Hadeeth Ṭabarānī fī al-Muʻjam al-kabīr, 08/228, raqam: 7895

Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā:


“Hamāre Bado Kī Wajh Se Hī Ham Mai̇ Khair-o Barkat Hai. Pas Woh Ham Mai Se Nahīṅ Jo Hamāre C̥hot̥oṅ Par Raḥam Nahīṅ Kartā Aur Hamāre Bar̥oṅ Kī Shān Maiṅ Gustāḳhī Kartā Hai
.

.
[Ṭabarānī fī al-Muʻjam al-kabīr, 08/228, raqam: 7895.]

Murshid_e_Kaamil_ki_Zaroorat

Murshid_e_Kaamil_ki_Zaroorat
_
Quran Majeed Me Allah Farmata Hai ::
👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇
“AR’RAHMANU FAS’AL BIHI QABIRAN”
Tarjuma :: Rehman ka Pata Kisi Ba’Khabar
Se Pooñcho, Jo Usey Jaanta Ho…
Reference :: (Surah Furqan, Ayat No.59)
_
Sarkar-e-Do-Aalam ﷺ Ne Farmaya ::
👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇
Pehle Rehbar Talash Karo (Jab Mil Jaye),
Phir Us Raastey Par Chalo…
_
Syedna Gaus e Aazam۴ Ne Farmaya ::
👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇
Murshid Ki Talash Is’liye Zaroori Hai Ke,
Us’ki Tarbiyyat Me Reh’kar Insaan Aesi
Rooh Haasil Kar’le, Jo Dil ko Zinda Karde,
Aur Mureed Apne Rab Ki Marifat Haasil
Karne Me Qaamyaab Ho’jaye…
_
Allama Iqbal (Q.s) Ne Farmaya ::
👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇
Mai Rasta Nahi Puchhta, Sathi Dhundhta Hu,
Kyunki, Kehte Hai Pehle Rafiq Baad Me Tareeq..
_
Baba Bulleh Shah (Q.s) Ne Farmaya ::
👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇
Murshid Rafiq Raah ko Kehte Haiñ,
Chunan’che Huzoor-e-Pak ﷺ Ka
Farmaan Hai, Pehle Rafiq Talash
Karo Phir Raah Chalo…
_
Maulana Jalaluddin Rumi (Q.s) Ne Farmaya:
👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇
Tareeqat ki Raah Ikhtiyaar Karne Ke Liye
Kaamil Rafiq (Murshid) Ka Tawassal
Ikhtiyaar Kar…, Yeh Safar Bagair
Peer ke Tay Nahi Ho Sakta…
_ —————————————————————–
Murshid-e-Kamil ki Nigah Qalb (Haaqiqi Dil)
ko Shaffaf (Saaf) Rakhne ke Liye Sab se
Zyaada Zaroori Hai…
_
Murshid Hee Saaf Dil ka Nigehbaan Hai…
_
Agar Murshid Na Ho Tou Insaan ki Apne Dil
ko Paak o Saaf Rakhne ki Tamaam Koshish
Na Kaafi Rahegi…
_
Duniya Rang Badal-Badal kar Insaan
Ko Gunaahoñ ke Jaal Me Phaans Legi..,
Hasad, Takabbur, Hawas, Kine ki Qalbi
Bimaariyañ Baar-Baar Insaan Par Hamla
Karegi.., Insaan kab Tak Akela In’se Ladta
Rahega…???
_
Is’liye Qalb ko Allah ki Muhabbat ke liye,
Hamesha Paak o Saaf Rakhne ke Liye
Murshid-e-Kamil ki Nigehbani Behad
Zaroori Hai..!!
_

ROZA KI HAQEEQAT

ROZA KI HAQEEQAT

SARKAR MOEENUDDIN CHISHTI AJMERI (r.a) Farmate Hain Ki
“Haqeeqi ROZA ye hai ki insaan apne dil ko tamaam deeni wa duniyawi khwahishat se band rakhe, kyuki khwahishate deeni Maslan hoor wa bahisht wagaira Abd wa Mabood ke darmiyan hijaab hai, Banda apne Mabood ka haqeeqi wisaal hasil nahi kar sakta jab tak khwahish jahan wa maal apne dil se tark na kar de aur khwahishe nafsani to sarasar shirk hai…
Gair Allah ki taraf fikr wa khayaal roza haqeeqi ko todne wali chize’n hain. Roza haqeeqi tab durust hoga jab insaan apni nafsani khwahishat ko khatam kar de. Roza Haqeeqi ka Iftar Deedar-e-Ilahi hai…Momino ka ye Hqeeqi Roza hamesha qayam rahta hai…

Huzoor Sallallaho Alaihe Wa Sallam ne irshad farmaya ke –
“Ay Umar! Roza Haqeeqi ki ibteda wa inteha de…

Sarkare do alam ne farmaya Haqeeqat ka roza rakhne wale Ke Liye Do Khushiyan Hain Ek Roza kholte Waqt aur dusra Allah Tayla ke Deedar usse Mulakat ke Waqt!

