Hadees of the day
Hazrat Ibn e Abbas رضی اللہ عنہ se Marwi hai ki Aap ne Farmaya : Rasoolullah صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne Sadqa e Fitr ko wajib farmaya jo Rozedar ko Lag’wiyaat aur behooda baato’n se Paak karne wala hai aur Gareebo’n ki Giza ke liye hai. Jisne Namaz e Eid se Pahle Ise ada kiya to yeh Maqbool Zakat hai aur Jisne Ise Namaz e Eid ke baad ada kiya to yeh Dusre sadaqaat ki tarah ek sadqa hoga.
Abu Dawood, As-Sunan – 1609, Ibne Maaja, As-Sunan – 1827, Daarqutni, As-Sunan – 2/138, Hakim, Al-Mustadrak – 1488, Dailmi, Al-Musnad ul Firdaus – 3348