37 Undeniable Linguistic Miracles of Quran | Kinetic Typography.

Advertisement

Shab e Qadr aur Shab e Milad

“Imam Qustulaani ‘Al-Mawahib al-Ladunya’ me farmate hain:
Jab hum ye kahen ke Huzoor Nabi-e-Akram Sallallahu Ta’ala wa’ala aalaihi wa Sallam raat ke Waqt Paida hue to sawaal paida hota hai ke Shab-e-Milad-e-Rasool Sallallahu Ta’ala wa’ala aalaihi wa Sallam Afzal hai ya Shab-e-Qadr? Mai iske jawab me kehta hun aap sallallahu Ta’ala wa’ala aalaihi wa Sallam ki Milad ki raat 3 wuju ki bina par Shab-e-Qadr se Afzal hai:

1. Aap Sallallahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ka Zahoor Shab-e-Milad me hua jabke Shab-e-Qadr Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Ata ki gayi, lihaza wo Raat jisko Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Zahoor ka Sharf mila us raat se zyada Sharf waali hogi jisey is Raat me Tashreef Laane Waali Hasti ke sabab se Sharf mila, aur isme koi naza nahi. Lihaza is aitabar se Shab-e-Milad, Shab-e-Qadr se afzal hui.

2. Agar Lailatul Qadr ki azmat is bina par hai ke isme Farishton ka Nuzool hota hai to Shab-e-Wiladat ko ye Sharf haasil hai ke Isme Allah Ta’ala ke Mehboob Sallallahu Ta’ala wa’ala aalaihi wa Sallam Kainat me Jalwa Farma hue. Jamhoor Ahle sunnat ke Qaul ke mutabiq Shab-e-Milad ko Jis Hasti (Yaani Huzoor Sallallahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) ne Sharf Bakhsha wo Shab-e-Qadr ko Sharf Bakhshne waali hastiyon se (yaani Farishton) se kahi Buland wa Bartar aur Azmat Waali hai. Lihaza Shab-e-Wiladat he Afzal hai.

3. Shab-e-Qadr ke Baais Ummat-e-Muhammadiya ko Fazilat Bakhshi gayi aur Shab-e-Milad ke zariye jami maujudaat ko Fazilat se nawaza gaya. Pas Huzoor Sallallahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam he Hain Jinhe Allah Ta’ala ne Rehmatulilaalameen banakar bheja, aur is tarah Naymat-e-Rehmat Jami Kainat ke liye aam kardi gayi. Lihaza Shab-e-Wiladat Nafa Rasani me kahi zyada hai, aur is aitabaar se bhi ye Lailatul Qadr se Afzal tehri.”

Imam Qustulani, Al Mawahib al Ladunya, 1/145, Abdul Haq Muhaddis Dehalvi, Masibbat Minas Sunna fee Ayyamas Sanna, 59 60,

Zarqaani, Sharah al Mawahib al Ladunya, 1/255-256, Nabhaani, Jawaharul Bihaar Fee Fazail Al-Nabi Al-Mukhtar Sallallahu Alaihi wa Aalihi wa sallam 3/424