Fazail e Ali ba zuban e Hazrat Saad bin Waqas R.A

Kesh-bin-Abi hazaam baya karte hain ke me Madina main tha, ek dafa ka zikr hai ke main bazar me jar aha tha me makame Ahzar-jeet par pahonch,
Maine dekha ke ek shaksh sawari par sawar tha, kafi sare log uske irg gird jama the, Who shaksh Hazrat ALI r.a. ko galiya de raha tha, us daruan hazrat saad ibn abi waqas r.a. waha tashreef laye,
Aur who bhi waha khade ho aye, logo se pucha kya huwa?
Logo ne bataya ke ek admi hazrt Ali ibn abi talib r.a. ko galiya de raha he, Hazrat Saad aage badhe, logo ne unko rasta de diya, Hazrat saad r.a. us admi ke karib gaye aur farmaya:
Are tum Ali ibn abi Talib r.a. ko galiya kyon de rahe ho?
1 – KYA WOH SAB SE PEHLE MUSALMAN NAHI HUWE THE?
2 – KYA WH RASULULLAH (SAL-LALLAHU-ALYHE-WA’AALEHI WASALLAM ) KE PICHE NAMAZ PADHNE WALE SAB SE PEHLE SHAKSH NAHI THE..?
3 – KYA WOH SABSE ZYADA DUNIYA SE RAGBAD NAHI RAKHTE THE..?
4 – KYA WOH SABSE ZYADA ILM RAKHNE WALE NAHI THE?
5 – KYA WOH RASULULLAH KE DAMAD NAHI THE?
6 – KYA WOH GAZHWAT ME RASULULLAH KE ALMBARDAR NAHI THE?
Iske alawa aur bhi kai fazail Hazrat Ali ke bataye..
Fir uske baad hazrat saad r.a. kibla rukh karke haath band karke yu duwa mangi:
“ AY ALLAH YE SHAKS TERE EK WALI KO GALIYA DE RAHA HE, YA ALLAH! YE MAZMA KHATM HONE SE PEHLE TU APNI QUDRAT KA KARISHMA DIKHA DE, (AUR LOG TERE WALI KO GALIYA DENE KA ANZAM KHUD APNI ANKHON SE DEKH LE)
Hazrt kaish r.a. kehte he: “ KHUDA KI KASAM HAM ABHI WAHA SE LOTE NAHI THE KE USKI SAWARI GARK HO GAI, US SAWARI NE US AADMI KO SAR KE BAL PATHARON PE GIRA DIYA, JISKI WAJEH SE USKI KHOPDI KHUL GAI AUR USKA BHEJA BAHAR AA GAYA AUR WOH WAHI PAR ABRATNAK MOT MAR GAYA

Mustadrak Hakim
Hadish no. 6121

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s