नादे अली Nade Ali

नादे अलियम मज़्हर-ल अजाईब तजिद-हू अव्-नल ल-का फिन्-नवाइब कुल्लू हम्मिवं व गम्मिन् सयन्-जली बे अज़्मतिका या अल्लाहो व बे नुबुव्वतिका या मुहम्मद सल्लल्लाहु अलैहि व आलेहि व सल्लम व बे विलायति-का या अली या अली या अली

हिंदी तर्जुमा:

पुकार ‘अलीع को जो आसार-ए-क़ुदरत-ए-हक़ है।
उन्हें मसाइब में अपना मददगार पाएगा |
‘अनक़रीब हर रन्ज-ओ-ग़म दूर हो जायेंगे |
अल्लाह ﷻ की अज़मत के सदके
आपकी नबुव्वत के तुफैल ऐ मुहम्मद ﷺ
और आपकी विलायत के तुफैल ऐ ‘अलीع ऐ ‘अलीع
ऐ ‘अलीع🌹

Bismillah HirRahmaan NirRahim”

NAAD E ALI

“NAAD-E-‘ALI YYAM-MAZHARIL ‘AJAAIBI

TAJID HU ‘AW-NAL-LAKA FIN-NAWAA-IBI
QULLU HAMINW-WA GHAMMIN SAYAN-JALI BI AZMATIKA YA ALLAHUﷻ

WA-BI NABUWWATI-KA YA MUHAMMADﷺ
WA BI WILAYAATI-KA YA ALIYYU YA ALIYYU YA ALI”

Tarjuma:

Pukar ‘Aliع Ko Jo Aasar e Qudrat e Haq Hai . Unhein Masa’iib Mein Apna Madad-gar Payega .

‘Anqareeb Har Ranj O Gham Dur Ho Jayenge.
Allah ﷻ Ki Azmat Ke Sadqe
Apki Nabuwwat Ke Tufail Aey Muhammad ﷺ
aur Aapki Wilayat Ke Tufail
Aey ‘Aliع
Aey Aliع
Aey Aliع

🌹🌹🌹🌹🌹🌹


Nad-e-Ali ka Tareekh Mein Wajood

Hazrat Rasool-e-Khuda Muhammad Mustafaﷺ ne

Ameerul Momineen ‘Ali Ibn Abi Talib Karramallaho Wajhil Karim ko apni aulad ki tarah pala.

Nad-e-Ali ek esi dua hai jo sadiyon se aameleen ke maamulat mein shamil hai.

Ye dua Imam Al Auliya Hazrat Ali Razi Allaho Ta’ala Anho se mansoob hai.

Aur Nad-e-Ali ke fayde par beshumar tahreer dastiyab hai.

Jang-e-Uhud mein kuffaron ne janab-e-risalat Muhammadﷺ ke dandan-e-mubarak ko shaheed kiya.

Aur Hazrat Hamzah bin Abdul Mutallib Razi Allaho Ta’ala Anho darja shahadat par faaiz ho gaye.

Aur bahut se Sahaba Momin O musalman maqtool wa majrooh hue.

Us waqt ALLAHﷻ ne Hazrat Jibraeel Alayhis Salam ke zariye Pyare Aaqa Muhammadﷺ ki khidmat mein

In kalmat shareef nad-e-ali ke zariye Hazrat ‘Ali ع ko talab karein.

Hasb-e-Irshad e baari ta’ala jab Hazrat Muhammad Mustafa ﷺ ne apni zubaan mubarak par Nad-e-Ali jari farmaya.

Bawajood doori e musaafat (meelon ki doori) awaz mubarak

Hazrat Shah Mardan Shere Yazdaan ke gosh (Kaan) mubarak tak pahunchi.

‘Ali Ibn Abi Talib ne labbaik ya Rasoolullah ﷺ jawab me farmaya.

Aur usi ghadi rasta tay karke aapki khidmat ba barkat mein hazir ho gye.

Hazrat Muhammad ﷺ ko maqtoolo mein khada hua mulahiza farmakar Asadullah Ali Murtaza Karramallaho Wajhil Karim ne miyaan se zulfiqaar kheenchi aur kuffaro se muqabla karke ek ek ko qarara jawab dekar Waasil e Jahannum Kiya.

ye halat dekhkar kuffaron ki baqi jama’at farar ho gayi.
Aur lashkar-e-Islam fatahyab hua. Aur bahut sa maal ghaneemat paya

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s