13th Ramadan Yawm E Wissal & Urs Mubarak Of Sirr Ud Deen, Saalik E Malakoot, Tabe Taabi’een Hazrat Shykh Abul Hasan Sirri Al Saqati (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه).

13th Ramadan Yawm E Wissal & Urs Mubarak Of Sirr Ud Deen, Saalik E Malakoot, Tabe Taabi’een Hazrat Shykh Abul Hasan Sirri Al Saqati (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه).

Name:- Abul Hasan Ibne Mughalis (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه).

Alqaab:- Sirr Ud Deen, Saalik E Malakoot

Wiladat:- 155 Hijri In Baghdad Shareef.

Wissal:- 13th Ramadan 253 Hijri Ko 98 Saal Ki Umar Me Hua.

Dargah Place:- (Baghdad Shareef, Iraq)

Aap Tabe Taabi’een Hain.

Aap Hazrat Ma’aruf Karkhi Ke (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه) Mureed Aur Khalifa Hain.

Ek baar Aap Apni Dukaan Me Baithe Ke Hazrat Habeeb Raee Waha Se Guzre. Aap Ne Adab Ke Saath Sulook Kiya Aur Un Ko Khaana Khilaaya. Hazrat Ne Aap Ke Liye Dua ki. Aur Un Ki Dua Se Aap Ke Dil Ka Aalam Badal Gaya Aur Tasawwuf Aur Sulook Ki Ta’aleem Haasil Krna Shuru Kiya.

Aap Ne Hazrat Fuzail Bin Ayaaz (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه) Aur Hazrat Ma’aruf Karkhi (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه). Se Bhi Taa’aleem Haasil Ki.

Aap Hazrat Bishr Haafi (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه) Ke Bahot Khaas Dost The.

Aap Imam E Ahle Tasawwuf Hain. Aap Ne Iraq Me Sab Se Pehle Tasawwuf Ki Ta’aleem Dena Shuru Kiya.

Aap Ke Wissal Se Pehle Hazrat Junaid Al Baghdadi Aap Ki Khidmat Me Aaye. Aap Beemaar The. Waha Ek Pankha Pada Tha. Hazrat Junaid Al Baghdadi Ne Wo Pankha Uthaya Aur Aap Ko Hawa Dene Lage. Aap Ne Un Ko Roka Aur Farmaya ‘‘Junaid”, Pankha Neeche Rakh Do.
Aag Pankhe Se Jyada Taaqat Wali Hai.
Hazrat Junaid Al Baghdadi Ne Kuch Naseehat Ke Liye Kaha. Aap Ne Farmaya
‘‘Logo Ki Sohbat Me Rehkar ALLĀH Ta’ala Ki Muhabbat Se Gaafil Na Hona”.
Ye Kehkar Aap Inteqaal Farma Gaye.

Aap ke khalifa:-

(1) Hazrat Shykh Junaid Al-Baghdadi (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه).
(2) Hazrat Shaah Abu Muhammad Roomi,
(3) Hazrat Shaah Shaikh E Kabeer,
(4) Hazrat Shaah Hartaboon,
(5) Hazrat Shaah Abul Abbaas Mazroof,
(6) Hazrat Shaah Abu Hamzah,
(7) Hazrat Shaah Abul Hasan Noori,
(8) Hazrat Shaah Fatal al-Mausuli,
(9) Hazrat Shaah Abdullāh Harraar
(10) Hazrat Shaah Saeed Abraar.

