Hadith Hasnain Karimain عَلَيْهِمُ السَّلَام Ke Manaqib 4

ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَالَمِينَ وَالصَّلوٰةُ والسَّﻻَمُ عَلىٰ سَيِدِ الْمُرْ سَلِيْنَ
اَمّاَ بَعْدُ فَاَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطٰنِ الرَّجِيْم بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم

35/246

“Hazrat Salman Farsi RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Farmate Huwe Suna :
Hasan Aur Husain Mere Bete Hain Jis Ne Hasan Aur Husain عليهما السلام Se Muhabbat Kee, Us Ne Mujh Se Muhabbat Kee, Aur Jis Ne Mujh Se Muhabbat Kee Us Se Allah ﷻ Ne Muhabbat Kee Aur Jis Se Allah ﷻ Ne Muhabbat Kee Allah ﷻ Ne Use Jannat Me Daakhil Kar Diya.
Jis Ne Hasan Aur Husain عليهما السلام Se Bughz Rakha Us Ne Mujh Se Bughz Rakha, Aur Jis Ne Mujh Se Bughz Rakha Us Par Allah ﷻ Ka Ghazab Huwa Aur Jis Par Allah ﷻ Ka Ghazab Huwa Allah ﷻ Ne Use Aag Me Daakhil Kar Diya.”

Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Ki Yeh Hadith Sahih Hai.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/181, Raqam-4776,

Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/205, Raqam-246.]

Leave a comment