Day: May 15, 2020
Ramzan day 21 dars
Tawajjo e aini kya hai?
Kaun ALI?

Maula-e-Kainat ki Shaan
Kaun ALI?
ALI wo jisko Allah ne Apne Habib ke Noor se banaya
ALI wo jisko Allah ne Quran me Nabi ki Jaan
ALI wo jisko Allah ne Khayrul Bariyyah (saari makhlooq me sabse behtareen) kaha
ALI wo jiske lehje me Allah ne Apne Nabi se Kalaam farmaya
ALI wo jisko Allah ne Ambiya ka Madadgaar banaya
ALI wo jisko Allah ne Apni Marifat ata ki
ALI wo Jisko Allah ne Kulle Imaan banaya
ALI wo Jiski Wiladat Kaaba ke andar hui
ALI wo Jiski takhleeq Nabi Pak ki Mitti se hui
ALI wo Jisne sabse Chehra-e-Mustafa ko dekha
ALI wo Jisko Nabi ne Apna Bhai kaha
ALI wo Jiski Kafalat Nabi ne farmayi
ALI wo Jisko Nabi ne Apni Godh me sulaya
ALI wo Jisko Nabi ne Apne Haatho se khilaaya
ALI wo Jisne Nabi pe sabse pehle Imaan laaya
ALI wo jisne sabse pehle Deen ki Dawat par Labbaik kaha
ALI wo jisne sabse pehli Namaz padhi
ALI wo jisne kabhi gairullah ki ibadat nahi ki
ALI wo Jiski Paaki ka Bayan Quran ne kiya
ALI ko jo RasoolAllah ka Damad bana
ALI wo Jiska Nikah Afzalunnisa se hua
बदर मै आया तो फ़ातहे बदर केहलाया
ओहद में आया तो नासीरे रसूल केहलाय
❤❤❤❤❤❤
ख़ैबर में आया तो शहे लाफता केहलाया
खन्दक में आया तो क़ुल्ले ईमाँ केहलाया
❤❤❤❤❤❤
मुबाहिला में आया नफ़से रसूल केहलाया
ततहिर की चादर में आया वारिसे ततहिर केहलाया
❤❤❤❤❤❤
क़ुरान पढ़ा तो नुक़्ता ए बिस्मिल्लाह केहलाया
मेहराब में आया तो इमाने दो जहाँ केहलाया
❤❤❤❤❤❤
बुतो को बहार निकाला तो बूत शिकन केहलाया
आँख खुली तो अयनुल्लाह केहलाया
❤❤❤❤❤❤
हाथ उठाया तो यदुल्लाह केहलाया
चेहरा दिखाया तो वाज़हुल्लाह केहलाया
❤❤❤❤❤❤
तख़्त पर आया तो अमीरुल मोमिनीन केहलाया
तख़्त ठुकराक़र कर खाक़ पर बैठा तो अबुतुराब केहलाया.
या अली इब्न अबितालिब (अ.)आप पर इस ग़ुलाम का सलाम.
Aaj Unki Shahadat ka Din hai Jinhe Sayyeduna Abu Bakr o Umar samet saare Sahaba Apna Maula kehte they.
Jinki Takhleeq RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Noor se hui. Jis Matti se RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ka Jism-e-Aqdas banaya gaya, Usi Muqaddas Matti Inka Jism-e-Pak banaya gaya. Jinke Jism ke Andar ke Gosh ko Allah ke Rasool SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apna Gosh kaha, Jinke Rago me Behne Waale Muqaddas Khoon ko Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apna Khoon kaha. Aur fir Quran ne Unko Allah ke Habib ka Nafs kehkar Unka Muqaam Kainat ko bataya.
Jinki Wiladat Kaabe me hui, Jinki Shahdat Masjid me hui. Jinhone sabse pehle Allah ke Habib SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ka Deedar kiya aur Sabse pehle Islam kabool kiya aur sabse pehle Imam ul Anbiya Huzoor Sarwar e Kainat SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke piche Bajamat Namaz padhi. Jinhe Huzoor ne Apni Sabse Chahiti Shehzadi (Salamullahi Alaiha) se Nikah Karaya. Jinki Aulad se Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Nasl-e-Pak Aage Chali aur puri duniya ne Phaili! Jinpe Wilayat ka Darwaza khula, Jinhone Khilafat ko Zeenat bakhshi.
Jinki Jauza Kul Kainat ki Aurato ki Sardar, Jinke Bete kul Jannati Jawano ke Sardar.
Wo Kul Aulia ke Imam Ameerul Momineen Hazrat Sayyeduna Maula Ali al Murtaza KarramAllahu Wajhahul Kareem wa Alaihissalam wa RadiAllahu Ta’ala Anhu ki Aaj 21 Ramzan Shahadat ki Raat hai. Aapki Shahadat bhi hui to Shab-e-Qadr ki Raat me hui. Aur Shahadat 2 tarah ki hoti hain, Sirri (chupi hui/zehar waali) aur Jahri (zahiri/physical). Maula-e-Kainat ko zehar me dubi talwar se Shaheed kiya gaya. Yaani Aapki dono tarah ki Shahadat hui.
