Rafayadain Ke Masle Par Imam Abu Hanifa RA Ka Jawab

*Rafayadain Ke Masle Par Imam Abu Hanifa RA Ka Jawab :*

Imam e azam abu hanifa رضي اللّہ تعالی عنہ ek baar makka mukarrama pahonche, waha ek bohat bade imam the, imam auzayi رضي اللّہ تعالی عنہ, ab dono buzurgo mein taruf hua imam ne kaha main imam abu hanifa koofe ka rehna wala, ab dono mein rafayadain ke topic par baat hui.

Imam auzayi ne farmaya: aap log rafayadain kyon nahi karte?

Imam e azam ne farmaya: Kyon ke koyi bhi sahi hadees is mamle mein huzur ﷺ se sabit nahi.

Imam auzayi ne farmaya: Aisa kaisa koyi hadees sabit nahi, main hadees bayan karta hu.

Imam e azam ne farmaya: Han hadees bayan karo.

Imam auzayi ne farmaya: maine hadees suna imam zohvi se, inhone suna Saalim bin abdullah se, (jo hazrat umar farooq رضي اللّہ تعالی عنہ k potey the) ke nabi عليه السلام rafayadain karte the, ab aap apni hadees pesh karen.

Imam e azam ne farmaya: maine hadees suni apne ustad hazrat imam hammad se, inhone sune Ibrahim bin nakhayi se (jo tabayi the), inhone sune Hazrat e alqama se or hazrat e aswat se, in done ne sune Abdullah ibne masood se ke nabi عليه السلام rafayadain nahi karte the, sirf namaz shuru karte waqt ek baar rafayadain (takbeer e tehreema) karte the is ke baad poori namaz mein kabhi rafayadain nahi karte the.

Imam auzayi ne farmaya: meri hadees par aap ki hadees ko fauqiyat kyon ?

Imam e azam ne farmaya: woh isliye kyon ke meri bayan karda hadees mein jo raawi hain abdullah ibne masood رضي اللّہ تعالی عنہ wo pehli saff mein khade rehte the aur riwayat ke waqt wo jawan bhi the, aap ki bayan karda hadees mein hazrat saalim رضي اللّہ تعالی عنہ chhote bacche the or pichli saff mein khade rehte the, ab batao jo shaks saff mein aage khade hoga wo imam ko zyada qareeb se dekhega ya jo pichli saff mein wo bhi baccha khada hoga wo saaf dekhega?

Imam auzayi khamosh ho gaye.

Yeh hadees aksar gair muqallid wahabi pesh karte hain, ab aap ko bhi iska jawab mil gaya hoga k sanad mein kon baccha tha kon jawan.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s