
Imam Jaafer-e-Saadiq (a.s) Ne Farmaya Ke Ek Aadmi, Hazrat Ali (a.s) Ke Paas Aaya Aur Kahaa “Yaa Amirul Momineen ! Main, Aap Se Bahut Mohabbat Karta Hoon”. Maula Ali (a.s) Ne Farmaya “Tu Jhoot Kehta Hai”.
Uss Aadmi Ne Kahaa “SubhanAllah! Maaloom Hota Hai Ke Aap Merey Dil Ki Baaton Ko Jaantey Hai.”
Hazrat Ali (a.s) Ne Farmaya “Allah Ta’aala Ne Ajsaam (Jism Ki Jamaa) Khalq Karney Se Do Hazaar Saal Qabl (Pehley), Arwaah (Rooh Ki Jamaa) Ko Khalq Kiya, Phir Unhey Humaarey (a.s) Saamney Pesh Kiya, Pas, Tu Uss Waqt Kahaa Tha, Mainey Tujhey Nahi Dekha Tha.”

