
#2_Shaban: Imam-e-Aazam Imam Abu Hanifa Nouman bin Sabit RadiAllahu Anhu ki Shahadat ka Din
Shaheed-e-Hubbe Ahle Bayt
Kaun hain Imam-e-Aazam
9 Aaimma-e-Ahle Bayt ke Shagird hain Imam-e-Aazam
Saare Aaimma-e-Fiqh ke balke Fiqh (khud as a Subject) ke Imam! Sahih Sitta ke Aaimma-e-Hadees including Imam Bukhari me Imam! Jinhe Saare Imam “Imam-e-Aazam” ke laqab se zikr karte hain, Wo Hazrat Imam-e-Aazam Imam Abu Hanifa RadiAllahu Ta’ala Anhu
Aapko itna uncha Muqaam kaise haasil hua? Isliye hasil hua ke 9 AAIMMA-E-AHLE BAYT ke Shagird hain Imam-e-Aazam Abu Hanifa!!
Aap Shagrid hain
Imam Muhammad al Baqir ke,
Imam Zaid bin Imam Ali Zain ul Aabideen ke,
Imam Abdullah ibne Imam Zain ul Aabideen ke,
Imam Jafar as-Sadiq ke,
Imam Abdullah Ibne Imam Hasan al-Musanna ke,
Imam Hasan al Musallas ke,
Imam Hasan ibne Imam Zaid ke,
Imam Hasan Ibne Imam Muhammad al Hanafiyya ke,
aur Imam Jafar Ibne Tammaam ke!
(Alaihi-Muswalatu was-Salaam)
aur Aapka Mashoor Qaul hai
“Zindagi ke jo 2 Saal Mai Imam Muhammad al Baqir aur Imam Jafar as-Sadiq ke Kadmo me baitha, agar Meri Zindagi me Wo 2 saal na hote to Mai halaak hogaya hota!!”
Jab Sayyeduna Imam Zaid bin Ali Alaihissalam ne jabirana hukumat ke khilaf Haq ki aawaz buland ki to hukumat me Imam-e-Aazam ko Unke khilaf fatwa dene keliye kaha. Imam-e-Aazam ne fatwa diya, fatwe me ye kaha ke jo shakhs Imam Zaid Alaihissalam ko support karega Allah Ta’ala usey Ahle Badr jaisa Sawab Ata Karega!! Itne Bade Aashiq e Ahle Bayt they Aap aur itne nidar!!
Jab Imam Zaid Alaihissalam ko Shaheed kardiya gaya to Hazrat Imam Nafs uz Zakiyya Alaihissalam ne Haq ki Aawaz Buland ki to Imam-e-Aazam Unke Mureed hogaye aur full support kiya!
Jo Imam Ahle Bayt ka Haq ki Aawaz buland karta, Imam-e-Aazam Unki Tehrik ko support karte aur theyle bharke bharke paise bhejte!!
Aapki Ahle Bayt-e-Pak se aisi Bepanah Muhabbat dekhkar hukumat ne Aapko jail me daal diya aur fir Zindagi me aakhri daur wahi bita aur Ishq-e-Ahle Bayt ki “Saza” me bilaakhir Aapka Janaza bhi jail se nikla!
Aur Shaykh-ul-Islam Dr. Tahir-ul-Qadri farmate hain:
“Allah ki Izzat ki Kasam, Tajdar-e-Kainat ke Nalayn-e-Pak ki Kasam Aalam-e-Roaya (Aalam-e-Khwab me) 9 Saal tak Imam-e-Aazam Abu Hanifa se padha hun!! Agar koi hamari Hanafiyat pe shak kare, wo apne aap pe shak kare!!”