Allah Jab Behtreen Se Nawazta Hai Toh Pahle Badtarin Se Guzarta Hai

*””” Allah Jab Behtreen Se Nawazta Hai Toh Pahle Badtarin Se Guzarta Hai “””*
.
Ab Ye Badtareen Halat Kuch Bhi Hosakte Hain-, Banda Jub Tak Kadi Azmaishon Se Na Guzre Wo Kamil Insan Kaise Ban Sakega-, Jub Tak Sona Aag Me Na Jale Kundan Kaise Banega-, Aur Azmaya Bhi Usey Jata Hain Jisey Chunagaya Ho-, Agar Samjhte Ho Allah Jinse Khush Hota Hain Wunhe Khoob Maal Wa Doulat Karobar Deta Hain-, Kabhi Doulat Mand Insan Ko Yaa Badey Karobar Walon Ki Zindagi Dekhna-, 24 hrs Kis Tarah Paison Ko Badhaya Jaye, Ya Uski Hifazat Kaise Karey Inhi Me Masruf Rehte Hain-.Kalam E Paak Mein Allah Subhanahu Taala Farma Raha Ke, “Hum Jis Bande Ko Chun Lete Hain, Usey Nisto Nabood Kardete Hain, Aur Jub Wo Puri Tarah Barabad Hojaye Toh Usey Naye Sireh Se Banaya Jata Hain”, Yaqeenan Wo Banda Khush Naseeb Hai Jo Nisto Nabood Ho Raha Ho Yani Puri Tarah Barbaad-, Ab Yaha Iss Bande Ko Sabit Khadam Hoker Dikhlana Hain-, Chahe Jitni Bhi Musibat Pareshani Aajaye Samjhe Ke Ye Allah Ki Taraf Se Hain Aur Mere Liye Imtihan Hain Aur Mujhe Derr Na Nahi Iska Samna Karna Hain Aur Iss Pareshani Ko Asani Se Guzarjane Dena Hain-, Beshak Har Pareshani Ho Ya Khushi Allah Ke Taraf Se Hoti Hain-, Isiliye Bande Ko Har Haal Me Alhamdulillah Kehte Rehna Hain-. Isi me Kamyabi Hain Bhalayi Hain-.

MURAQIBA KYA HAI

*✨MURAQIBA KYA HAI?*
امام غزالی فرماتے ہیں کسی شخص نے ابن المبارک سے مراقبہ کے معنی دریافت کیے آپ نے فرمایا کہ، تو ہمیشہ کے لیے ایسے ہو جا کہ گویا تو اللہ عزوجل کو دیکھ رہا ہے
*Imam Ghazali farmate Hain kisi shaks ne Ibnul Mubarak se Muraqiba ke maine dariyaft kiye-, Aapane farmaya Ke-, Tu hamesha ke liye Aisa Ho ja ke goya – ” Tu Allah azzawajal ko dekh raha hai- “.*
*(📖Tasawuf aur Suluk, Pg : 98)*

*✨Explanation :*

Muraqiba (meditations) Ko He Eksuee bhi Kaha Jata Hain-, Surah Muzammil Ki Pehli Ayaton Me Kaha Ja Raha Ke Raat Ke 2 pehar utho aur Quran Ko Tehar Tahar kar Padho-, Isey Buzurganedeen Ne Kaha Ke Tahajjud Ada Karo, Ziker Azkar Karo Ya Eksuee (Muraqibe) Qayam Karo Takey Khuda Ki Taraf Mutawajjo Ho Sako-, Tab Yaha iss tarah Qayam Hone Per Kaha Ja raha Ke, ‘Beshak Tum Per Ek Bhari Kalam Utara Jayega’, اِنَّا سَنُلۡقِیۡ عَلَیۡکَ قَوۡلًا ثَقِیۡلًا ﴿۵﴾ -. Yani Marifat E Ilahi Hasil Hogi-. Ye waqt 2 am to 5 am ka Intihayi Khimti Waqt Hota Hain-, Jo Kuch Baragahe Ilahi Se Aata Hona Ho Inhi Waqton Me Ata Hota Hain-, Kyon Ke Allah Subhanahu Tala Ka Farman Hain Ke Wo Raat Ke In Waqt Per 3 asman Per Moujud Hota Hain Aur Nida Lagata Hain Ke Hain Koi Mujh Se Mangne Wala Ke Mai Uski Hajat Puri Karu-.

Bahare Haal Aap Tahjjud Padho, Ziker Azkar Karo Yaa Muraqibe Karo-, Yaha Kyon Me Muraqibe Ki Baat Ho Rahi Toh, Iske Talluq Se Pahle Sahi Tariqe Se Ilm Hasil Karna Lazmi Hain-, Akhir Muraqibe Me Karna Kya Hoga? Aur Muraqibe Me Bithne Ka Tariqa Kya Hain? Muraqiba Kya Sabhi Karsakte Hain Ya Iske Liye Ijazat Ki Zarurat Hain? Muraqiba Me Hota Kya Hain? Behatar Yahi Hain Ke Apne Apne Peero Murshid Se Iski Ijazat Leker Bitha Jaye Taakey Peero Murshid Ki Aap Per Nazar Ho-.

Muraqiba Me Ziker Azkar Karna Hain Na Tasawuraat, Sirf Apne Qayalaton Ko Roak Na Hain-, Ye Kaam Itna Asaan Nahi Jitna Samjh Araha-, Ek Khayal Ko Accept Jaise Karoge Hazaro Qayal Aajayenge-, Yahi Practice Karna Muraqiba Hain-, Jub Banda Isme Kamyab Hota Hain-, Jaha Se Uske Khayalat Rukte Hain, Wo Khudi Se Be-Khudi Me Jata Hain-, Aur Yahi Se Uska Ruhani Safar Shuru Hota Hain-, Uski Rooh ki Sair Hoti Hai aur Yahi Muraqiba Hain. Afsos ke Jis Se Hum Bohot Door Hain-.