Auliya Allāh ka bayaan

48380767_1461128814021638_3028257736761540608_n

Wali ka ma’ana hai Dost.
›› Auliya Allāh ALLĀH ta’ala ke wo Mo’min Saalih Muqaddas bande hote hain jo Rab ke mehboob aur muqarrab o waasil wa pasandeeda hote hain jin ko ma’arifat e ilāhi aur qurb e ilāhi ka ek khaas darja mila hai.

›› ALLĀH ta’ala jise chaahta hai use apne fazl aur ataa se Huzoor Sarwar e kaa’inaat Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me Wilaayat ata farmaata hai.

******************
›› Wilaayat ki 3 qisme hain :
[1] Wilaayat e Fitri – Jo paida’ishi wali Allāh hote hain.
[2] Wilaayat e Kasabi – Jo apni ibaadat, riyaazat aur zohad o taqwa se Allāh ke wali bante hain.
[3] Wilaayat e Wahabi (Ataai) – Jo kisi ki dua se wali Allāh bante hain (Kisi Wali Allāh ki ya Ahle bait /Aal e Rasool ki ya Peer ki ya Waalidain ki dua se).

******************
›› Auliya Allāh har zamaane me hote hain aur qayaamat tak hote rahenge.

›› Ba’az Auliya Allāh Wilaadat (paida’ish) se hi zaahir hote hain, ba’az kuchh arse ke ba’ad aur ba’az wisaal (dunya se parda farmaane) ke baad zaahir hote hain.

›› Wilaayat ke bahot se Darjaat hote hain :
Maslan Ghauṡ, Qutub, Nuqaba, Awtaad, Abraar, Abdaal aur Akhyaar.
Ghauṡ Wilaayat ka sab se a’ala darja hai. ALLĀH ta’ala jise Ghauṡ ke liye muntakhab karta hai wo paida’ishi Wali hota hai aur Ghauṡ e zamaan par ALLĀH ka fazl e khaas aur Huzoor Sarwar e kaa’inaat Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam aur Hazrat Maula e kaa’inaat Ali Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu ka faiz e khaas hamesha jaari hota hai.

›› Dunya me 1 Ghauṡ, 3 Qutub, 3 Nuqaba, 4 Awtaad, 7 Abraar, 40 Abdaal aur 300 Akhyaar hote hain.

Qutub ke 3 darje hain : Qutub-ul-Bilaad, Qutub-ul-Mutassarif, aur Qutub-ul-Irshaad. Aur sab Qutub me se ek Qutub-ul-Aqtaab hota hai.

Jab Ghauṡ ka wisaal hota hai to ALLĀH ta’ala Qutub-ul-Aqtaab ko Ghauṡ banaata hai. Jab kisi Qutub ka wisaal hota hai to Nuqaba me se kisi ek ko Qutub banaata hai. Jab kisi Nuqaba ka wisaal hota hai to kisi Awtaad ko Nuqaba banaata hai. Jab kisi Awtaad ka wisaal hota hai to Abraar me se kisi ek ko Awtaad me banaata hai. Jab kisi Abraar ka wisaal hota hai to Abdaal me kisi ek ko Abraar banaata hai. Jab kisi Abdaal ka wisaal hota hai to Akyaar me se kisi ek ko Abdaal banaata hai aur Jab kisi Akhyaar ka wisaal hota hai ya us to ALLĀH ta’ala kisi Mo’min Saaleh ko Akhyaar banaata hai.
Aur in ki muqarrar ta’adaad utni hi rehti hai.
Jo Mo’min Saaleh Akhyaar banne ke qaabil hote hain wo Wilaayat e sughra ke maqaam tak pahunch chuke hote hain.

