Hadith Aayat-E-Mubahilah

“Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Jab Aayat-E-Mubahilah :
“Aap Farma Dein Aawo Hum Apne Beton Ko Bulaate Hain Aur Tum Apne Beyyton Ko Bulaao.”
Naazil Huwi To Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husain عليهما السلام Ko Bulaaya, Phir Farmaya :
Ya Allah ﷻ!
Yeh Mere Ahl(-E-Bait) Hain.”

Is Hadith Ko Imam Muslim Aur Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Farmate Hain Ki Yeh Hadith Hasan Sahih Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1871, Raqam-2404,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/225, Raqam-2999,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/185, Raqam-1608,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/163, Raqam-4719,

Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/185, 186, Raqam-221.]

Advertisement

Hadith on Fazail e Ahle Bayt

“Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Parwardah Hazrat Umar Bin Abi Salmah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hain Ki Jab Hazrat Umme Salmah RadiyAllahu Ta’ala Anha Ke Ghar Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Par Yeh Aayat :
Aye Ahl-E-Bait !
Allah To Yahi Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah) Kee Aaludgi Door Kar De Aur Tum Ko Khoob Paak Wa Saaf Kar De.”
Naazil Huwi To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Sayyidah Fatimah Aur Hasnain Karimain Salam-ul-Allah Alayhim Ko Bulaaya Aur Unhein Aik Kamli Me Dhaanp Liya.
Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Pichhey They, Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Unhein Bhi Kamli Me Dhaanp Liya, Phir Farmaya :
Aye Allah ﷻ!
Yeh Mere Ahl-E-Bait Hain, Pas In Se Har Qism Kee Aaludgi Door Farma Aur Inhein Khoob Paak Wa Saaf Kar De.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Farmaya Ki Yeh Hadith Hasan Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/351, Raqam-3205,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/699, Raqam-3871,

Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/186, 187, Raqam-222.]