Gaus e Azam رضی اللہ تعالی تعالی Farmate Hain Ke,*
*”Agar Koi Banda Allah Se mil Jana chahta hai toh isey chahiye ki ‘Allah’ Ke Siva har chiz se nikal jaaye-.”*
*(📕 Risalaye Gouse Azam)*
.
*Trying to explain ::: 🙏✍️*
.
Agar is post ki gehrayi me jaker samjh ne ki koshish karey toh , har wo cheez jis se tum wabasta (realated) ho chahe wo Maddi (solids, body) ho Ya Laa shai (without body) , achi ho ya buri Sabhi Gair Hain, jaise ke tumhara wajood Maddi hain aur isse related sab kuch Rishte Natey aur tumhari sonch, khwab, khwaishat, nafs yaha tak ke koi muqam hasil karne ki chah, ye sab dhoka hain-, insan buari me phasta he hain lekin achey banne ki khwahish bhi usey phasa deti hain jaise ke mai ye acha kaam karunga toh meri tarif hogi mera naam hoga shohrat hogi, agar mai wali banjawunga toh mera naam hoga loag mere ird gird rahinge ye sab achey khwaish me se aatey hain aur ye bhi ek khisam ka dhoka hain,, isilye behatar yahi ke achey burey dono khwaisho se nikal jawo.Siwaye Allah ke har wo cheez Gair hain-, Jub Banda inn Saare Gair cheezon ko hata ta jata hain toh uske saare parde hat te jate hain, yaha Banda ab Banda nahi rehta fana fillah se Baqa Billah tak pohonch ta jata hain-, Isiliye Pahle mehnat apne aap per karo, jub tak bartan khali na ho usey bhara nahi jata, isitar Tum har cheez se niakl kar khali na hojawo toh nayi sonch naya kuch kaise hasil hoga-, koi aayega karam karega reham karega ke intezar me na raho, khud per khud karam karlo reham karlo aur khud ko siratul mustaqeem ki raah per chalawo, Sirate Nabi Sallallahu alaihi wasallam Per Qayam karlo toh phir aisa karam hoga ke jiski inteha na hogi-, Hamara kaam koshish karna hain Aur Raste Nikal Na Allah Azzawajal Ka Kaam Hain-, khud me ishq ki chingari ko jagawo-, agar waqt ka intezar karoge toh waqt ayega aur nikal jayega-, Apne Waqt ko Khud Lawo Beshak Allah Hidayat Dene Wala Hain Lekin Khud Ko Hidayat Ke Khabil Toh Banawo-.
.
Day: July 12, 2020
AQEEDA E TAUHEED
*AQEEDA E TAUHEED*
1- Allah Ta’ala 1 Hai. Uska Koi Shareek Nahi Na Zaat Me Na Sifaat Me Na Afa’al Me Na Ahkam Me Na Koi Nabi Na Koi Wali.
2 – Woh Zaat Wajibul Wajood Hai Ya’ni Humesha Se Hai Azali Hai Aur Humesha Rahega Abadi Hai.
3 – Allah Ta’ala Ki Zaat Ka Idraak Muhaal Hai, Haa Ajmalan (Mukhtasar Taur Par) Afa’al Ke Zariye Se Sifaat Aur Sifaat Ke Zariye Se Zaat Ka Ilm Hosakta Hai.
4 – Allah Ta’ala Humara Ma’bood Hai Uske Siwa Koi Ibadat Ke Layek Nahi.
5 – Woh Humesha Se Hai Aur Humesha Rahega Uski Hasti Fanaa Hone Wali Nahi.
6 – Saari Duniya Ko Wohi Qayam Rakhe Huwe Hai Sab Usi Ke Sahare Chal Rahe Hai Lekin Khud Use Koi Sahare Ki Zaroorat Nahi.
7 – Use Na Oongh Aati Hai Na Neend Woh Har Dum Sabki Hifazat Karta Hai Aur Har Aan Har Cheez Par Nazar Rakhta Hai.
8 – Zameen Wa Aasman Me Jo Kuch Hai Woh Allah Ka Hi Hai Allah Ke Siwa Saari Duniya Ka Koi Asli Malik Nahi Hai.
9 – Allah Ke Aage Kisi Ko Dum Maarne Ki Majal Nahi, Allah Ki Ijazat Ke Bagair Koi Allah Ke Saamne Sifarish Karne Ka Hosla Nahi Karsakta, Isliye Ambiya Aur Auliya Makhlooq Ke Shafi (Shafa’at Karne Wale) Hai Ke Allah Ne Inko Shafa’at Ki Ijazat Di Hai.
10 – Allah Ko Kainat Ki Har Cheez Ka Ilm Hai Koi Cheez Allah Se Chhupi Huwi Nahi Aur Allah Ke Ilm Se Bahar Nahi Yeh Ilm Allah Ka Zaati Aur Daemi Aur Bil Isteqlaal Hai.
11 – Humara Ilm Bhi Allah Ka Diya Huwa Hai Kisi Ki Kya Majaal Ki Allah Ki Marzi Ke Bagair Kuch Ma’loom Karsake, Ambiya Wa Auliya Jo Ilm Aur Gaib Ki Baate Jaante Hai Woh Sab Allah Ki Ata Se Jaante Hai.
12- Allah Ki Qudrat Zameen Aur Aasman Par Galib Hai, Allah Ki Hukoomat Kainat Ke Ek Ek Zarre Par Hai Aur Koi Cheez Uske Farman Se Bahar Nahi.
13- Allah Saari Duniya Ki Hifazat Se Nahi Thakta, Allah Apni Zaat Wa Sifaat Me Sabse Ooncha Hai, Allah Azmat Wala Hai, Allah Ki Shan Ka Koi Jawab Nahi.
14 – Allah Ka Deedar Duniyawi Zindagi Me Rasoolallah Sallallahu Alaihiwasallam Ke Bagair Koi Nahi Kar sakta Magar Aakherat Me Har Musalman Deedar Karega.
15 – Allah Ta’ala Hi Haqeeqi Madadgar Hai, Ambiya Wa Auliya Ya Koi Bhi Aam Insan Jo Makhlooq Ki Madad Karte Hai Woh Allah Ki Di Huwi Taqat Se Hi Karte Hai.
16 – Allah Har Aib ( Jhoot, Geebat, Dhoka, Be Imani, Zulm, Bhoolne, Hansi Mazaq, Gunah Wagaira) Se Paak Hai.
Ya Allah Azzawajal Apne Piyare Habeeb e Pak Sarkar e Do Aalam (Sallallahu Tala Alaihi wa Aala Aalehi Wa’sallam) wa Panjetan Pak (Alaihimus Salam) Ke Sadqe Me Humko Apni Tauheed Pe Qaayam Wa Daayam Rakh.. Ameen 🤲🏻