Raston Mein Qazaye Hajat Ki Mumani’at

allah-wallpaper4-300x300

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Be on your guard against two things which provoke cursing. They (the companions present there) said: Messenger of Allah, what are those things which provoke cursing? He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Easing on the thoroughfares or under the shades (where they take shelter and rest).

[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 516, 641]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “La’nat (ka sabab banne) wale 2 Kamon se bacho.” Sahaba RadiyAllahu Anhum ne pucha: Ya RasoolAllah! Wo 2 kaam konse hain? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:

❶ “Raaste o Guzar gaah mein Paishab Pakhana karna.
❷ (isi tarah) Saya daar Jagah mein Paishab Pakhana karna.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 618]

●◗► Jidhar se log aate jate hon aur jahan log Baith kar Aaram kar lete ho Aise jagaho par Paishab Pakhana karne se mumani’at farmayi, in dono kamon se logon ko takleef hogi aur wo bura kahenge la’nat karenge.

SHAB E BARA’AT ME HUZOOR KI SHAFA’AT TAMAM MOMINO KE LIYE QABOOL HO CHUKI HAI

 

saws-287x300

HADEES SHAREEF

HAMARE PIYARE RASOOL MUSTAFA KAREEM صلی الله علیہ وسلم NE SHA’ABAN KI 13WIN RAAT KO ALLAH TA’ALA KI BARGAH ME UMMAT KI SHAFA’AT KI DUA KI TO EK TEHAEE UMMAT KI SHAFA’AT QABOOL HUI , PHIR 14WIN RAAT KO DUA KI TO DO TEHAEE UMMAT KI SHAFA’AT KI GAI , PHIR 15WIN RAAT SHAB E BARA’AT ME DUA KI TO SARI UMMAT KE HAQ ME SHAFA’AT QABOOL HO GAI – ALAWAH UN NAFARMAN BANDON KE JO ALLAH KI ATA’AT SE OONT KI TARAH BIDAK KAR BHAGTE HAIN

REF {MAKASHEFA TAL QULOOB , PAGE : 250 }

SARKAR صلی الله علیہ وسلم KI SHAFA’AT QAYAMAT KE DIN:

HADEES SHAREEF

HAZRAT JABIR BIN ABDULLAH RAZI ALLAH TA’ALA ANHOMA RAWAYAT KARTE HAIN – HAMARE PIYARE NABI MUSTAFA KAREEM صلی الله علیہ وسلم NE FARMAYA

واعطیت ما لم یعطھن احد قبلی الی قولہ و اعطیت الشفاعة

AUR MUJHE ATA KIYA GAYA WAH SAB KUCH JO MUJH SE PAHLE KISI NABI KO NAHI DIYA GAYA AUR MUJHE SHAFA’AT ATA KI GAI

REF { BOKHARI JILD 1 PAGE 48 }

REF { MULIM JILD 1 PAGE 199 W NESAEE }

Takbeer e Tashreeq

Beautiful-Muhammad-PBUH-Wallpaper

الله أكبر الله أكبر

لا إله إلا الله
الله أكبر الله أكبر

ولله الحمد

Allāhu akbar Allāhu akbar
Laa ilāha illallāh
Wallāhu akbar Allāhu akbar
Wa lillāhil hamd.

Tarjuma :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
ALLĀH sab se bada hai, ALLĀH sab se bada hai,
ALLĀH ke siwa koi ibaadat ke laa’iq nahi,
Aur ALLĀH sab se bada hai, ALLĀH sab se bada hai,
Aur ALLĀH hi ke liye tamaam ta’areefen hai.

*******
Maah e Zil Hijjah me aur khaas kar Ayyaam e Tashreeq me ya’ni 9 Zil Hijjah se 13 Zil Hijjah tak is takbeer ko zyada se zyada padhen. Is ka bahot zyada sawaab hai.

*******
Chand khaas baaten :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) 9 Zil Hijjah ki Fajr se 13 Zil Hijjah ki Asr tak har Farz Namaaz ke baad Takbeer e Tashreeq padhna Waajib hai.
1 baar padhna Waajib hai aur 3 baar padhna Afzal hai.

(2) In dino me Jama’at ke saath namaaz padhne waale ke liye har farz namaaz ke baad Takbeer e Tashreeq padhna Waajib hai.
Tanha namaaz padhne waale ke liye aur Musaafir par Waajib nahi, lekin Mustahab hai.

(3) Mard buland aawaaz se padhen aur Aurten aahista padhen.

**********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur In baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aameen.