. *‏꧁🌹🍥✰﷽✰🍥🌹꧂*
🌷🌹🌷
🌹💦💞🌹💦💞🌹💦💞
*_🌹 Assalam O Alaikum 💦💞_*
*_🌹Waa Rahamatullahi 💦💞_*
*_🌹Waa Barakatuhu 🌹💦💞_*
🌹💦💞🌹💦💞🌹💦💞
_*🌴👑URS MUBARAK 👑🌴*_
🌷🌹🌷
_*🌴13 RAMZAN UL MUBARAK 🌴*_
_*🌴👑HAZRAT SHAIKH 👑🌴*_
*_🌴👑ABUL HASAN 👑🌴_*
*_🌴👑SIRRI AL-SAQTI 👑🌴_*
*_🌴👑BAGHDAD (IRAQ) 👑🌴_*
_*🌴👑 رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه👑🌴*_
🌷🌹🌷
_*🌴🌹Aap ki wilaadat 155 Hijri me hui*_
🌴🌹💦🌴🌴💦🌹🌴
_*🌴🌹Aap ke waalid ka naam Mughalis hai*_
🌷🌹🌷
*_🌴🌹Ek baar Aap apni dukaan me baithe ke HAZRAT HABEEB RAEE waha se guzre. Aap ne adab ke saath sulook kiya aur un ko khaana khilaaya. HAZRAT ne Aap ke liye dua ki. Aur un ki dua se Aap ke dil ka aalam badal gaya aur Tasawwuf aur sulook ki ta’aleem haasil krna shuru kiya_*
🌴🌹💦🌴🌴💦🌹🌴
*_🌴🌹Aap Tabe Taabi’een hain_*
🌷🌹🌷
*_🌴🌹Aap ne HAZRAT FUZAIL BIN AYAAZ رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه aur HAZRAT MAARUF KARKHI رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه se ta’aleem haasil ki_*
🌴🌹💦🌴🌴💦🌹🌴
*_🌴🌹Aap HAZRAT BISHR HAAFI رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه ke bahot khaas dost the_*
🌷🌹🌷
*_🌴🌹Ek martaba Aap ke PEER O MURSHID HAZRAT MAARUF KARKHI رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه ek yateem bache ko saath lekar Aap ke paas aaye aur farmaya ke “Is bache ko kapde pehna do.” Ap ne us bache ko kapde pehna diye_*
*_Hazrat ne dua farmai ke “Khuda ta’aala dunya ko tum se door kar de aur tumhe is shugl se raahat de.” HAZRAT ki is dua ki barkat se Aap dunya se kinaara-kash ho gaye_*
🌴🌹💦🌴🌴💦🌹🌴
*_🌴🌹Aap Imaam e Ahle tasawwuf hain. Aap ne Iraq me sab se pehle Tasawwuf ki ta’aleem dena shuru kiya_*
🌷🌹🌷
*_🌴🌹Ek baar Baghdad me bahut badi aag lagi Jis se pure shaher me nuqsaan hua. HAZRAT SIRRI SAQTI رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه apni dukaan ke haalaat dekhne ke liye nikle. Waha pahunche to pata chala ke Aap ki dukaan salaamat hai. Aap ne Phauran kaha_* *_“Alhamdillāh” Phir aap ko khayaal aaya ke “Khud ki dukaan salaamat dekhkar ALLAH ka shukr maante ho magar itne khudgarz ho gaye ke tumhe dusro ke nuqsaan aur takleef ka khayaal kyun nahi aaya?”_*
*_🌴🌹Is baat ke liye 30 saal tak tauba karte rahe_*
🌴🌹💦🌴🌴💦🌹🌴
*_🌴🌹Ek baar Aap wa’az kar rahe the Ahmad bin Yazeed naami ek shakhs waha aaya. Wo khalifa ka wazeer tha. Aap us waqt farma rahe the ke ‘Tamaam makhlooq me insaan sab se kamtar hai. Magar wo khud ko itna bahaadur samajhta hai ke gunaah karne se darta nahi.’ Aap ke in alfaaz ka us shakhs par aisa asar hua ke wo apne ghar jaakar tanhai me baith gaya. Us ne raat ko khaana bhi na khaaya. Subah ko wo saada libaas me aap ki baargaah me haazir hua aur Aap se arz kiya ke ‘Kal aap ke dars ne mere dil par gehra asar kiya hai. Aap mujhe ALLAH ke qareeb hone ka raasta bataiye.’ Aap ne farmaaya “Ek aam raasta ye hai ke 5 waqt paabandi ke saath ba-jama’at namaaz ada karo, Zakaat dete raho aur ahkaam e shariat par amal karo_*
🌷🌹🌷
*_🌴🌹Aur dusra khaas raasta ye hai ke tum khud ko dunyaawi baato se alag kar do aur ibaadat e ilāhi me lage raho aur har baat me sirf ALLĀH ta’ala ki raza ki khwaahish rakho is ke ilaawa kuchh nahi.” Yeh sunkar AHMAD BIN YAZEED foran jangal ki taraf chala gaya aur ibaadat e ilāhi me lag gaya_*
🌴🌹💦🌴🌴💦🌹🌴
*_🌴🌹Kuch din baad us ki MAA aai aur rote hue Aap se kaha ‘Mera ek hi beta hai aur pata nahi wo kaha chala gaya hai?’ Aap ne farmaaya “Fikr mat karo. Tumhara beta jaldi hi waapas aayega aur jab wo aayega to main tumhe ittila de dunga.” Kuch din baad woh shakhs faqeeri libaas me aaya magar Aap ki ziyarat karke chala gaya. Dusri baar jab woh milne aaya tab Hazrat ki khidmat me hi intiqaal kar gaya_*
🌷🌹🌷
*_🌴🌹Hazrat Junaid Al- Baghdadi رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه farmaate hain ke_*