******************
Auliya Allāh ke fazaa’il :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Qur’an :
10 Surah al-Younus, Aayat 62-63-64 :

أَلَا إِنَّ أَوْلِيَاءَ اللَّهِ لَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُونَ
الَّذِينَ آمَنُوا وَكَانُوا يَتَّقُونَ
لَهُمُ الْبُشْرَىٰ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَفِي الْآخِرَةِ ۚ لَا تَبْدِيلَ لِكَلِمَاتِ اللَّهِ ۚ ذَٰلِكَ هُوَ الْفَوْزُ الْعَظِيمُ

Khabardaar sun lo beshak jo ALLĀH ke dost hote hain un ko na to koi khauf hota hai aur na koi gham hota hai.
Wo log jo eimaan laaye aur (hamesha) taqwa par rahe.
Un ke liye duniya ki zindagi me (izzat wa kaamyabi ki) khush-khabari hai aur aakhirat me bhi (maghfirat wa shafa’at ki).

(2) Qur’an :
16 Sural al-Nahl, Aayat 128 :
Beshak ALLĀH (apni ma’asiyat e khaas se) un logo ke saath hai jo Taqwa waale ho aur wo log jo Ehsaan (aur Ikhlaas) waale ho.

(3) Qur’an :
25 Surah al-Furqaan, Aayat 63 :

Rahmān ke bande wo hain jo zameen par aahista chalte hain aur jab un se jaahil log baat [bahes] karte hain to wo salaam kehte hain (aur rukhsat ho jaate hain).

(4) Hadeeṡe Qudsi :

ALLĀH ta’ala farmaata hai :
‘Jis ne mere kisi Wali se dushmani ki main us se elaane jang karta hu.’

(Bukhari, Jild -5, Hadeeṡ -2384;
Sunan Ibne Maajah, Kitaab-ul-Fitan, Hadeeṡ -3989)

(5) Hadeeṡe Nabawi :

Hazrat Abdullāh bin Umar radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya,
‘Beshak ALLĀH ta’ala ke kuchh khaas bande aise hain ke ALLĀH ta’ala ne unhe makhlooq ki haajat rawaai ke liye khaas farmaaya hai. Log apni haajaten un ke paas lekar aate hain (aur wo un ki haajat rawaai karte hain). ALLĀH ta’ala ke wo khaas bande azaab e Ilāhi se amaan me hain.’

(6) Hadeeṡe Nabawi :

Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ki
‘Jab tum me se kisi ki sawaari jangal me chhut jaaye ya koi cheez kho jaaye to is tarah pukaarna chaahiye : Aa’inooni Ya Ibaad-Allāh ya’ni Aye ALLĀH ke bando, meri madad karo. Aisa 3 baar kahe.
Kyun ki ALLĀH ke bahot se aise bande is zameen par hote hain, Jo tumhari madad karenge.”

(Tibraani Kabeer, Hadeeṡ -105 18;
Fatah-ul-Qadir, Jild – 1, Safa -92)

(7) Ala inna awliya Allāhi laa yamutuna balayantakiluna daarin ila daar.

Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ki
“Khabardaar sun lo beshak jo ALLĀH ke dost hote hain wo marte nahi hain balke ek ghar se dusre ghar me tashreef le jaate hain.”

(8) Hadeeṡe Nabawi :

Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu riwaayat hai :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya,
‘ALLĀH ke kuchh bande aise honge jo na Nabi honge aur na Shohada honge; Magar roze mehashar un ke buland maqaam ko dekh kar Nabi bhi rashk karenge aur Shohada bhi rashk karenge.’

Asahaaba ne arz kiya : ‘ Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Hume bata den, wo kaun log honge?’

Aap sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya, ‘Yeh wo log hain jo ALLĀH ke liye ek dusre se mohabbat karte hain. ALLĀH ki qasam un ke chehre 14wi raat ke chaand ki tarah chamak rahe honge aur wo noor ke mimbaron par baithe honge. Us din jab log khaufzada honge unhe koi khauf na hoga aur jab us din log ghamzada honge unhe koi gham na hoga.’

Phir Aap sallallāhu alaihi wa sallam ne yeh Aayat Tilaawat ki –
أَلَا إِنَّ أَوْلِيَاءَ اللَّهِ لَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُونَ
(Qur’an :
10 Surah al-Younus, Aayat 62)
‘Khabardaar sun lo beshak jo ALLĀH ke dost hote hain un ko na to koi khauf hota hai aur na koi gham hota hai.’

