Quran, Maths-Physics ke SAARE Equations aur Hazrat Muhammad KA Khuda!

Quran, Maths-Physics ke SAARE Equations aur Hazrat Muhammad KA Khuda!

(SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam)

Mathematics he ek aisi chiz hai jiske liye pen ki zarurat padti hai. Maths aur usse nikalne waale equations, agar inko chod den to baaki jitni subjects hain wo sab oraly sikhi aur samjhi jasakti hai. Jabse insan maths me aage badha to usse physics ka subject properly wujood me aaya. Fir physics ne maths use karke theories aur equations banaye jisse Kainat aur uski haqiqat par roshani girne lagi. Fir inhi equations ne un theories ko test karne ke zariye dikhaye jisse wo theories test hone lagi. 2 sabse badi theories, bilkul apex theories, Theory of Relativity aur Quantum Mechanics, pehle mathematical equations se samne aayin fir verify hogayi aur insan kainat ki aisi baato ko jaan gaya jo wo kabhi soch bhi nahi sakta tha. Black hole jaisi incredible chiz mathematical equations se baahar aayi, fir isi maths aur equations ne black hole ko dhundne ke tarike nikaale aur aaj hamare paas Black hole ka real photo bhi hai jisko insan pehle jaanta bhi nahi tha aur fir ek zamane tak sirf equations ke siwa kuch nahi tha.
Aur fir isi tarah jab theories ne kainat ka acha khasa picture insan ko dikhaaya, to wo kehne laga ke Khuda nahi hai, agar ho bhi to ab hame Uski zarurat nahi, yaani insan Khuda se khudko bay-niyaz aur khudko sabse intelligent samjhne laga, us Ilm ke hasil karne par jo kuch arse pehle tak uske gumaan me bhi nahi tha, jo khud maths yaani pen nikla tha. Ye “insan” aajka scientist hai. Yehi arrogant insan maths ko “Language of Universe” kehta hai.

“Jisne qalam (pen) ke zariye Ilm sihaaya.
Jisne insan ko wo (kuch) sikha diya jo wo nahi jaanta tha.
(Magar) haqiqat ye hai ki (na farman) insan sarkashi karta hai.
Is bina par ki wo apne aapko bay-niyaaz dikhaata hai
Beshaq (har insan ko) Aapke Rab he ki taraf lautna hai.”

Surah Alaq 96:4-8

Haina ye bilkul aajke (majority) scientists ka tariqa jo fakhr se Khuda ka inkar karte hain!

Yaha aur ek badi he Imaan Afroz baat: Jo scientists is ilm ke zariye Khuda ko maan bhi len to bhi unka “ye imaan” kabool nahi jab ke wo “RasoolAllah ke Khuda” ko nahi maante yaani sirf is natije pe pahunchna ke Khuda hai, ye kaafi nahi, unhe is baat ko manna padega ke Jis Khuda ke bareme Paigambar-e-Islam Hazrat Muhammad-e-Mustafa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne bataye they Wohi Khuda hai, yaani ALLAH! Is natije pe mai kaha se aaya?
“Beshaq (har insan ko) AAPKE RAB he ki taraf lautna hai.”
AAPKA RAB Ay Habib!!

SubhanAllah.
La Ilaha Illalaahu Muhammadur Rasoolullah
(SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam)