Tarmah ibn e adi ka maola Hussain Alaihissalam ko mashwara

tarmah bin adi bargah e imam aali amakam me arz kiya huzur halat bohot nazuk surat e haal ikhteyar kar. gaye hai
mai charo taraf nazar daodata hu magar mujhe aapke chand sathiyo ke siwa koi nazar nahi aata agar hurr ke sathi jo aapke piche lage hue hai aap par tut pade to yahi kafi rahenge maine kufa se rawangi se peshtar waha logo ka itna jamme gaffeer dekha ki aajtak kisi ek maidan me itna kabhi na dekha tha maine ek shaqs se pucha ki ye lashkar kaha jane wala hai to usne kaha hussain ke mukable ke liye isliye mai aapko Allah ka wasta deta hu ki agar ho sake to ek kadam di aage na badaye agar aap kisi aise makam par jana cahe jaha Allah aapko hifazat me rakhe or jo kuch aap karna cahe uske mutallik bhi koi rai or aakhri faisla kar le to aap mere saath chaliye mai aapko apne buland pahad par jisse. kohe aazah kahete hai le chalu khuda ki kasam wo pahad aisa. hai jiski wajha se salateen anaan wa hamira noman bin munjir or har aswad wa ahmar akwam se mahfooz rahe wallah hamko kabhi koi muti na kar saka
mai aapke saath chal kar aapko waha pohocha dunga or fir kohe aazah wa salma ke bashindo ko aapki dawat dunga khuda ki kasam das din bhi na guzrenge ke aapke pass kabila tay ke sawar or pyado ka bis hazar ka lashkar aapke paas jama ho jayenga

maola hussain a,s ne tarmah bin adi ki mukhlisana peshkash ka shukriya ada kiya or unhe dua e khair di lekin unke mashware par amal karne se majuri jahir farmai (( tareekh e tabri jild 5 safa no 231))

ताज़ियादारी जाइज़ होने के शरई दलाइल

………………………………………………………….. मुहर्रम शरीफ़ नज़दीक है जिस में हम अहले सुन्नत व जमात के लोग रौज़ये इमाम आली मक़ाम हुसैंन अलैहिस्सलाम बनाते हैं जिस से कुछ लोगो को मिर्चे लगतीं है महेज़ अपनी दुकानें चमक़ाने के लिये कुछ लोग बे वजह के दलाएल देकर अज़मते ताज़ियादारी पर शबखून मार रहें हैं ताज़िया नही बनाना चाहिये हराम है ताज़ियादारी हराम हराम का नारा लगाने वालों ज़रुर पढो अभी कल ही की बात है कि मैनें एक सहाब की पोस्ट देखी जिस पोस्ट मे उन्होने ताज़ियादारी हराम साबित करने की भरपूर कोसिश की पर एक भी मज़बूत दलील वो पेश न कर सके 👇 “””””””””””””””””””””””” कुरान मजीद मे इरशादे बारी तआ़ला -जो लोग अल्लाह तआला की निशानियों की ताज़ीम करते हैं ये फेल उनके दिलो का तक़वा है सू. हज-32 “”””””” तफ़सीर व अहादीस मे लिखा है के हर वो चीज़ (शआरइरल्लाह) यानी अल्लाह तआला की निशानी है जिस को देख कर अल्लाह व रसूल और अल्लाह वाले याद आ जायें अब आप बताये क्या ताज़िया देख कर आप को इमाम आली मक़ाम हुसैंन अलैहिस्सलाम की याद नही आती ? (अज़मते ताज़ियादारी 111)

jinno ki noha khani

jinno ki noha khaniabu naim ne dalailunnabuw me hazrat umme salma ki zabani likha ki maine shahadat e maola hussain a,s par jinnat or ashqbari or naoha karte hue dekhasalab ne umali me abi hubad kalbi ke hawale se likha ki hai ki maine karbala me ja kar ek muazzaz arab se daryaft kiya ki kya tumne jinnat ko girya wa zaari karte hue suna usne kaha tum jisse caho puch lo unki girya zari har ek ne suni hai maine kaha jo kuch tumne suna wo mujhe batao us shaqs ne jawab diya maine jinnat ki zubani ye ashaar sune hai
(( mashar rasool jabinahu falhu barikun filkhudu di
abwahu min uliya kuraishin wa jaddhu khairil judud))(( tarikhul khulfa safa 305…. lhasaise kubra jild 2 safa no 209))

Hadith Gham e Hussain

بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ

اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞

1. Hazrat Imam Ahmad Bin Hambal Aur Game Hussain

Aswad Bin Ameer Rivayat Karte Hai Al Rabih Bin Manzar Se Wo Apne Walid Se Ki Imam Hussain Farmate Hai Ki :
“Jo Aankh Hamare Gham Se Royi Ya Ak Aansu Hamare Liye Giraya Allah Use Bahisht (Jannat) Se Nawazega”

📚 Reference 📚
Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Bin Hambal, Jild 2, Safa 675, Hadees No-1154..

2. Bartan Khoon Se Bhar Gye

Hazrat Bushra Azviyah (RaziAllahu Tala Anha) Farmati Hai:- Jab Hazrat Imam Hussain (RaziAllahu Ta’ala Anhu) Shaheed Kiye Gye To Aasman Se Khoon Barsa, Subha Ko Hamare Matke, Ghare Aur Sare Bartan Khoon Se Bahre Hue The”

📚Book Reference📚
Sawaek ul Muharrika, Safa 644

3. Din Me Sitare Nikal Aaye
Rivayat Hai Jab Syedna Imam Hussain(RaziAllahu Ta’ala Anhu) Ko Shaheed Kiya Gya To Itna Zabardast Suraj Garehan Hua Ki Din Me Sitare Nikal Aaye

📚 Reference 📚
Majma ul Zawaid:- Jild 7, Safa 115 – 163

Sunnan e Ibn e Maja#143

Sunnan e Ibn e Maja#143

حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ مُحَمَّدٍ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ سُفْيَانَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ دَاوُدَ بْنِ أَبِي عَوْفٍ أَبِي الْحَجَّافِ وَكَانَ مَرْضِيًّا، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي حَازِمٍ، ‏‏‏‏‏‏ عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ مَنْ أَحَبَّ الْحَسَنَ وَالْحُسَيْنَ فَقَدْ أَحَبَّنِي، ‏‏‏‏‏‏وَمَنْ أَبْغَضَهُمَا فَقَدْ أَبْغَضَنِي .
Hazrat Abu Huraira Raziallah Anha se riwayat naqal he ki “Rasullah s.a.w ne Faramaya : Jisne Hasan O Hussain Mohabbat Ki Usne Mujhse Ki, Aur Jisne Un dono Se Dushmani Ki Usne Mujhse Dushmani Ki
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس نے حسن و حسین سے محبت کی اس نے مجھ سے محبت کی، اور جس نے ان دونوں سے دشمنی کی اس نے مجھ سے دشمنی کی ۱؎۔

Sunnan e Ibn e Maja#143