(Abu Daawūd, Jild -3, Safa -288, Hadeeṡ -3527)

(9) Hadeeṡe Nabawi :

Ek baar Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya,
‘ALLĀH ta’ala ne meri ummat me 70,000 afraad aise ata farmaaye hain jo baghair hisaab o kitaab ke Jannat me daakhil honge.’
Ye sunkar ek sahaabi aage aaye aur arz kiya ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Aap ne ALLĀH ta’ala se majeed na maanga?’
Aap ne aage irshaad farmaaya ‘Wo har ek apne saath 70-70 hazaar logo ko Jannat me leke jaayenge.’

(Sahih Bukhari, Jild -11, Kitaab-ul-Raqaia, Safa 416;
Sahih Muslim, Jild -1, Kitaab-ul-Eimaan, Safa -198)

********************
Auliya Allāh ki khubiya (khaslaten) :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾

(1) ALLĀH ta’ala apne auliya ko khaas khubiya ata farmaata hai.
Un ke chehre par aisa Noor ata farmata hai ke dekhne waale keh deta hai ‘Maashaa Allāh’ aur un ka kalaam (guftagu) sunne wale keh dete hai ‘Sub’hān Allāh’ aur un ke amal dekhkar logo ko apne gunaaho se tauba karne ki taufiq milti hai.

(2) Auliya Allāh Mo’min Saaleh bande hote hain.
Un ke Aqeede aur amal sahih aur nek hote hain.
Wo Ikhlaas ke saath Raza e Ilāhi ke liye nek amal karte hain.
Wo har amal Khushu aur Khuzu ke saath karte hain.
Wo Riya (dikhaawa) aur Takabbur se paak hote hain.
Unhe Shoharat ki laalach nahi hoti.
Wo Ta’azeem e Rasool aur Ita’at wa Iteeba e Rasool karke mukammal ishq e Rasool ka ṡaboot paish karte hain.
Wo Farz amal ada karne ke saath nawaafil ki kaṡrat karte hain.
Zyada waqt Ibaadat o Riyaazat, Zikr e ilāhi, Tilawaat e Qur’an aur Durood o Salaam padhne me guzaarte hain.
Un ko ALLĀH ta’ala gunaaho se bachne ki taufiq ata farmaata hai.
Wo hamesha Taqwa (parhezgaari) ikhtiyaar karte hain aur khufe khuda se gunaah se bachte hain.
Wo Zohad ikhtiyaar karte hain aur hamesha ALLĀH ki raza ke liye aur aakhirat ke liye dunya (ke maal wa daulat) se mohabbat wa raghbat nahi rakhte.

Wo Kam bolna Hikmat samajhte hai, Kam khaana Sehat samajhte hai, Kam sona Ibaadat samajhte hai, Aur logo se kam milna Aafiyat samajhte hai.

(3) Auliya Allāh Saadgi aur Faqr pasand farmaate hain. Wo Tawakkal aur Qana’at waale hote hain aur har haal me ALLĀH ka Shukr aur Sabr karte hain.
Wo kisi makhlooq ke mohtaaj nahi hote.
Hamesha sirf ALLĀH ta’ala se maangte hain aur logo ko ata karte rehte hain.
Aur ALLĀH ki ata par raazi rehte hain.

Unhe na dunyaawi cheezo ya logo ka khauf hota hai aur na in cheezo ki laalach hoti hai aur na dunyaawi nuqsaan ka ranj o gham hota hai.

(4) ALLĀH ta’ala unhe itna ilm ata farmaata hai ki jis se wo Halaal wa Haraam aur Jaa’iz wa Na-jaa’iz ki pehchaan rakhte hain aur hamesha haraam wa na-jaa’iz se bachte hai.

