Youm e Wisal Sayyida Fatimah Zahra Salamullah Allaiha

medinaSyeda Fatima Zahra (سلام اللہ علیہا)

Huzoor ko Jinse sabse zyada Mohabbat hai, Jo Huzoor ke is duniya ki Markaz-e-Mohabbat hain, Huzoor ko Jinse baypanah Pyaar aur Jinhe Huzoor se baypanah Pyaar hai, Jinki Raza se Allah Razi hota hai, Jinki narazgi se Khud Allah naraz hota hai. Wo Jinhe Huzoor ne Apni Jaan aur Dil karar diya. Quran ne Jinki Paaki ka Aylan kiya aur Quran ne Jinki Mohabbat ko Farz kiya.
Huzoor ki Bargah me jo saare Aulia ka Waseela hain wo Sayyeda, Zahida, Tayyaba, Tahira, Ummu Abeeha, Afdalul Bashar Ba’adaz Anbiya, Hazart-e-Sayyeda-e-Kainat Khatoon-e-Jannat Sayyeda Fatimah tuz Zahra Salamullahi Alaiha ka Aaj Youm-e-Wisaal hai.

Ummul Momineen Sayyeda Aaisha Siddiqa Salamullahi Alaiha riwayat farmati hain ke Mai Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ghar me maujud thi Sayyeda Fatimah Salamullahi Alaiha Tashreef laayi. Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unse Sargoshi farmayi (yaani dhire se kuch kaha) to Aap Rone lag gayi. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne dobara Sargoshi farmayi to Aap Khushi se Hasne lag gayin!
Ummul Momineen farmati hain ke Mai Unse pucha ke aajse pehle Maine gum aur Khushi ko itne kareeb nahi dekha, Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Aapse kya farmaya. Sayyeda-e-Kainat ne farmaya Mai Allah ke Rasool ka Raaz nahi bata sakti.
Fir kuch mahine baad Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam is duniya se zahiri Wisaal hogaya tab Ummul Momineen ne dobara Aapse pucha to Sayyeda-e-Kainat Salawatullahi Alaiha ne farmaya ke Pehle jab Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Sargoshi farmayi to usme kaha ke Mai jald is duniya se jaraha hun. Bus Huzoor ki Judayi ki khabar ne Mujhe rula diya. Uske baad dobara Sargoshi ki to farmaya ke: Kya Tum is baat par raazi nahi ke Meri Ahle Bayt me se sabse pehle Tum Mujhse Aakar Milogi! Bus Huzoor se Mulaqat ki Khushkhabari se Mera Gum jata raha aur Mai Hasne lag gayi.

Aur Waisa he hua. Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Wisaal Mubarak ke 6 Mahine baad Sayyeda-e-Kainat Salamullahi Alaiha Apne Babajaan se Ja Milin.

Ye Aulia ka tariqa hai hamesha ke jab bhi Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Bargah me arz karna ho to pehle uski darkhast Sayyeda-e-Kainat ki Bargah me karte hain aur fir Aapke Waseele se Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Bargah me arz karte hain!

Al Fatiha

Allahumma Salle Ala Sayyedatina Fatimah wa Ala Abeeha wa Ummiha wa Ba’aleeha wa Baneeha wa Bintiha wa Ahle Baytiha wa Baarik wa Sallim

طیبہ طاہرہ سیدہ فاطمۃ الزہراء سلام اللہ علیہا*

پڑا ہوں در پہ تیرے مثلِ کاہ یا زہرا​
ملے فقیر کو خیراتِ جاہ یا زہرا​

ہے مرتضی تیرے شوہر، تو مصطفی بابا​
زہے یہ اوج و شرف ،عز و جاہ یا زہرا​

ملے جو اسکی اجازت مجھے شریعت سے​
تو تیرا در ہو میری سجدہ گاہ یا زہرا​

خدا کو میں نے سدا لا شریک مانا ہے​
خدا کے سامنے رہنا گواہ یا زہرا​

ہیں جن کے نور سے امت کے روزو شب روشن​
حسن حسین تیرے مہر و ماہ یا زہرا​

*تیرے حسین کا کردار دیکھ کر اب تک​
پکارتے ہیں ملک واہ واہ یا زہرا​

درود تجھ پہ ہو مصداقِ بضعۃ منی​
سلام تجھ پہ ہو گیتی پناہ یا زہرا​

ہیں تیری آل سے پیرانِ پیر محی الدین​
جو اولیاء کے ہوئے سربراہ یا زہرا​

بھروں تو کیسے بھروں دم تیری غلامی کا​
بہت بڑی ہے تیری بارگاہ یا زہرا​

کہاں تو ایک نجیبہ عفیفہ پاک نظر​
کہاں میں ایک اسیرِ گناہ یا زہرا​

تو بادشاہِ دو عالم کی ایک شہزادی​
میں اک غریب تیری گرد راہ یا زہرا​

اجڑ چکا ہوں غم زندگی کے ہاتھوں سے​
کھڑا ہوں در پہ بحالِ تباہ یا زہرا​

ہوں معصیت کی سیاہی ملے ہوے منہ پر​
کسےدکھاؤں یہ روئے سیاہ یا زہرا​

میں گو بُرا ہوں مگر تیرا وہ گھرانہ ہے​
کیا بُروں سے بھی جس نے نباہ یا زہرا​

بھری ہیں در سے ہزاروں نے جھولیاں اپنی​
میری طرف بھی کرم کی نگاہ یا زہرا​

نہ پھیر آج مجھے اپنے در سے تو خالی​
کہ تیرے بابا ہیں شاہوں کے شاہ یا زہرا​

جیوں تو لے کے جیوں تیری دولتِ نسبت​
مروں تو لے کے مروں تیری چاہ یا زہرا​

بروز حشر نہ پرسا ہو جب کوئی اسکا​
ملے نصیر کو تیری پناہ یا زہرا

Leave a comment