Hadith:AHLE BAITH ع KE MUTALLIK NABI E KARIM ﷺ KI WASIYAT.

*_AHLE BAITH ع KE MUTALLIK NABI E KARIM ﷺ KI WASIYAT_*
_📙 Hadees :_
*_Arabic Matan :_*
ثُمَّ قَالَ قَامَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَوْمًا فِينَا خَطِيبًا بِمَاءٍ يُدْعَى خُمًّا بَيْنَ مَكَّةَ وَالْمَدِينَةِ فَحَمِدَ اللَّهَ وَأَثْنَى عَلَيْهِ وَوَعَظَ وَذَكَّرَ ثُمَّ قَالَ ‏”‏ أَمَّا بَعْدُ أَلاَ أَيُّهَا النَّاسُ فَإِنَّمَا أَنَا بَشَرٌ يُوشِكُ أَنْ يَأْتِيَ رَسُولُ رَبِّي فَأُجِيبَ وَأَنَا تَارِكٌ فِيكُمْ ثَقَلَيْنِ أَوَّلُهُمَا كِتَابُ اللَّهِ فِيهِ الْهُدَى وَالنُّورُ فَخُذُوا بِكِتَابِ اللَّهِ وَاسْتَمْسِكُوا بِهِ ‏
فَحَثَّ عَلَى كِتَابِ اللَّهِ وَرَغَّبَ فِيهِ ثُمَّ قَالَ
*_Translation :_*
_Hazrat Zaid bin Arqam رض Se Rivayat Hai Farmate Hai_
*_“Ek Roz Nabi E Karim ﷺ Ne Makkah Aur Madina Ke Darmiyan Us paani Ke Makam Me jise Khum Kaha Jaata hai, Khade Hokar Khutba Diya Jisme ALLAH ﷻ ki Hamd Wa Sana Ki Aur waaj Wa Nasihat Farmayi Phir Farmaya AYE LOGO khabardaar Hojao Ankarib mere Rab ﷻ Ka Qasid Aajaye aur mai uska bulawa kabool karlu aur MAI TUM LOGO ME DO WAZNI CHEEZ CHODE JAA RAHA HU, Jinme PEHLI TO ALLAH ﷻ KI KITAB HAI JISME HIDAYAT WA NOOR HAI TUM ALLAH ﷻ KI KITAB LO AUR USKO MAZBOOTI SE THAAM LO phir Kitabullah pe ubhara aur Targeeb di Phir Farmaya DUSRI CHEEZ MERE AHLE BAITH ع HAI, MAI TUMKO APNI AHLE BAITH ع KE MUTALLIK ALLAH ﷻ SE DARATA HOON MAI TUMKO APNI AHLE BAITH ع KE MUTTALIK ALLAH ﷻ SE DARATA HOON ”_*
_References :_
*_📚(Sahi Muslim, Vol : 06, Pg : 267, Kitabul Manakib E Sahaba, Baab : Man Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 6225  “English No : 2408”)_*
*_📚(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad Vol : 04, Pg :📖 366, Hadees :19265)_*
*_📚(Imam Ibn Hibban Sahi Ibn Hibban Vol : 01, Pg :📖 145, Hadees : 123)_*
*_📚(Imam Ibn Khuzaymah Sahi ibn Khuzaymah Vol : 04, Pg :📖 62, Hadees : 2357)_*
*_📚(Imam Lalka’i Itiqad Ahlus Sunnah Vol : 01, Pg :📖 79, Hadees : 88)_*
*_📚(Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra Vol : 02, Pg :📖148, Hadees : 2679)_*
*_📚(Ibn Kathir Tafseer Ul Quran Vol : 03, Pg :📖 487)_*
*_📚(Mishkal Al Masabih Vol : 01, Pg :📖 68)_*
*_📚(Zujatul Masabeeh Vol : 05, Pg :📖 317,318,319)_*
*_Scan Page Sahi Muslim Hadees : 2408_*

📙📄👇🏻

Advertisement