(1) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke
‘Chaand dekhkar Roza rakho aur Chaand dekhkar Iftaar karo.
Jis ne shak ke din Roza rakha us ne Abul Qaasim (sallallāhu alaihi wa sallam) ki na-farmaani ki.’(Sahih Bukhari, Jild -1, Baab -1194, Hadeeṡ -1779 se 1784)
(2) Hazrat Abdullāh ibn Abbaas radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwayat hai ki :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke
‘Ramazaan se pehle Roza mat rakho, us ka Chaand dekhkar Roza rakho aur Iftaar karo. Agar abr (badli) chha jaaye to 30 din ki miqdar mukammal kar lo.’(Tirmizi)
*************
5 Mahino me chand dekhna waajib hai :(1) Sha’abaan (2) Ramazaan (3) Shawwaal (4) Zil Qa’ada (5) Zil Hijja.