(5) ALLĀH ta’ala un ke zariye logo ko hidaayat ata farmata hai aur wo logo ki islaah karte hain. Kaafiro ko Musalman banaata hai aur Gunaahgaaro ko Nek banata hai aur Mo’mino ko Wali banaata hai.
Wo ALLĀH ke ata kiye gaye ilm wa hikmat se aur apne amal aur naseehat se islaam ki isha’at aur hifaazat karte hain.

(6) ALLĀH ta’ala un ke waseele se humari duaen jaldi qubool farmaata hai aur hamare liye behtar hai wo ata farmata hai aur jo un se madad ke liye Iṡtegasah karte hain un ko un ke liye jo behtar hai wo ALLĀH se ata farmate hain.
ALLĀH ta’ala unhe Quwwat ata farmaata hai ke jab koi un se nisbat rakhne waala un ko madad ke liye pukaarta hai ya dil me yaad karta hai wo qareeb ho ya door Auliya Allāh us ki madad farmaate hain. Isi tarah baad e wisaal bhi wo madad farmaate hain.
Un ki dua me aisa aṡar hota hai ki wo jis ke liye dua e khair karte hain ALLĀH ta’ala use khair o barkat ata farmaata hai.

(7) Is ke ilaawa un me Haya, Adab, Tahaarat, Saadgi, Halaal rizq, Sadaaqat, Amaanatdaari, Husn e akhlaaq, Husn e Sulook wa kirdaar, Khush-mizaaji, Narmi, Sakhaawat, Shafaqat, Humdardi, Iṡaar, Tawaazo aur Sila rahmi jaisi khaslaten maujood hoti hain.

Jis mo’min me 3 khaslaten ek saath jama hoti hai wo ALLĀH ka wali hota hai:
Samundar jaisi Sakhaawat, Sooraj jaisi Shafaqat aur Zameen jaisi tawaazo.

Ya’ani tamaam ke liye un ka faiz aur yaksaan hota hai aur sab ko kuchh na kuchh ata karte rehte hain.
Wo logo se sirf ALLĀH ke liye mohabbat karte hain.

(8) Wo ALLĀH ke hukm se islaam ki isha’at wa hifazat ke liye Karaamat zaahir karte hain aur Ghaib ki baaten bataate hain.
Magar Karaamat zaahir karna zaroori nahi. Balke un ki sab se badi karaamat yeh hoti hai ki wo har amal shariat e islaam ke mutaabiq karte hain. Sahi ilm, Shariat ki paabandi, Taqwa wa Istiqaamat aur Saadgi wa Husn e Akhlaaq hi Wali Allāh ki nishaani hai.
ALLĀH jise apna Wali banaata hai woh wali banne ke baad hamesha gunaaho se bachta hai aur dunya ki mohabbat aur khwaahishaat se bhi parhez karta hai.
Aur jab wo koi karaamat zaahir karte hain tab bhi us par ghuroor nahi karte aur yehi kehte hain ke yeh to mere Rab ke fazl o karam se hua hai.

(9) ALLĀH ki rahmat se unhe Maut ki koi sakhti ya pareshaani mehsoos nahi karni padti.
Aur Qabr me bhi unhe Jannat ki bahaaren aur Noor ka in’aam ata farmaata hai.
ALLĀH ta’ala un ki maghfirat farma deta hai.

(10) ALLĀH ta’ala ne apne muqarrab Auliya ko wisaal ke baad bhi Aalam e baqa me zindagi ata farmai hai.
Sirf un ki dunyawi zindagi puri hoti hai, Lekin wo baad e wisaal kafan me bhi zinda hain, Janaaze me bhi zinda hain aur un ke mazaar me bhi zinda hain aur un ki ukhrawi zindagi jaari hai.

Aur wo wisaal ke baad bhi ALLĀH ta’ala ke muqarrab rehte hain aur un ka martaba aur charcha hamesha buland rehta hai aur wisaal ke baad bhi un ke kamalaat aur faiz wa tasarruf jaari rehte hain aur ALLĀH ta’ala un ke waseele se hamari dua qubool farmaata hai.
Wo apne mazaar par aane waalo ke Salaam ko sunkar un ke jawaab bhi dete hain.
(Aam insaan un ke jawaab ko nahi sun sakte, Sirf dusre Auliya Allāh hi sun sakte hain.)

