Hadith on Hazrat Ammar



_Hazrat Ammar Ka Qatil Jahannami Hain_

Hazrat Abdullah Razi Allahu Tala Anhu Farmate Hain :- Do Aadmi Amar Ibn Al Aas Ke Pas Aaye Jo Ke Hazrat Ammar Bin Yasir Razi Allahu Tala Anhu Ke Khoon Ke Bare Me Aur Unke Saaz o Saman Ke Husool Ke Liye Aapas Me Ladh Rahe The Amar ibn Al Aas Ne Bola Ye Mauzu Chod Do Kyunki Mene Rasoolullah ﷺ Ko Farmate Hue Suna Hai Ke :- Aye Allah! Quraish Ammar Ke Khoon Ke Bhut Shauqeen Hain Beshak! Ammar Ka Qatil Aur Unka Saaz o Saman Lene Wala Dozakhi Hain.

📚 *Reference* 📚
Mustadrak Al Hakim, Hadees No 5661.



_Hazrat Ammar Shaitan Se Hifazat Me Hain_ 👇

Hazrat Alqama Razi Allahu Tala Anhu Se Marwi Hain Farmate Hain Me Sham (Syria) Poucha To Hazrat Abu Darda Razi Allahu Tala Anhu Aaye Kehne Lage Tum Logo Me Wo Shaks Hai Jisko Allah Pak Ne Apne Rasool ﷺ Ki Zuban e Mubarak Se Shaitan Se Mehfooz Rakha Hain, Hazrat Mugira Razi Allahu Tala Anhu Farmate Hain :- Allah Pak Ne Apne Habeeb Pak ﷺ Ki Zuban e Mubarak Se Jis Shaks Ko Shaitan Se Apni Panah Me Rakhne Ka Elaan Kiya Tha Unse Murad Hazrat Ammar Ibn Yasir Razi Allahu Tala Anhu Hain.

📚 *Reference* 📚
Sahih Bukhari, Hadees No 3287.

*9 सफर यौम ए शहादत साहाबी ए रसूलﷺ फिदाए मौला अली؀ वफादार ए अहले बैत؀ जन्नत की तरफ बुलाने वाले…*
*शहीद ए सिफ़्फ़ीन*
*”जनाब ए हज़रत ए अम्मार इब्ने यासिरرع”*

वो अज़ीम ज़ात जिसने चौथे या पांचवे नंबर में इस्लाम कुबूल किए!
जिनकी वालिदा हज़रत ए सुमैय्याرع इस्लाम की सबसे पहली शहीदा है!
जिनके वालिद हज़रत ए यासिरرع मर्दों में इस्लाम के सबसे पहले शहीद हैं! जिन्होंने मस्जिद ए नबवी की तामिर में हिस्सा लिया!
जिनके लिए *रसूल अल्लाहﷺ* ने फरमाए
*”अम्मार सर के बाल से लेकर पैर के नाखूनों तक ईमान से भरे हुए हैं।”* (यानी ईमान उनके खून और रग-रग में समाया हुआ है)
इब्ने माज़ा 📖
और फिर एक मर्तबा *रसूल अल्लाह* ने फरमाए *ऐ अम्मार तुझे एक बागी गिरोह क़त्ल करेगा….*
तू उन्हें *जन्नत* की तरफ़ बुला रहा होगा और वो तुझे आग *(जहन्नुम)* की तरफ बुला रहे होंगे!
बुखारी 2812📖

*हज़रत अम्मार इब्ने यासिर…*
*मौला अलीع के साथ जंग ए सिफ्फिन में शरीक हुए और शहादत पाई!*

*सलाम हो सहाबी ए रसूलﷺ पर!*
*और लानत हो इनके कातिलों पर!*

*सहाबा जिंदाबाद!!*

Shaan e Imaam e Hasan (Part 1)

*Shaan e Imaam e Hasan (Part 1)*

Huzoor Nabi e Kareem Hazrat Muhammad ﷺ Ne Hazrat Imaam Hasan Alahis Salam Ko Apne Seene Mubarak Se Lagakar Dua Ki Aye Allah Me Isse Muhabbat Karta Hu Aur Tu Bhi Isse Muhabbat Farma Aur Jo Isse Muhabbat Kare Usse Bhi Muhabbat Farma, Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Tala Anhu Farmate Hain Ke Us Waqt Se *Hasan Bin Ali Se Aur Koi Mere Liye Badhkar Nahi.*

📚 *Reference* 📚
Bukhari As Sahih, Jild 3, Safa 1369, Hadees No 3537.

sab se bada muttaqi

Ummat-e-Muhammadi mein
sab se bada muttaqi, yani Allah se sab se zyada darne wala, khashiyat rakhne wala, aur Allah ki zaat ke maamle mein sab se zyada sakht kaun hai?

Allah Ta‘ala ne Qur’an-e-Paak mein irshad farmaya:

“Inna akramakum ‘indallahi atqakum”
(Surah al-Hujurat: 13)

Tarjuma:
“Allah ke nazdeek tum sab mein se sab se zyada ba-izzat woh hai jo tum mein se sab se zyada (Allah se) darne wala hai.”




Sayyidi Rasulullah ﷺ ne Maula Ali (alaihis-salam) ke bare mein farmaya:

“Fa wallahi lahuwa akhshanu fi zaatillah, wa fi sabilillah.”

Farmaya:
“Allah ki qasam, woh (Ali) Allah ki zaat ke maamle mein aur Allah ki raah mein sab se zyada Allah se khauf rakhne wale hain.”