Sureh Al Kausar Ki Is Aayat mein Allah , Rasoolallah Se Farmaraha ( Mafum) Hai

👆 Sureh Al Kausar Ki Is Aayat mein Allah , Rasoolallah Se Farmaraha ( Mafum) Hai *Aye Pyaare Mehboob Meri Ibadat Karo Aur Qurbani Do…*

Ab Ibadaton Mein *Sabse Afazal Ibadat – *Namaz Hai*!!! Namaz Mein Sabse *Afzal Sajda Hai*…Aur Qurbani Mein *Sab Se Afzal Qurbani Apne Khoon Ki Qurbani Hai* Jo Raah E Khuda Mein Di Jaaye ..

Toh Ab Is *Aayat Ko Agar Yun Samjha* Jaaye ke ; *Allah Rasoolallah Se Farmaraha* Raha Hai ke — *Aye Pyare Habib Halat E Namaz Mein Aur Namaz Ke Mein Sajde Mein Khoon Ki Qurbani De….!!!* Toh *Rasoolallah Namaz Toh Pad Sakte* Hain !!! Sajda Bhi Kar Sakte Hain !!! *Per Apne Khoon ki Qurbani Nahi De Sakte* , Kyun Ke Rasoolallah Ko Koi Kisi Bhi Hathiyaar Se *Maar Nahi Sakta !!!!*

Toh Ab *Aayat Ka Hukm Kaise Pura Ho ???*

Toh Jawab Dene Ke Liye Aur *Rasoolallah Ki Mushkilein Dur Karne Ke Liye Wahi Aayega Jise Rasoolallah Ne Allah Se Maanga Hai , Jo Rasool Se Hai* Jo Rasool Ka Noor Hai *Jo Rasool Ka Nafs Hai* Jo Rasool Ka Ghosh Hai Wa Khoon Hai *Jo Rasool Ka Waris Wa Wasi Hai ,*

Aur *19 Ramadan Ki Fajr kii Namaz Mein *Jaa–Nasheen E Payambar Ne Sureh Al Kausar ki Is Aayat Ka Muqammal Tarjuma Aur Tafseer* Taa Qayamat Taq Aane Wali *Duniya Ko Hi Nahi Balke Jo Duniya Ghuzar Chuki Unhe Bhi Bata Diya* ( Jaise Ke *Adam Se Lekar Isa Alaihimussalaam Taq* Unke Walion Taq , Jin Jin Ka *Imaan Aakhri Rasool Wa Aale Rasool Wa Quran Per Tha Aur Hai Un Sab Ko Batadiya Ke Nafs E Rasool Kise Kehte Hain,,!!!)*

*Parwardigaara Tera Be Panah Ehsaan Hai Ke Tune Meri Maa Ki Har Haal Mein Hifazat Farmayi Jiske Sabab Hum Tere Habib Ke Nafs Maula Ali Alaihyssalaam Ke Chahne Wale Ba Sake 🙏🙏🙏🙏🙏*

*Allahumma Salle Ala Mohammad Wa Aala Aale Mohammad*

Leave a comment