
8 Shawwal 1923 wo kaala din tha jab British sponsored saudi najdi hukumat ne Hijaz pe kabza karke Arab ko “Saudi” Arab bana diya aur Makka ms Jannatul Ma’ala aur Madina me Jannatul Baqi me Ahle Bayt-e-Athaar aur Sahaba-e-Kiram ke Mazarat aur Dargaho ko mismaar kardiya. Mismaar kiye jaane waali Dargaho me Hazrat Abdul Muttalib, Hazrat Abu Talib, Sayyeda Khadijatul Kubra, Sayyeda-e-Kainat Fatimah tuz Zahra, Imam Hasan, Hazrat Usman-e-Gani, Imam Zainul Aabideen, Imam Muhammad al Baqir, Imam Jafar Sadiq aur Uhud me Hazrat Ameer Hamza, Alaihim Afdalus Salawatu was Salaam aur digar kai Jalilul Qadr Hastiyon ke Rozo ko gira diya gaya.
1300 saal se Ummat Buzurgo ke Mazarat par Dargah banati aayi hai, 1923 se Kabro pe Dargah tamir karna in logo ne band karwaya….to Islam pehle jo karte they wo hai ya 1923 me shuru hua wo Islam hai??
Wahabi Najdi aqeede ki puri history jaaniye ke kaise British government ne pehle daadhi lagakar apne agents Arab me bheje aur Aqeeda-e-Azmat e Rasool (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) se logo ko hataane lage aur fir World War 1 se kis tarah Sunni Ottoman Empire ko khatam karne ki sazish ki gayi.

