Imam Jaafer-e-Sadiq (a.s) se manqool hai

Imam Jaafer-e-Sadiq (a.s) se manqool hai ke jab Janab-e-Ameerul Momineen (a.s) ne Siffeen ka qasd farmaya aur daraya-e-Furaat uboor karke ek pahaad ke qareeb pauhchey to Namaz-e-Asr ke waastey aapne wazu Farmaya, Azaan di gayi, Jaisey hi azaan tamaam huwi woh pahaad shigaafta huwa aur ek awaaz aayi “Aye Wasi-e-Qaatam-e-Paighambaraan, Yaa Ameerul Momeneen (a.s) aap par Salaam ho….” Aapne jawab mein farmaya “Alaikas salaam aye baradare mann Sham’oon-ibne-Ha’moon Wasi-e-Isaa-ibne-Maryam…kya haal hai tumhara?” Jawab mein unhone kaha….”Alhamdo lillah ke Aap par rehmat-e-Parwardigar ho” aur yeh bhi farmaya ke “Main Hazrat-e-Isaa ka muntazir hoon ke woh tashreef laayein aur Aapke Farzand ki nusrat farmaye….Aye Ameeral Momineen (a.s) ager in logon ko maloom hota ke Aapka (a.s) martaba pesh-e-Parwardigar kya hai to hargiz hargiz aapse irada-e-jung naa karte….aur woh logh jo Aapki (a.s) nusrat kar rahey hain unko agar ilm hota ke iss mein kya ajr hai to apne ajsaam ke paarah paarah honey ki duaein kartey”.

Hadees E Nabvi Sallallaho Aleh Wa SallamHadith


Anas Bin Malik RaziAllahu Tala An Se Riwayt hai
Rasulallah Sallallaho Aleh Wa Sallam Ne Farmaya
Allah Ne Ek Aesi Nasl Ko Paeda Kiya Hai
Jo Na Adam Ki Nasl Se Hai
Aor Na Iblees Ki Nasl Se hai
Ye Ali Ibn e Abu Talib Alaihissalam Se Bughz Rakhne Walo Par Lanat Karti Hai
Sahaba Ne puchha Ya Rasoolallah Sallallaho Aleh Wa Sallam
Ye Kaonsi Nasl Hai
Irshad Hua
Ye Qanabir Hai Jo Subah Ke Waqt Darakhto Par Baith Kar Pukarti Hai
Sun Lo Allah Ki Lanat Hai Us Par Jo Ali Ibn e Abu Talib Alaihissalam Se Bughz Rakhta Hai
🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