

*_26th Rajjabul Murajjab Shabe Wisaale Mohsine Islam, Jadde Kareem, Sarkar Aaqa o Maula Imran Abu Talib AlaihisSalaam_*
_Maula Imran Abu Talib AlaihisSalaam Wo Azeem Hasti Hai Jinhone Kul Ambiyan ke Imam Sayyeduna Mohammedur RasoolAllah SallAllahu Wa Alaihi Wa Aala Aalehi Wa Sallam Aur Kul Waliyo ke Sardar Sayyeduna Maula Ali e Murtaza AlaihisSalaam ko Sambhaala Sahara Diya!_
*_Maula Imran Abu Talib AlaihisSalaam Ne Hi Huzoor SallAllahu Alaihi Wa Aala Aalehi Wa Sallam Aur Maa Khadija Salamullah Alaiha ka Nikah_* *_Padhaaya SubhanAllah_*
*_Maula Imran Abu Talib AlaihisSalaam Ke Namaze Janaza Khud Huzoor ﷺ Ne Padhaya_*
_Sayyeduna Abu Talib Alaihissalam ki Qabr-e-Aqdas Dargah Pe Pehle Gumbad Bhi Tha, Magar Najdiyon ne 1923 Me Sab Mismaar kar Diya._

_हम वो जमाअत हैं जो हुज़ूर ﷺ की नालैन शरीफ़ का भी अदब ओ एहतेराम करते हैं उसे कभी हम सिर्फ़ जूता नही कहते_
*_क्या हो गया उन लोगों को जो कलमा नबीﷺ का पढ़ते है और ऐसे ऐतराज़ भी करते है_*
_दावत ए तौहीद हज़रते अबु तालिबع के घर से दी गयी_
_इश्आत ए इस्लाम हज़रते अबु तालिबع के घर से हुई_
_इस्लाम की इब्तेदा पहली दावत पहली मजलिस हज़रते अबु तालिबع के घर से हुई_
*_और जब इस्लाम के तहफ़्फ़ुज़ के लिए ख़ून बहाना हुआ तो इसी घर ने कुर्बानियां पेश की_*
*_जिसमे 6 माह का मासूम भी शामिल है और_*
*_56 साल का ताजदार भी_*

*26 Rajab ul Murajjab*
*Yaume Wisaal*
*Amm e Rasool Nigeh Baan e Risalat Nikah Khuwan e Mustufa ﷺ Kafeel e Mustufa ﷺ Mohsin e Islam Shaykh Al Batha Hazrat Syedna Imran Abu Talib Alaihi Salam*
*Aapki Wiladat 29 Shawwal ul Mukarram 540 Esvi Me Makkah Sharif, Saudia Arabia Me Hui, Aapka Wisaal 26 Rajab ul Murajjab 619 Esvi Me Hua, Aap Sarkar Do Aalam Huzoor Ahmad e Mujtuba Muhammad Mustafa ﷺ Ke Chacha Jaan, Mola e Kaynat Mola Imaam Ali Alaihis Salam Ke Walid e Majid, Hazrat Syedna Mola Imaam Hasan Alaihis Salam Hazrat Syedna Mola Imaam Hussain Alaihis Salam Ke Dada Jaan The, Aapne Huzoor ﷺ Ki Bachpan Se Jawani Tak Parwarish Ki, Huzoor ﷺ Ka Sayyeda Khadija tul Kubra Salamun Aleha Se Nikah Hazrat Abu Talib Ne Padhaya Aur Mehar Apni Jeb Se Ada Kiya, Aapne Huzoor ﷺ Ke Bachpan Se Lekar Aelane Nabuwat Ke Bad Bhi Apne Wisaal Ke Din Tak Huzoor ﷺ Ki Kuffar Aur Mushrikeen Se Hifazat Kari Aur Unke ilzamat Se Difa Kiya Aur Fir Aesi Hifazat Ki Ke Jab Kuffar Ne Boycott Kiya To Har Raat Huzoor ﷺ Ke Bistar Par Apne Sahabzade Hazrat Syedna Mola Imaam Ali Ko Sulaya Taake Koi Badbkaht Hamla Kare To Unk Sahabzade Mola Ali Shaheed Ho Magar Huzoor ﷺ Ko Koi Taklif Na Pouche, Aap Duniya Ke Sabse Bade Muhibbe Rasool Hain, Aap Duniya Ke Sabse Pehle Naat Khuwan Hain, Jab Hazrat Abu Talib Ka Wisaal Hua To Huzoor ﷺ Ne Us Pure Saal Ko Gham Ka Saal Karaar Diya Itna Gham Hua Aapko Hazrat Abu Talib Ki Judayi Ka, Aapka Mazar Mubarak Makkah Sharif, Saudia Arabia Me Marjai Khaliak Hain…*