Shaan e Imaam e Hasan (Part 1)

*Shaan e Imaam e Hasan (Part 1)*

Huzoor Nabi e Kareem Hazrat Muhammad ﷺ Ne Hazrat Imaam Hasan Alahis Salam Ko Apne Seene Mubarak Se Lagakar Dua Ki Aye Allah Me Isse Muhabbat Karta Hu Aur Tu Bhi Isse Muhabbat Farma Aur Jo Isse Muhabbat Kare Usse Bhi Muhabbat Farma, Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Tala Anhu Farmate Hain Ke Us Waqt Se *Hasan Bin Ali Se Aur Koi Mere Liye Badhkar Nahi.*

📚 *Reference* 📚
Bukhari As Sahih, Jild 3, Safa 1369, Hadees No 3537.

sab se bada muttaqi

Ummat-e-Muhammadi mein
sab se bada muttaqi, yani Allah se sab se zyada darne wala, khashiyat rakhne wala, aur Allah ki zaat ke maamle mein sab se zyada sakht kaun hai?

Allah Ta‘ala ne Qur’an-e-Paak mein irshad farmaya:

“Inna akramakum ‘indallahi atqakum”
(Surah al-Hujurat: 13)

Tarjuma:
“Allah ke nazdeek tum sab mein se sab se zyada ba-izzat woh hai jo tum mein se sab se zyada (Allah se) darne wala hai.”




Sayyidi Rasulullah ﷺ ne Maula Ali (alaihis-salam) ke bare mein farmaya:

“Fa wallahi lahuwa akhshanu fi zaatillah, wa fi sabilillah.”

Farmaya:
“Allah ki qasam, woh (Ali) Allah ki zaat ke maamle mein aur Allah ki raah mein sab se zyada Allah se khauf rakhne wale hain.”