
Ummat-e-Muhammadi mein
sab se bada muttaqi, yani Allah se sab se zyada darne wala, khashiyat rakhne wala, aur Allah ki zaat ke maamle mein sab se zyada sakht kaun hai?
Allah Ta‘ala ne Qur’an-e-Paak mein irshad farmaya:
“Inna akramakum ‘indallahi atqakum”
(Surah al-Hujurat: 13)
Tarjuma:
“Allah ke nazdeek tum sab mein se sab se zyada ba-izzat woh hai jo tum mein se sab se zyada (Allah se) darne wala hai.”
—
Sayyidi Rasulullah ﷺ ne Maula Ali (alaihis-salam) ke bare mein farmaya:
“Fa wallahi lahuwa akhshanu fi zaatillah, wa fi sabilillah.”
Farmaya:
“Allah ki qasam, woh (Ali) Allah ki zaat ke maamle mein aur Allah ki raah mein sab se zyada Allah se khauf rakhne wale hain.”

