Rehmat e Ramzan day 6

Aurat Apne Shohar ke liye Banao Singhar Kare!

cute-mustlime-couple29

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se Arz kiya gaya Ya RasoolAllah! Behtareen Aourat konsi hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Behtareen Aourat wo hai ke:

❶ Jab us ki taraf us ka Shohar dekhe to wo Shohar ko khush karde.
❷ Jab wo use kisi baat ka hukum de to Shohar ki Ita’at kare.
❸ Jaan aur Maal ke Muamle mein shohar jis cheez ko Na’pasand karta ho us mein us ki Mukhalifat na kare.”

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa’i :: Vol. 2 :: Hadith 1143, 3231]

Muhaddiseen ne likha hai ke Behtareen Aourat apne Shohar ko char tarah se khush rakhti hai: (1) Apni deendari se, (2) Apne akhlaq se, (3) Apne Mua’mlat se aur (4) Apne banao singhar se, Lehaza Musalman Aourat ko chahiye ke Shari’at ki hudood mein rahte hue apne Khawind ke liye banao singhar kare aur Apna banao Singhar aur Zeenat Na’mahram Mardon ko dikhati na phire.

●══════════════◄►═════════════●

Narrated Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu: It was narrated that Abu Hurairah said: “It was said to the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam): ‘Which woman is best?’ He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said:

❶ ‘The one who makes him happy when he looks at her,
❷ Obeys him when he commands her, and
❸ She does not go against his wishes with regard to herself nor her wealth.’”

[Sunan an-Nasa’i :: Vol. 4 :: Book 26 :: Hadith 3233, 3231]

Ali Imam-e-Mubeen

Ali Imam-e-Mubeen

Hazrat Ibne Abbas Se Riwayat Hai Jab Yeh Aayat Sharif

“Hum Ne Har Cheez Ko Imam-e-Mubeen Mein Jama Kar Diya Hai”

(Sura Yaseen Aayat-12)

Naazil Hui To Hazrat Abu Bakr Or Umar Kharey Huwey Or Arz Karney Lagey Yaa Rasool-ul-Allah (s.a.w) Imam-e-Mubeen Se Kya Maqsood Or Murad Hai?

Kya Iss Se Murad Torait Hai?

Aap (s.a.w) Ne Farmaya Nahi

Unhon Ne Keha Phir Hatmun Iss Se Murad Qur’aan Hoga

Aap (s.a.w) Ne Farmaya Nahi

Issi Aasna Mein Ali (a.s) Wahaan Aa Gaye Rasool-e-Akram (s.a.w) Ne Un Ki Taraf Ishaara Kiya Or Farmaya

“Yahi Wo Imam-e-Mubeen Hai Jiss Mein Khuda Ne Har Cheez Ka Elm Rakh Diya Hai Beshak Haqiqi Taur Par Woh Shaks Khushbakht Or Sa’adatmand Hai Jo Ali (a.s) Ko Dost Rakhta Ho Or Haqiqi Maani Mein Gumraah Or Badbakht Wo Hai Jo Meri Zindgi Mein Or Merey Baad Ali (a.s) Ko Dushman Rakhta Ho.”

(Ref:Fazail-e-Ahle Bait a.s, J.1, Pg.161)

Bughz E Ali

Bughz E Ali

Hazrath Abdullah Bin Abbas Raziallaho An Farmate Hai’n

ALLAH TAALA Ne Bani Israiel Se Unki Baadshahat AMBIYA E KIRAAM Alaihimussalaam Ke Saath Unke Bure Sulook Ki Wajeh Se Chheen Li

Aur Beshak ALLAH TAALA Is Ummat Se Uski Baadshahat Ko ALI Alayhis Salaam Ke Saath Bugz Ki Wajeh Se Chheen Lega…!

Ref.
Sunan E Dailami,Hadees No:1384