Day: July 4, 2020
Ab Yaha Ye Jaan Na Hain Ke Be-hosh kon?? Hosh Wala Kon???
Ab Yaha Ye Jaan Na Hain Ke Be-hosh kon?? Hosh Wala Kon???
.
Jiski Khudi Beidar Na Ho, Wo Behosh Aur Jiski Khudi Beidar Hogai Jo Khud Shanasa Jo Hogaya Yani Khudi Ki Pehchan Jiski Hogai Wahi Hosh Wala Zinda Hain-, “MAN ARAFA NAFSAHU FAQAD ARAFA RABBUHU ” Ke tahat ” Jisne Apne Aapku Jana Usne Rab Ku Jana “-. Yani Pahle Khud Ko Jaan Na Lazim Hain.Then Tahqeeq Khud Se Kijiye, Mai Kon Hu? kaha Se Aya Hu? Kaha Jawunga ? Ab Karna Kya Hain?
Jisko Khud Ke Bare Me He Nahi Pata Wo Rab Ko Kaise Jaan Payega Pehchan Payega???
Surat No 17 : Ayat No 72
وَ مَنۡ کَانَ فِیۡ ہٰذِہٖۤ اَعۡمٰی فَہُوَ فِی الۡاٰخِرَۃِ اَعۡمٰی وَ اَضَلُّ سَبِیۡلًا ﴿۷۲﴾
aur jo shaks duniya mein andha bana raha , woh aakhirat mein bhi andha , balkay raastay say aur ziyada bhatka huwa rahey ga .
Ab yaha tahqeeq kare k kis andhe pan Aur Kya Dekhne Ki Baat Ho Rahi??? Kya Ye Zahiri Ankho Se Dekhne Ki Baat Ho Rahi??? Hargiz nahi,,, Toh Phir Usko Dekhna Hain Toh Kaisa Hain Ye Dekhna?? Agar Tum Samjhte Ho Ke Allah Ko Dekha Ja Sakta Hai Zahiri Ankho Se Toh Wusey Shaii (Solids) Me Hona Hoga, Lekin Allah Shaii Kaise Ho sakta, Wo Toh Laa-Sahii hain-, Phir Laa Sahi Ko Yaha Dekhne Ki Baat Ho Rahi. Toh Yahi Jaan Na Hain Ke Wuse Kaisa Dekha Ja Sakta Hain???????
ISHQ KE MAINE
Hazrat Gouse Azam R.z Se Kisi Ne Pucha Ke Ishq Kya Hain? Aap Farmatey Hain Ke, “Allah Ke Siwa Gair Se Apna Dil Ko Bachaye Rakh, Aur Allah Ke Saath Zinda Reh’ na Ishq Hain”.
Phir Farmaya Jub Banda Apne Rab Ki Taraf Mutawajjo Hota Hai (Palat ta Hain) Tab Allah Usey Apna Doast Rakhta Hain, Aur Wo Khud Apne Bande Per Ashiq Hojata Hain-, Aur Apne Zaat E Ilahi Ke Jalwo Se Usey Mamoor (Pehchan) Karwata Hain-, Aur Phir Bande Ko Khud Apne Per Ashiq Karaya Jata Hain Aur Apne Ishq Ka Sahidan Karleta Hain Aur Aisi Kaifiyat Taari Karta hain Jaha Bande Ko Hone Ka Ahsaas Bhi Na Rahe Sab ko Bhuladeta Hai Tab Yaha Sirf Ishq He Bakhi Rehjata Hain-. Yahi Ishq Hain-. Lihaza Allah Iss Baat Ki Tabiyat Deta Hai Aur Sikhata Hai Ke “Mere Saath Aise Rah Ke Apne Dil Ko Gair Se Door Rakh”, Aur Khud Ko Zinda Jano Uss Zaat E Haq Ke Saath-.
✨Sabakh :
Agar Banade Ko Uske Rab Ki Yeh Pehchan Hogai Ke, Uska Rab Uske Dil Me Rooh Me Aur Uss Per Shaida Aur Ashiqh Hain Toh Usey Aur badh Ker Usper Aur Uski Zaat Per Khud Fanah Hojaye-, Aur Bande Ki Khud Ki Zaat He Beech Ka Parda Hain-, Aur Isi Parde Ko Nikal Kar He Zaat E Ilahi Per Fanah Ho Sakta Hain-. Aye Allah Hum Ko Apne Zinda Bandon Me Shamil Rakh Aur Ishq Haqiqi Ata Kar – #ameen
( 📕 Risalaye Gouse Azam : Pg – 168)