

Hazrat Ameer Qasim Shahzade Hai Nawasa e Rasool , Sardar e Jannat, Ameerul Momineen, Khatimul Khulfah e Rashideen Hazrat Imam Hasan Mujtaba Ke .
Shahzada Ameer Qasim Ki Walida Hazrat Salma Jo Apni Kunniyat Umme Farwa Ke Naam Se Mashoor Hai.
Ameer Qasim Ki DadiJaan Sayyidah Fatimah Zahra Aur DadaJaan Mawla Ali Sher e Khuda Hai.
Hazrat Ameer Qasim Ki Wiladat 7 Shaban ul Muazzam 27 Hijri Ko Madinah Munawwarah Mein Hui.
Hazrat Ameer Qasim Ne 3 Saal Apne Baba Jaan Imam Hasan Mujtaba Ka Faiz Paaya. Aur 50 Hijir Mein Imam Hasan Mujtaba Ki Shahadat Hui.
Hazrat Qasim bin Hasan Behadh Haseen o Jameel Apne Baba Ki Tasveer The .. Jab Aap Maidan e Karbala Mein Aaye Toh Yuhn Laga Ke Sehra Mein Roshan 14vi Ka Chand Araha Hai.
Hazrat Ameer Qasim Ki Tarbiyat Aapke Chacha Jaan Hazrat Imam Mawla Hussain Aapki Phuphi Jaan Sayyidah Zainab o Chacha Jaan Hazrat Ghazi Abbas Alamdar Ne Ki. Imam Hussain Apne Bhatije Se Behadh Mohabbat Karte.
Hazrat Ameer Qasim Ne Jung Karne Ka Hunar Chacha Jaan Imam Hussain o Hazrat Abbas Se Sikha.
Aap Mein Apke Dada Jaan Mawla Ali ul Murtaza Ki Fasahat O Balaghat o Shuja’at Thi.
Aap Ne Maidan e Karbala Mein Azeem Jung Ki … Yazeedi Sipahiyo Ko Aap Ek Ke Baad Ek Wasil e Jahannum Karte Rahe… Mashur JungJu Arzak aur Uske Teen Beti Ko Jab Apne Wasil e Jahannum Kiya Toh Yazeedi Fauj Khaufzada Hokar Ek Sath Hamla Karne Lagi Aur Apko Zakhmi Kar Diya…
Aapne Apne Chacha Jaan Imam Hussain Ko Ya Ammu (Aye Mere Chacha) Kehkar Pukara ..
Mawla Hussain Jaldi Aye Aur Dushmano Ko Bhagaya Aur Hazrat Qasim Ko Apne Seenay Se Lagaya Aur Khaime Ki Taraf Laney Lagey .. Aur Pucha Beta Aapko Maut Kaisi Lagh Rahi Hai Hazrat Qasim Ne Farmaya Shahed Se Zyada Meethi…
Imam Hussain Hazrat Qasim Se Behadh Mohabbat Karte Aur Aap Mein Apne Bhai Imam Hasan Ko Dekhte 🌹
Hazrat Ameer Qasim Ka Roza Apke Chacha Jaan Imam Hussain Ke Roze Ke Kadmon Ki Taraf Karbala Mu’alla Mein Maujood Hai.
7 Shabaan ul Muazzam Yaum e Milad 🎂 Shahzada e Imam Hasan Mujtaba
The Prince of Karbala Hazrat Ameer Qasim ibn Hasan ibn Ali ibn Abi Talib (عليهم الصلاة والسلام) Mubarak Ho.
اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ 💚