Ae umar! Aam Logon ke Roze Mein pahle Roza hai aur Aakhir Mein Roze ka kholna lekin Haqeeqat ke Roze Mein pahle Roze ka kholna hai aur Aakhir Mein Roza dekhe Allah Ki Yaad Mein Doob kar sirf Allah Ko chahane wale aur Allah Ki Taraf Safar Karne Wale Hamesha Hi roze main roze Se rehte hain wo Kisi bhi waqt Roza nahi kholte Kyon Ki Haqeeqat ke Roze ke liye Sarath nahi hai ke Roza khola Jaye ya kabhi Roza rakhe aur Kabhi Roza khole Haqeeqat ka roza rakhne wala to hamesha Hi roze Se rehta hain/

Sahih Muslim: jild-2, Kitab Al masajid wa mawazi As salat 5, hadith no. 1487

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺‏‏‏‏دَّثَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ بِشْرٍ الْعَبْدِيُّ، حَدَّثَنَا زَكَرِيَّاءُ بْنُ أَبِي زَائِدَةَ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الْمَلِكِ بْنُ عُمَيْرٍ، عَنْ أَبِي الْأَحْوَصِ، قَالَ: قَالَ عَبْدُ اللهِ: «لَقَدْ رَأَيْتُنَا وَمَا يَتَخَلَّفُ عَنِ الصَّلَاةِ إِلَّا مُنَافِقٌ قَدْ عُلِمَ نِفَاقُهُ، أَوْ مَرِيضٌ، إِنْ كَانَ الْمَرِيضُ لَيَمْشِي بَيْنَ رَجُلَيْنِ حَتَّى يَأْتِيَ الصَّلَاةِ»، وَقَالَ: «إِنْ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَلَّمَنَا سُنَنَ الْهُدَى، وَإِنَّ مِنْ سُنَنَ الْهُدَى الصَّلَاةَ فِي الْمَسْجِدِ الَّذِي يُؤَذَّنُ فِيهِ»

🌺हज़रत अबदुल्लाह ( बिन मसऊद रज़ि अल्लाह अन्हु ) फरमाते हैं : साथीयों समेत मैं ने ख़ुद को देखा की नमाज़ से कोई शख़्स पीछे ना रहता, सिवाए मुनाफ़िक़ के, जिसका नफ़ाक़ मालूम होता या सिवाए बीमार के और ( बसा-औक़ात ) बीमार भी दो आदमीयों के सहारे से चल कर आ जाता यहां तक की नमाज़ में शामिल हो जाता। उन्होंने कहा: रसूल अल्लाह ﷺ ने हमें हिदायत के तरीक़ों की तालीम दी और हिदायत के तरीक़ों में से ऐसी मस्जिद में नमाज़ पढ़ना भी है जिसमें अज़ान दी जाती हो।

🌺Hazrat abdullah ( bin masood ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ ) farmate hain: sathiyon samet maine khud ko dekha ke namaz se koi shakhs peechay nah rehta, siwaye munafiq ke, jiska nifaq maloom hota ya siwaye bemaar ke aur ( basa awqaat ) bimaar bhi do admion ke sahare se chal kar aa jata yahan tak ke namaz mein shaamil ho jata. unhon ne kaha: rasool Allah ﷺ ne hamein hedayat ke tareeqon ki taleem di aur hedayat ke tareeqon mein se aisi masjid mein namaz parhna bhi hai jis mein azaan di jati ho.

🌺حضرت عبداللہ (بن مسعود ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ) نےکہا : ساتھیوں سمیت میں نےخود کو دیکھا کہ نماز سے کوئی شخص پیچھے نہ رہتا ، سوائے منافق کے ، جس کا نفاق معلوم ہوتا یا سوائے بیمار کے اور ( بسا اوقات ) بیمار بھی دو آدمیوں کے سہائے سے چلتا آ جاتا یہاں تک کہ نماز میں شامل ہو جاتا ۔ انھوں نے کہا : رسول اللہ ﷺ نےہمیں ہدایت کے طریقوں کی تعلیم دی اور ہدایت کے طریقوں میں سے ایسی مسجد میں نماز پڑھنا بھی ہے جس میں اذان دی جاتی ہو ۔

🌺Abdullah (bin Mas’ud) ra reported: I have seen the time when no one stayed away from prayer except a hypocrite, whose hypocrisy was well known, or a sick man, but if a sick man could walk between two persons (i.e. with the help of two persons with one on each side) he would come to prayer. And (further) said: The Messenger of Allah ( ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم ‌ ) taught us the paths of right guidance, among which is prayer in the mosque in which the Adhan is called.

📚 _*Sahih Muslim: jild-2, Kitab Al masajid wa mawazi As salat 5, hadith no. 1487*
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●