*_🌴🌹Ek baar HAZRAT SIRRI AL-SAQTI رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه ne farmaaya ke “Ek raasta aisa hai jo sidha Jannat ki taraf le jaata hai.” Maine puchha “Wo raasta kaun sa hai?”Aap ne farmaaya “Kisi se kuchh maango nahi, Kisi se kuchh lena nahi aur jo cheez dusre (haajatmand) ko de sakte ho woh cheez tumhare paas rakhna nahi”_*
🌷🌹🌷
_*🌴🌴Aqwaal 🌴🌴*_
*_‾‾‾‾‾‾_*
*_🌴🌹Aap irshaad farmaate hain ki :_*
🌷🌹🌷
*_🌴🌹(1) Aarif (Soofi) chaand ki tarah hona chaahiye jis ki roshni se tamaam kaa’inaat ko faa’ida milta hai, woh zameen ki tarah hona chaahiye jo achhe aur bure tamaam logo ke liye hai (sab ka bojh uthaati hai), woh paani ki tarah hona chaahiye jo sab ko (sab ke dilo ko) paak karta hai, aur woh aag ki tarah hona chaahiye jis ki garmi se sab ko faa’ida milta hai_*
🌴🌹💦🌴🌴💦🌹🌴
*_🌴🌹(2) Soofi ke andar 3 khaslaten hona zaroori hain :_*
*_🌴[1] Us ka Noor-ul-Maarifah Noor-ul-Wara (Zohad o Taqwa) se alag nahi hona chaahiye_*
*_🌴[2] Us ka Baatin (Ilm) us ke Zaahir (Amal) se alag nahi hona chaahiye_*
*_🌴[3] Use apni kisi bhi Karaamat se kisi bhi Haraam cheez par parda nahi karna chaahiye_*
🌴🌹💦🌴🌴💦🌹🌴
*_🌹(3) Jo shakhs apne nafs par qaaboo nahi paa sakta wo dusre ko kaise paak karega (hidaayat dega)?_*
🌴🌹💦🌴🌴💦🌹🌴
_*🌹(4) Apne Rab ke farmaan bardaar ban jaaoge to dunya tumhari taabedaar ban jaayegi*_
🌴🌹💦🌴🌴💦🌹🌴
*_🌴🌹Aap HAZRAT SHAIKH MAARUF KARKHI رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه ke mureed aur khalifa hain_*
🌷🌹🌷
*_🌴🌴AAP KE KHULFA 🌴🌴_*
🌷🌹🌷
*_🌹(1) Hazrat Shaikh Junaid al-Baghdadi رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه_*
_*🌹(2)Hazrat Shah Abu Muhammad Roomi رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه*_
*_🌹(3) Hazrat Shaah Shaikh e Kabeer رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه_*
*_🌹(4) Hazrat Shaah Hartaboon رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه_*
*_🌹(5) Hazrat Shaah Abul Abbaas Mazroof رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه_*
*_🌹(6) Hazrat Shaah Abu Hamzah رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه_*
*_🌹(7) Hazrat Shaah Abul Hasan Noori رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه_*
*_🌹(8) Hazrat Shaah Fatal al-Mausuli رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه_*
*_🌹(9) Hazrat Shaah Abdullāh Harraar رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه_*
*_🌹(10) Hazrat Shaah Saeed Abraar رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه_*
*_🌹(11) Hazrat Shaikh Abul Qaasim Nasr رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه_*
🌴🌹💦🌴🌴💦🌹🌴
_*🌴🌹Aap ke wisaal se pehle Hazrat Junaid Al- Baghdadi رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه aap ki khidmat me aaye. Aap beemaar the. Waha ek pankha pada tha*_
🌷🌹🌷
*_🌴🌹Hazrat Junaid Al- Baghdadi رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه ne woh pankha uthaaya aur aap ko hawa karne lage. Aap ne un ko roka aur farmaaya “Junaid! Pankha neeche rakh do. Aag pankhe se zyada taqat waali hai.”Hazrat Junaid Al- Baghdadi رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه ne kuch naseehat ke liye kaha. Aap ne farmaaya “Logo ki sohbat me rehkar ALLAH TAALA ki mohabbat se ghaafil na hona.”Yeh kehkar Aap Intiqaal farma gaye_*
🌴🌹💦🌴🌴💦🌹🌴
_*🌴🌹Aap ka wisaal 13 Ramzan 253 Hijri ko Mangal ke roz 98 saal ki umar me hua*_
🌷🌹🌷
_*🌴🌹Aap ka mazaar Baghdad (Iraq) me hai*_
🌴🌹💦🌴🌴💦🌹🌴
_*🌴🌹ALLAH TAALA APNE Habeeb ﷺ aur khalifaullah HAZRAT MEHNDI E MAUD ALEHHISALAM , KHATIMEEN ALEHISSALAM ke sahaba raz ke sadqe me*_
🌷🌹🌷
*_🌴🌹Aur HAZRAT SHAIKH SIRRI AL-SAQTI رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔه aur tamaam Auliya Allah رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنٔهم ke waseele se Sab ko mukammal ishq‌ E Rasool ﷺ Waa ishq e Mehndi ALEHISSALAM ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae_*
💦💞💞🌴🌴💞💞💦
_*🌴ALLAH Taala Hum Sab Ko Ahle Bait Se Mohabbat Aur Jannat Me Hume Unka Sath Naseeb Kare

Leave a comment