Hadith: Shan e Manaqib e Maula Ali AlaihisSalam.

*1. Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya:-*
Mera Parwardigar Mujhe Raat Ko Aasman Le Gaya Aur Ali Ke Bare Me Mujhe 3 Cheezo Ki Wahi Ki – Ali Parhezgaro Ka Peshwa, Momineen Ka Wali Aur Noorani Chehro Ke Rehbar Hain.

📚 *Reference* 📚
Mustadrak, Al Hakim, Jild 3, Safa 138.

*2. Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya:-*
Me Ilm Ka Shehar Hun Ali Uska Darwaza Hain, Jisko Shehar Me Aana Ho Wo Darwaze Se Aaye.

📚 *Reference* 📚
*1.* Mustadrak, Al Hakim, Jild 3, Safa 127.
*2.* Kanzul Ummal, Jild 13, Safa 148.

*3. Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya:-*
Jiska Me Maula Hun Uska Ali Mola Hain.

📚 *Reference* 📚
Tirmizi, Jild 5, Safa 398.

Iske Alawa Ye Hadees 150 Se Zada Alag Alag Sanado Se Riwayat Huyi Hain.

*4. Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya:-*
Mere Bad Jo Cheeze Bais e Ikhtalaf Hogi Unme Ali Ki Adalat Sabse Behtareen Hain.

📚 *Reference* 📚
Kanzul Ummal, Jild 13, Safa 120.

*5. Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya:-*
Lashkar Rawana Karte Waqt Huzoor ﷺ Ne Farmaya: Khudaya Mujhe Us Waqt Tak Mout Na Dena Jab Tak Ali Ko Dubara Dekh Na Lu’n.

📚 *Reference* 📚
Tirmizi, Jild 13, Safa 178.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s