Baitullāh ka bayaan

38612343_1352265351574652_2491635271439745024_n

Baitullāh ka bayaan :

Qur’an :
3 Surah Aale Imraan, Aayat 96, 97 :

Beshak (ibaadat e ilāhi ke liye) sab se pehla ghar jo logo ke liye banaaya gaya wo hi hai jo Makka me hai (jo) barkat waala hai aur (jis me) saare jahaan waalo ke liye hidaayat hai.
Us me khuli nishaaniya hain Maqaam e Ibrāheem (bhi un nishaaiyo me se ek) hai, Jo us me daakhil ho gaya amaan paa gaya.

******************
Ka’aba shareef ko ‘Baitullāh’ kaha jaata hai ya’ani ALLĀH ka ghar.
Dunya ke tamaam musalman Ka’aba shareef ki taraf rookh karke namaaz padhte hai aur isi ka tawaaf karte hain.

**************
 Baitullāh shareef par roz 120 rahmaten naazil hoti hai.

Jis me 60 rahmaten Tawaaf karne waalo ke liye,
40 rahmaten waha Namaaz padhne waalo ke liye,
Aur 20 rahmaten Ka’abatullāh ko dekhne waalo ke liye hoti hai.

**************
 Haram e Makka me 1 neki ka ṡawaab 1 laakh neki ke baraabar hai aur 1 gunaah bhi 1 laakh gunaah ke baraabar hai.

**************
Hajj ya Umrah ke mauqe par Masjid e Haram me pahunchne wale khushqismat Mo’mino ko chaahiye ke
Jab bhi Tawaaf, Namaaz, Tilaawat e Qur’an, Zikr o Durood se faarigh ho to ba-adab Mohabbat ke saath Ka’abatullāh ko dekhte rahen aur Neki haasil karte rahen.

****************
 Ka’abatullāh se ta’aalluq rakhne waali chand cheezo ka bayaan :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Baab-ul-Ka’aba – Ka’aba shareef ke sunehari darwaaze ko ‘Baab-ul-Ka’aba’ kehte hain.

Multazam – Rukn e Aswad aur Baab-ul-Ka’aba ke darmiyaani hisse ko ‘Multazam’kehte hain.

Rukn e Aswad – Ka’aba shareef ka wo kona jo jis par Hajre Aswad nasab hai. Ye kona Baab-ul-Ka’aba ki baayi jaanib hai.

Rukn e Iraaqi – Ka’aba shareef ki deewaar ka wo kona jis ki simt me mulk e Iraaq waaqe’a hai. Ye kona Baab-ul-Ka’aba ki daahini jaanib hai.

Rukn e Shaami – Wo kona jis ki simt me mulk e Shaam waaqe’a hai.

Rukn e Yemaani – Wo kona jis ki simt me mulk e Yemen waaqe’a hai.

Hateem – Rukn e Iraaqi aur Rukn e Shaami ke darmiyaani hisse ki deewaar ke paas nisf daa’ire ki shakl me ek boundary jaisi deewaar bani hui hai aur us me daakhil hone ke liye Rukn e Iraaqi aur Rukn e Shaami ke paas darwaaze hain. Us ke andarooni hisse ko ‘Hateem’ kehte hain. Ek zamaane me ye Ka’abatullāh ka hissa tha. Is me daakhil hona ain Ka’abatullāh me daakhil hone ke baraabar hai.

Mizaab e Rahmat – Rukn e Iraaqi aur Rukn e Shaami ke darmiyaani hisse ki deewaar ki chhat par sone ka parnaala bana hua hai jis me se baarish ka paani Ka’aba ki chhat par se aata hai.

Mustajaar – Rukn e Shaami aur Rukn e Yemaani ke darmiyaani hisse ki deewaar ko ‘Mustajaar’ kehte hain.

Mustajaab – Rukn e Yemaani aur Rukn e Aswad ke darmiyaani hisse ki deewaar ko ‘Mustajaab’ kehte hain.

Mataaf – Ka’aba shareef ke aas paas ka Masjid e Haraam ka wo hissa jaha Tawaaf kiya jaata hai use ‘Mataaf’ kehte hain.

Maqaam e Ibrāheem – Baab-ul-Ka’aba ke saamne ek kubba hai jis me wo jannati patthar hai jis par Hazrate Ibrāheem alaihis salaam ke mubarak qadmo ke nishaan hain. Is ke paas Tawaaf ke baad 2 rak’at namaaz padhini hai.

******************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur in baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aur sab ko Ka’abatullāh aur Roza e Rasool ki ziyarat ki sa’adat ata farmae.
Aur jo khushnaseeb Mo’min Hajj ke liye jaa rahe hain un ki Hajj, Umrah, Tawaaf aur Ibaadat ko qubool farmae.
Aur un ki tamaam jaa’iz duaen qubool farmae.
Aameen.

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s