(11) Roz e Mehshar Auliya Allāh ke bahot buland martabe aur maqaam honge.
Qayaamat me un ko koi pareshaani ya khauf na hoga. Aur Hisaab, Mizaan aur Pul siraat ke imtihaan un ke liye bilkul aasaan honge.
Aur wo apne mureedo ki aur nisbat rakhne waalo ki Shafa’at karenge aur unhe Jannat me le jaayenge.

******************
Auliya Allāh ke baare me chand khaas baaten :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾

(1) Tamaam Auliya Allāh ko Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ka faiz Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu aur Hazrat Ghauṡ e aazam Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu se muntaqil hokar hi milta hai.

(2) Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ‘Faatih e Wilaayat’ (Opener) aur ‘Khatam-ul-Auliya’ (Seal of the Saints) hain ya’ani Ummate Mohammadi me Wilaayat ka silsila aap se shuru hua.

(3) Tamaam Auliya Allāh me sab se aa’la darja ‘Ashra e mubashshira’ radiy-Allāhu ta’ala anhuma ka hai.
Aur un me sab se aa’la darja Khulfa e Raashideen radiy-Allāhu ta’ala anhuma ka hai.
Ummat e Mustafa me Ghauṡ ka darja sab se pehle Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ko mila. Un ke baad Hazrate Umar Farooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ko aur un ke baad Hazrate Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ko aur un ke baad Hazrate Ali al-Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu ko mila hai.

(4) Hazrat Ghauṡ e aazam Sayyed Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu Sayyed-ul-Auliya aur Peeran e Peer hain. Aap ko ‘Ghauṡiyat e kubra’ ka martaba mila hai.
Aap se pehle ye martaba Hazrat Imaam Sayyed Hasan al-Askari radiy-Allāhu ta’ala anhu ke paas tha.
Aur Ghauṡ e aazam ke baad yeh martaba Hazrat Imaam Sayyed Muhammad al-Mahdi radiy-Allāhu ta’ala anhu ko milega.

(5) Chand Auliya ko ALLĀH ta’ala ne Maqaam e Mehboobiyat ata farmaaya hai : Hazrat Ghauṡ e aazam Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani (Baghdad / Iraq) [Mehboob e Sub’hāni], Hazrat Khwaja Ghareeb nawaaz Sayyed Moeen-ud-deen Hasan Chishti (Ajmer, Rajasthan) [Mehboob e Haq], Hazrat Khwaja Sayyed Nizaam-ud-deen Auliya (Delhi) [Mehboob e Ilāhi], Hazrat Makhdoom Sayyed Ashraf Jahaangeer Simnani rahmatullahi alaihi (Kichhauchha, Uttar Pradesh) [Mehboob e Yazdaani], aur Hazrat Shaah e aalam Sayyed Siraaj-ud-deen Muhammad Suharwardi rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat) [Mehboob e Baari].

(6) Chand Auliya ko ‘Qalandar’ ka khaas martaba mila hai :
Hazrat Shaikh Abdul Azeez Makki urfe Daada Hayaat Meer Qalandar rahmatullāhi alaihi se ‘Qalandar’ ka silsila jaari hai.
Chand mash’hoor Qalandar :
Hazrate Rabia Basri al-Adawiya rahmatullāhi alaihi (Basra / Iraq), Hazrat Khwaja Khizr Roomi rahmatullāhi alaihi, Hazrat Sayyed Uṡmaan urfe Laal Shaahbaaz Qalandar rahmatullāhi alaihi (Sehwan / Pakistan), Hazrat Sharf-ud-deen urfe Bu Ali Shaah Qalandar (Panipat) rahmatullāhi alaihi, Hazrat Haidar Qalandar rahmatullāhi alaihi, Hazrat Sayyed Najm-ud-deen Shaah Qalandar rahmatullāhi alaihi.