Kaun hai Kainat me Maula Ali jaisa ke Khud Allah ke Habib farmayen: “Ay Ali Tu Mujhse Hai Mai Tujhse Hun!”
Khuld me bus wohi jasakta hai,
Jisko Hasanain ke Baba ki Ijazat hogi!
Al Fatiha
Alaihim Afdalus Salawatu was Salaam
Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim.
Shabe Qadr शबे क़द्र*
*शबे क़द्र*


📕 बहारे शरीयत,हिस्सा 4,सफह 48
*फुक़्हा* – हुज़ूर सलल्ललाहु तआला अलैही वसल्लम की तमन्ना पर रब ने आपकी उम्मत को शबे क़द्र अता की जो 1000 महीनो की इबादत से अफज़ल है
📕 मुकाशिफातुल क़ुलूब,सफह 647
*फुक़्हा* – जो शबे क़द्र मे इतनी देर इबादत के लिये खड़ा रहा जितनी देर मे चरवाहा अपनी बकरी दूह ले तो वह रब के नज़दीक साल भर रोज़ा रखने वाले से बेहतर है
📕 क्या आप जानते हैं,सफह 367
*फुक़्हा* – जिसने इस रात खड़े बैठे जैसे भी ज़िक्रे इलाही किया तो जिब्रीले अमीन अपने पूरी फरिश्तों की जमाअत के साथ उसके लिये मग्फिरत की दुआ करते हैं
📕 अनवारुल हदीस,सफह 289
*फुक़्हा* – जो शबे क़द्र की बरकत से महरूम रहा वो बड़ा बदनसीब है
📕 बहारे शरीयत,हिस्सा 5,सफह 92
*फुक़्हा* – ज़्यादा तर बुज़ुर्गो का क़ौल है कि शबे क़द्र रमज़ान की 27वीं शब ही है
📕 कंज़ुल ईमान,पारा 30,सफह 710
📕 तफसीरे अज़ीज़ी,पारा 30,सूरह क़द्र
📕 मुकाशिफातुल क़ुलूब,सफह 649
📕 कशफुल ग़िमा,जिल्द 1,सफह 214
*ⓩ बहरे कैफ जो लोग इन 5 ताक रातों यानि 21,23,25,27,29 में इबादते इलाही मे मसरूफ रहते हैं बिला शुबह वो अल्लाह के नेक बन्दे हैं मौला तआला उनकी इबादतों को क़ुबूल फरमाये और अपने उन अच्छे बन्दों के सदक़े हम जैसे बदकारों की भी इबादतों को क़ुबूल फरमाये*
*आअमाल* – 4 रकात नमाज़ 2,2 करके इस तरह पढ़ें कि सूरह फातिहा के बाद सूरह तकासुर 1 बार और सूरह इख्लास 3 बार,इसको पढ़ने से मौत की सख्तियां आसान होंगी
📕 नुज़हतुल मजालिस,जिल्द 1,सफह 129
*आअमाल* – 2 रकात नमाज़ बाद सूरह फातिहा के सूरह इख्लास 7 बार सलाम के बाद ‘अस्तग़फिरुल्लाह’ 7 बार,इसको पढ़ने से उसके वालिदैन पर रहमत बरसेगी
📕 बारह माह के फज़ायल,सफह 436
*आअमाल* – 2 रकात नमाज़ बाद सूरह फातिहा के सूरह इख्लास 3 बार,इस नमाज़ का सवाब तमाम मुसलमानों को बख्शें और अपने लिए मग़फिरत कि दुआ करें तो रब तआला उसे बख्श देगा
📕 मुकाशिफातुल क़ुलूब,सफह 650
*दुआये शबे क़द्र* – अल्लाहुम्मा इन्नका अफ़ूवुन तुहिब्बुल अफ़्वा फ़ाअफ़ु अन्नी اللهم انك عفو تحب العفو فاعف عني
तर्जुमा – ऐ अल्लाह बेशक तू माफ करने वाला है और माफी को दोस्त रखता है मुझे भी माफ करदे
*फुक़्हा* – एक दिन की 20 रकात नमाज़ पढ़नी होगी पांचों वक़्त की फर्ज़ और इशा की वित्र,नियत यूं करें “सब में पहली वो फज्र जो मुझसे क़ज़ा हुई अल्लाहु अकबर” कहकर नियत बांध लें युंही फज्र की जगह ज़ुहर अस्र मग़रिब इशा वित्र सिर्फ नमाज़ो का नाम बदलता रहे,क़याम में सना छोड़ दे और बिस्मिल्लाह से शुरू करे,बाद सूरह फातिहा के कोई सूरह मिलाकर रुकू करे और रुकू की तस्बीह सिर्फ 1 बार पढ़े फिर युंही सजदों में भी 1 बार ही तस्बीह पढ़े इस तरह दो रकात पर क़ायदा करने के बाद ज़ुहर अस्र मग़रिब और इशा की तीसरी और चौथी रकात के क़याम में सिर्फ 3 बार सुब्हान अल्लाह कहे और रुकू करे आखरी क़ायदे में अत्तहयात के बाद दुरूद इब्राहीम और दुआए मासूरह की जगह सिर्फ “अल्लाहुम्मा सल्लि अला सय्यदना मुहम्मदिंव व आलिही” कहकर सलाम फेर दें,वित्र की तीनो रकात में सूरह मिलेगी मगर दुआये क़ुनूत की जगह सिर्फ “अल्लाहुम्मग़ फिरली” कह लेना काफी है
📕 अलमलफूज़,हिस्सा 1,सफह 62
