๐นHazrat ALi ( as )๐น
“Tabeyat ki Narmi aur Sakhawat, insan ko Dushmnon k dilon main b Mehboob bana deti hai”
๐นHazrat ALi ( as )๐น
Tum acha karo aur zamana tum ko bura samjhy, yeh tumharay haq main behtar hai, bajaye is k k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay.
๐นHazrat ALi ( as )๐น
Wo gunah jo tumhare dil mein ranj paida kare, us naiki se behtar hai jo tumhare dil mein ghuroor paida kar de.
๐นHazrat ALi ( as )๐น
barish ka qatraha seepee aur saanp dono k muh main girta hai.
Seepee ussay moti bana deti hai aur saanp zehar bana deta hai.
Jis ka jaisa zarf waisi us ki takhleeq hoti hai.
๐นHazrat ALi ( as )๐น
Koi GUNAH Lazzat k lye mat karna
q k Lazat khatam ho jaegi GUNAH baqi rahjaega ,
Or koi NEKI taklif ki waja se mat chorna q k
taklif khatam ho jaegi NEKI baqi rahjaege!๐นHazrat ALi ( as )๐น
“Agar ksi ka banna chahte ho tou puri haqeeqat se ban jao
Warna,apni zaat main aisi haqeeqat paida kr lo
K koi haqeqat main tumhara ban jaye๐นHazrat ALi ( as )๐น
Ibn-e-adam!
Jab gunahon k bawajood Allah ki naimmatain musalsal tujhe milti rahen tou hoshyaar ho jana, k tera hisaab qareeb aur sakht tareen hai๐นHazrat ALi ( as )๐น
Jab Tum Duniya ki Muflasi say Tang Aa jao aur Rizq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa day kar ALLAH say Tijarat karo…
๐นHazrat ALi ( as )๐น
Sab se buri Kamai sod ki kamai,
Sab se buri Mazrat wo, jo mot k waqt ki jaey,
Sab se bura Khana yatim ka maal khana he.๐นHazrat ALi ( as )๐น
“Allah ki shan ye nahe k DUA ka darvaza kholay aur QUBOLIAT ka band kr day Ya TAUBA ka darvaza kholay aur MAGHFIRAT ka darvaza band kr day”.
๐นHazrat ALi ( as )๐น
Tum Kisi Ko Chaho Or Wo Tumhen Thukrade,
To Ye Us Ki Bad Nasibi Hai
Or Us k Bad Tum Usko Zabar Dasti Apnana Chaho To Ye Tumhari Nafs Ki Zillat Hai๐นHazrat ALi ( as )๐น
“Insan ki izzat aur us se mohabbat karo,kyun k har insan ke andar khuda ki koi Na koi sift maujood Hoti hai.
๐นHazrat ALi ( as )๐น
log dukh nahi detay, un say wabasta umeedain dukh dayti hain.
๐นHazrat ALi ( as )๐น
Mujhy jannat Sy Zyada Masjid May Bythna Acha Lgta Hai Kyon K jannat May Mera Naffs Khush Ho Ga jab K Masjid May Mera RAB Khush Ho
๐นHazrat ALi ( as )๐น
Ghulab Ka Phool Bano!
kyun K Yeh Phool Us K Haath Me Bhi Khusboo Chor Daita Hai
Jo Isey Masal Kar Phaink Daita Hai.๐นHazrat ALi ( as )๐น
1) Insaan Apni Toheen Muaaf Kar Sakta Hai Bhool Nahi Sakta!
2) Kabhi Na Girna Kamaal Nahi Bal’k Gir K Sanbhal Jaana Kamaal Hai.!๐นHazrat ALi ( as )๐น
“Jiska raabita
khuda ke saath ho wo naakaam nahi hota”“Naakaam wo
hota hai Jiski
umeedein
duniya se
waabasta hon”๐นHazrat ALi ( as )๐น
”Do tarah se cheezen dekhne me Chotti nazar aati hein”
Ek dur se..,
or
Doosra gharoor se…”
๐นHazrat ALi ( as )๐น
Apne dushman ko hazaar mouqay do k woh tumhara dost ban jaye.
Lekin…
Apne dost ko aik bhi mouqa na do k woh tumhara dushman ban jaye.๐นHazrat ALi ( as )๐น
Mein baron ki izzat is liye krta hun k unki nekiyaan mujse zaida hen or choton se pyar is liye krta hun k un k gunah mujse kam hen”
๐นHazrat ALi ( as )๐น
LOGOO ko USI tarha MAAF karo jaisay TUM KHUDA say UMEED rakhtay ho k wo TUMHAY MUAAF karega.
๐นHazrat ALi ( as )๐น
“Jab main
dastar khuaan par
2 rang k
khane dekhta hoon,
to
Laraz jata hoon!
k
Aaj phir kisi ka haq mara gaya hay”๐นHazrat ALi ( as )๐น
“Khush mizaji hamesha khoobsurti ki kami ko poora kr deti hai,
Laykin
Khoobsurti khush mizaji ki kami ko poora nahi kr sakti ”๐นHazrat ALi ( as )๐น
“Jis shakhs k ache DOST hon,
woh kabhi ghareeb nahi hota”๐นHazrat ALi ( as )๐น