(7) Kuchh Auliya Allāh se Tareeqat ke silsile jaari hain.
Tareeqat ke maujooda bade silsile :
[1] Qaadri – Jo Hazrat Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu se jaari hai.
[2] Chishti – Jo Hazrat Khwaja Sharf-ud-deen Abu Is’hāq Shaami Chishti rahmatullāhi aiaihi se jaari hai.
[3] Suharwardi – Jo Hazrat Shaikh Zia-ud-deen Abul Najeeb Abdul Qaahir Suharwardi rahmatullāhi alaihi se jaari hai.
[4] Naqshbandi – Jo Hazrat Khwaja Sayyed Baha-ud-deen Muhammad Naqshband Bukhari rahmatullāhi alaihi se jaari hai.
[5] Rifa’i – Jo Hazrat Shaikh Sayyed Ahmad Kabeer Rifai rahmatullāhi alaihi se jaari hai.
[6] Maghribi – Jo Hazrat Shaikh Abu Madyan Shoaib al-Ansaari al-Maghribi rahmatullāhi alaihi se jaari hai.
[7] Shaazili – Jo Hazrat Imaam Shaikh Sayyed Noor-ud-deen Abul Hasan Ali ash-Shaazili rahmatullāhi alaihi se jaari hai.
[8] Shattaari – Jo Hazrat Shaikh Siraaj-ud-deen Abdullāh Shattaari rahmatullāhi alaihi se jaari hai.

›› Dusre tamaam salaateen in silsile ki shaakhen (Sub-orders / Branches) hain.

(8) ›› Kai Auliya pahaado me ya jangalo me posheeda rehkar sirf ibaadat wa riyaazat me masroof rehte hain inhe ‘Rizaal-ul-Ghaib’ kehte hain.

›› Kai Auliya ishqe ilāhi me be-khud rehte hain jinhe ‘Majdoob’ kehte hain.

(9) Har ilaaqe ke Abdaal ki kuchh khaas zimmedaari hoti hai jaise Baarish barsaana, Rizq taqseem karna aur Balaao ko door karna.

**********************
Auliya Allāh ke foyuz o barkaat haasil karne ke 10 tareeqe hain :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾

(1) Bai’at – Peer e tareeqat ka mureed hona.

(2) Ta’azeem – Auliya Allāh aur un se nisbat rakhne waali har cheez ki ta’azeem wa ehtaraam karna.

(3) Sohbat – Wali Allāh ki sohbat me rehna ya un ki mehfil me jaana.

(4) Khidmat – Wali Allāh ki khidmat karte rehna aur un ko Nazraana e aqeedat pesh karte rehna.

(5) Ita’at – Auliya Allāh ki ita’at karna aur un ke farmaan par amal karna.

(6) Itteba (Pairwi) – Auliya Allāh ke dars e amal (Qaul o fail) par amal karna.

(7) Tawassul wa Istighaaṡah – Auliya Allāh ke waseele se ALLĀH ta’ala se dua karna.

(8) Madah wa Zikr e khair – Apni guftagu me, bayaan me ya manqabat me Auliya Allāh ke fazaa’il wa martaba, sirat wa amal, zindagi aur karaamat wagairah ka tazkira karna.

(9) Isaal e ṡawaab – Koi bhi nek kaam karke un ko isaal e ṡawaab karna.

(10) Ziyarat – Auliya Allāh ke mazaar par haazir hona.

***********
›› Auliya Allāh se mohabbat ka izhaar karne ke aur un ke foyuz o barkaat haasil karne ke sirf yehi tareeqe hain aur is ke ilaawa kisi bhi naye tareeqe ko sahi maanne waala naa-daan hai.
Auliya Allāh ke yaum e wisaal ya urs ke mauqe par Naachna gaana bajaana ya Khel tamaasha karne ko Auliya Allāh se mohabbat ki nishaani maanna ye sab naadaani hai.
Aur in sab ko sahi ṡaabit karne ke liye galat daleelen pesh karna ye waqt aur mahenat ko zaaya karna hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Faatih e wilayat Hazrate Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu aur Ghauṡ e aazam Peeran e peer Abdul Qaadir Jeelaani radiy-Allāhu ta’ala anhu ke waseele se
Sab ko hidaayat ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae.
Aur Sab ko Auliya Allāh ka mukammal ishq ata farmae aur un ki bai’at, ta’azeem sohbat wa khidmat, ita’at, itteba (pairwi), tawassul, zikre khair, isaal e ṡawaab aur ziyarat ke zariye un ke foyuz o barkaat haasil karne wala banaye.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

