum: Es main jo cheezain likhi hoti hain un main bhi tabdeeli kerwai ja sakti hai, laikin es tabdeeli ka ikhtiyar her insan ko nahi hota, matlab yeh taqdeer AULIYA-o-saleheen ki dua sey badli ja sakti hai, aam insan ki dua sey nahi.
Aaj kal logon main yeh ghalat fehmi hai k ager taqdeer main ALLAH ney kuch likha tha tu es main insan ka kya kasoor hai, kyun k ager koi gunah uski taqdeer main likha tha tou wo tou us ney kerna he tha. Tou es ka jawab yeh hai k ALLAH ney likha tub aap ney aisa kia yeh sahi nahi, bal k sahi yeh hai k aap aisa kerny waly they aur ALLAH ilm-e-gheib ko janany wala hai, lehaza Allah ney apny ilm sey jana k aap kya kerain gey aur aap ki taqdeer main likh dia, lehaza aap aisa kerny waley they es liay ALLAH ney aisa aap ki taqdeer main likha. Eski misal aisi he hai jeisy koi doctor kisi dawai per
expiry date likh deita hai, tou jub dawai expire ho gi tou kya es liay hogi kyun k doctor ney likha tha, hergiz nahi, bal k doctor na bhi likhta tou es dawai ney apny waqt per expire ho jana tha.