


*_Allah ﷻ Ne Shab e Meraj Nabi ﷺ_*
*_Se Ali ع ki Jubaan Me Baat Ki_*
_Manaqib Khateeb Bahar Al Manaqib Aur Khulastul Manaqib Me Makrum Hai_
*_Ke Rasool e Pak ﷺ Ne Farmaya_*
*_Ke Allahﷻ Ne Shab e Meraaj Mujse_*
*_Ali ع Ke Zubaan Me Khitaab Farmaya_*
_( Yani Allah ﷻ Ne Apne Mahboob ﷺ_
_Se Aliع Ki Zubaan Me Baat Ki )_
*_Maine Arz Ki_*
*_Ye Allahﷻ Tune Baat Ki Hai_*
*_Ya Ali ع Ne_*
_Allahﷻ Ne Farmaya Yeh Mohammed ﷺ Mera Wajood Ishiya ( Chijon ) Ki Tarah Nahin Hai Jo Aadmiyon par Maju keyas kiya jaaye Aur Tasbihat Se Mera Wasf Bayaan Kiya Jaye Maine Tujhko Apne Noor Se Paida Kiya Aur Aliع ko Tere Noor Se Paida Kiya Aur Aliع Ko Tere Noor Se Aur Main Tere Dil Ke Asrar per Wakif Hua Pas Tere Najdik Aliع Se Badhkar Kisi Ko Dost Na Paya isliye iski ( Yani Aliع Ki ) Lehja Aur Zubaan Me Guftagu Ki Taki Mera Dil Taslli Paye Aur Uns Pakde_
_Reference :-_
*_📚 Kokab-e-Duri_*
*_Fi Fazail-e-Ali ع_*
*_📄 Safa Number 202_*
_Musannif Sayed Mohammed Saleh Kashfi Al Tiramiji Al Sunni Al Hanfi_
_Scan Page 📖 👇🏻_

*_Hazrat Abdullah ibn Akeem RadiAllahu Anhu se Riwayat Hai ke Imam ul Ambiya Noor e Khuda SallAllahu Alaihi wa Aalaehi wa Sallam ne irshad Farmaya ke “Allahﷻ Ne Shab-e-Meraj Wahi ke Zariye Mujhe Aliع ki 3 Sifaat ki khabar Di Hai_*
_1. Wo Tamam Momin ke Sardar Hai_
_2. Muttaqin ke Imam Hai_
_3. Aur (Qayamat ke roz) Noorani chehre waalon ka Quaid honge.” (KarramAllahu Wajhahul Kareem)_
_Reference :-_
*_📚-{Tabrani: al-Mu’ajam al Sageer 📄2/88}_*
*_ماشاءاللہ✨💫✨سبحان الله_*
.
*_Salawat bar Muhammad wa Aale Muhammad_*
.
ا *_اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ سَيِّدِنَا مُحَمَّد_*

_Shabe Meraj Allahﷻ Ki Guftagu Ka Lehja._
*_Hazrat Abdullah ibn Umarرض Ne Farmaya Kay Mein Ne Us Waqt RasoolAllah ﷺ Ko Ye Farmate Suna, Kee Jab Huzoor ﷺ Se Kisi Ne Pucha Kee Ya RasoolAllah ﷺ Allahﷻ Ne Aap Se Meraj Ki Shab Kis Aawaz Mein Guftagu Ki._*
*_Toh Huzoor ﷺ Ne Farmaya Kee Allahﷻ Ne Meraj Ki Shab Mujh Se Ali ibn Abi Talib عليه السلام Ke Aawaz Mein Guftagu Ki._*
_References :-_
*_📚 Firdaws Al Akhbar Imam Daylami, Jild 2 Safah📄 421_*
*_📚 Yanabi’ Al-Mawaddah li Dhawil Qurba Shaykh Sulayman Qunduzi Hanafi , Jild 1 Safah📄 178_*
*_ماشاءاللہ✨💫✨سبحان الله_*