

















*2 Muharram ul Haram 61 Hijri Mutabik 2 October 680 Esvi Jumerat Ke Din Qafila e Maula Imaam Hussain Alahis Salam Karbala e Mu’alla Pouch Gaya Tha.*
*2 Muharram Wo Din Hai Jab Shehansha e Wafa Hazrat e Sayyedna Maula Ghazi Abbas Alamdar Alahis Salam Ne Durood Sharif Padh Kar Khaima e Tatheer Lagaya Tha Aur 10 Muharram Ko Musalmano Ne Namaz Padh Kar Isi Khaime Ko Jala Dala*
















4 मुहर्रम हज़रत हबीब इब्ने मज़ाहिर की करबला आमद
आज हज़रत इमाम हुसैन अलैहिस्सलाम के बचपन के दोस्त हबीब इब्ने मज़ाहिर (अ:स:) करबला पहुंचे हबीब के आने से सिपाहे फौज ए कलील में खुशी की लहर दौड़ गई जब खबर खेमों में पहुँची तो हरमे सरा से हज़रते ज़ैनब कुबरा ने पूछा कि कौन आया है जवाब मिला हबीब इब्ने मज़ाहिर असादी, हज़रते ज़ैनब ने खादमा को भेजा कि मेरी तरफ से हबीब को सलाम कह दो हबीब ने औलादे रसूल से मिली इस बे पनाह इज्ज़त को देख कर अपने मुँह पर तमाचे मारने शुरू कर दिए और कहा आले रसूल पर यह वक़्त आन पड़ा कि आक़ा ज़ादियां अब ग़ुलामो को सलाम कहें मेरा यह रुतबा कि दुख्तरे अमिरूलमोमेनीन (अली की बेटी) हमे सलाम कहलवाए।




















*10 Muharram ul Haraam*
*1387th Yaume Shahadat*
*Shaheed e Aazam Sayyed ush Shohada Sayyed ush Shabaabi Ahlil Jannah Sultan e Karbala Aaftab e Karbala Fatah e Karbala Sayyed ul Mazloomeen Imaam e Aali’maqaam Imaam e Arsh Maqaam Imaam e Tishna Kaam Hazrat Sayyedna Sarkar Maula Imaam Hussain Alaihis Salam*
*Aapki Wiladat 5 Shaban 4 Hijri Mutabik 8 January 626 Esvi Baroz Mangal Madina Pak Me Hui, Aapki Shahadat 10 Muharram 61 Hijri Mutabik 10 October 680 Esvi Baroz Juma Hui, Aap Huzoor Muhammad Mustufa ﷺ Ke Nawase Aur Maula Ali Shere Khuda Alaihis Salam wa Hazrat Sayyeda Fatima Zahra Salamullah Alaiha Ke Shahzade Hain, Aapki Shan Me Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaya :- Hasan Aur Hussain Jannati Jawano Ke Sardar Hain, Hasan Aur Hussain Hi To Mere Gulshane Duniya Ke Phool Hain, Hussain Mujh Se Hain Me Hussain Se Hu, Jisne Hussain Se Muhabbat Ki Usne Mujh Se Muhabbat Ki Jisne Hussain Se Bughz Rakha Usne Mujh Se Bugz Rakha, Huzoor ﷺ Aapke Liye Apna Sajda Taweel Fama Diya Karte The, Huzoor ﷺ Aapke Liye Khutba Chor Kar Mimbar Se Neeche Tashrif Liyaya Karte The, Huzoor ﷺ Apko Apni Dosh Mubarak Par Bedha Kar Sawari Karate The, Aapki Shahadat Ki Khabar Hazrat Jibraeel Alaihis Salam Ne Huzoor ﷺ Ko Aapke Bachpan Me Hi Dedi Thi, Aapne 25 Martaba Paidal Hajj Ada Kiya, Aap Aa’imma e Ahle Baith Ke Teesre Imaam Hain, Aapne 28 Rajab 60 Hijri Ko Madina Pak Ko Chora, 8 Zil Hajj Ko Aapne Makka Sharif Ko Chora Aur 2 Muharram 61 Hijri Ko Aap Karbala Pouche, 7 Muharram Ko Yazeedi Fauj Ne Apke Qafile Ka Pani Band Kar Diya Aur 10 Muharram Ko Aapko Badi Hi Bedardi Ke Sath Shaheed Kar Diya Gaya, Aapke Sath Karbala Me 72 Afraad Shaheed Hue, Jinme Mashoor Aapke Bhai Hazrat Abbas Alamdar, Aapke Shahzade Hazrat Ali Akbar, Hazrat Ali Asghar, Aapke Bahanje Hazrat Aun, Hazrat Muhammad, Aapke Bhatije Hazrat Qasim Shaheed Hue, Hazrat Imaam Hussain Ki Shahadat Ke Bad Jab Yazeedi Fauj Ne Aapke Sar Mubarak Ko Neze Par Buland Kiya To Aapne Naize Par Bhi Quran Sharif Ki Tilawat Farmayi, Aapki Shahadat Ke Din Suraj Girhan Me Aa Gya, Aapki Shahadat Ke Din Se 6 Mah Tak Aasman Ke Kinare Surkh Rahe Bad Me Rafta Rafta Wo Surkhi Jati Rahi, Albatta Aafaq Ki Surkhi Jisko Shafaq Kha Jata Hain Aaj Tak Maujood Hain Ye Surkhi Shahadat e Imaam Hussain Se Pehle Moujood Na Thi, Aapka Mazar Mubarak Karbala e Mu’alla, Iraq Me Marjai Khalaik Hain.*