————————————–
————————————–
📕 Bahare shariyat,hissa 4,safah 48
*FUQHA* – Huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ki tamanna par rub ne aapki ummat ko shabe qadr ata ki jo ki 1000 mahino ki ibadat se afzal hai
📕 Muqashifatul quloob,safah 647
*FUQHA* – Jo shabe qadr me itni deir ibadat ke liye khada raha jitni deir me charwaha apni bakri ka doodh dooh le to wo rub ke nazdeek saal bhar roza rakhne waale se behtar hai
📕 Kya aap jaante hain,safah 367
*FUQHA* – Jisne shabe qadr me khade baithe jaise bhi zikre ilaahi kiya to jibreele ameen apni poori farishton ki jamaat ke saath uske liye magfirat ki dua karte hain
📕 Anwarul hadees,safah 289
*FUQHA* – Jo shabe qadr ki barqat se mahroom raha wo bada bad naseeb hai
📕 Bahare shariyat,hissa 5,safah 92
*FUQHA* – Zyadatar buzurgaane deen ka qaul hai ki shabe qadr ramzan ki 27wi shab hi hai
📕 Kanzul imaan,paara 30,safah 710
📕 Tafseere azizi,paara 30,surah qadr
📕 Muqashifatul quloob,safah 649
📕 Kashful gima,jild 1,safah 214
*ⓩ Bahre kaif jo log in paancon taak raaton me yaani 21,23,25,27,29 ko raat bhar ibadate ilaahi me madroof rahte hain bila shubah wo maula ke nek bande hain maula unki ibadaton ko qubool farmaye aur apne un achchhe bando ke sadqe hum jaise badkaro ki ibaadat ko bhi qubool farmaye*
*AAMAAL* – 4 rakat namaz 2-2 karke is tarah padhen ki baad surah fatiha ke surah takasur 1 baar surah ikhlaas 3 baar,is namaz ko padhne se maut ke waqt ki sakhtiya aasaan hongi
📕 Nuzhatul majalis,jild 1,safah 129
*AAMAAL* – 2 rakat namaz baad surah fatiha ke surah ikhlaas 7 baar salaam pherne ke baad ASTAGFIRULLAH 7 baar,isko padhne se uske waalidain par rahmat barsegi
📕 Baarah maah ke fazayal,safah 436
*AAMAAL* – 2 rakat namaz baad surah fatiha ke surah ikhlaas 3 baar,is namaz ka sawab tamam musalmano ko bakhshen aur apne liye magfirat ki dua karen to maula taala use bakhsh dega
📕 Muqashifatul quloob,safah 650
*DUA-E SHABE QADR* – Allahumma innaka afuwun tuhibbul afwa faafu anni اللهم انك عفو تحب العفو فاعف عني
Tarjuma – Ai ALLAH beshak tu maaf karne waala hai aur maafi ko dost rakhta hai mujhe bhi maaf karde
*FUQHA* – Ek din ki 20 raqat namaz padhni hogi paancho waqt ki farz aur isha ki witr,niyat yun karen “sab me pahli wo fajr jo mujhse qaza huyi “ALLAHU AKBAR” kahkar niyat baandh lein yunhi fajr ki jagah zuhar asr magrib isha witr sirf namazo ka naam badalta rahe,qayaam me sana chhod de aur bismillah se shuru kare,baad surah fatiha ke koi surah milakar ruke rake aur ruku ki tasbih sirf 1 baar padhe phir yunhi sajdo me bhi 1 baar hi tasbih padhe is tarah do raqat par qaydah karne ke baad zuhar asr magrib aur isha ki 3ri aur 4thi rakat ke qayaam me sirf 3 baar subhaan allah kahe aur ruku kare aakhri qayde me attahyat ke baad duroode ibraheem aur duae maasurah ki jagah sirf ALLAHUMMA SALLI ALA SAYYIDINA MUHAMMADIW WA AALIHI kahkar salaam pher dein,witr ki teeno rakat me surah milegi magar duae qunoot ki jagah sirf ALLAHUMMAG FIRLI kah lena kaafi hai
📕 Almalfooz,hissa 1,safah 62