The story of Umar RA and the Bride of Nile

Stories-of-sahabas-1

There was an Egyptian custom whereby the people threw a young girl into the river every year.   Amr ibn al-As  was the appointed governor of the area. When Amr ibn al-As objected to this custom , the People said to him:”O Governor, this Nile of our will not flow otherwise.” He asked, “What do you mean?” They said,“When it is the twelfth of this month, we look for a virgin girl who is still with her parents, and we make a deal with her parents, then we dress her in the finest jewellery and clothes, and throw her into this Nile.” Amr said to them, “This cannot be allowed in Islam, for Islam erases what came before it.” For a while, the Nile did not flow at all, and the people thought of migrating. Then Amr wrote to Umar ibn al-Khattab and told him of that. He wrote back saying, “You have done the right thing. I have sent you a piece of paper in this letter; throw it into the Nile.”

When his letter came, Amr took out the piece of paper, on which was written: “From the slave of Allah and Ameer al-Mumineen to the Nile of the people of Egypt. If the decision of flowing is up to you, then do not flow, for we have no need of you. But if you flow by the command of Allah, the One, the Subduer, Who is the One Who makes you flow, then we ask Allah to make you flow.”

He threw the piece of paper into the Nile and when they woke up on Saturday, they found that Allah had caused the Nile to flow to a depth of sixteen cubits in a single night. Thus Allah put an end to this evil custom of Egyptians.[Al-Bidayah wa an-Nihayah, 7/102-103. Ali at-Tantawi said: We have published it because it is so well known, not because it is saheeh]

Umar RA explained the meaning of tawheed in this piece of paper and stated that the Nile only flowed by the will and decree of Allah. He proved to the people the falseness of their belief, which was deeply rooted in their hearts. Through his wise actions he eradicated this belief from the hearts of the Egyptians [Fann al-Hukm, p.347]

Juma ki Sunnatain

jumma-mubarak-dua

Huzoor Ki Juma Ki Sunnatain:
=>Miswak
=>Ghusal
=>Achacha Libaas
=>Khushbu
=>Surmaa
=> Durood Sharif
=>Namaz Me
Surah-E-Kahaf Ki Tilaawat.

JUMMA Ka Matlab:
J: Jannat ka din
U:Ummide tamam hone ka din
M: Manzile milne ka din
M: Mubarak din
A: Allah ki REHMAT ka din
JUMMA Mubarak

JUMA Ke Din Mujh Par
DUROOD SHARIF Ki Kasrat Kiya Karo
Beshak Meri UMMAT Ka DUROOD
JUMA Ke Din Mujh Par
Pesh Kiya Jata Hai.
[ASSUNUL QUBRA:3]

Jo JUMA Ke Din Ya Raat Me SURAH-DUKH’KHAN Padhega
ALLAH Azzwajal JANNAT Me Uske Liye
1 Ek Ghar Banayega
[Almojamul Kabeer]

Zakat dekr Apne Malo ki Hifazt karo
Sadqe se Apne Bimaro ka Ilaj kiya karo
(Abu Dawood)

Jo Shakhs Susti Ki Wajah se 3 JUM’A Chhod Dega
ALLAH Ta’ala Us Ke DIL Par Mohar Laga Dega
(Abu Dawood Jild:1 Safa:393 Hadees:1052)

Jo JUMA Ke Din Ya Raat Me
SURAH-DUKH’KHAN Padhega
ALLAH Azzwajal JANNAT Me Uske Liye Ek Ghar Banayega.
(Almojamul Kabeer)

Juma ki fazilat Hadith ki roshni mein

juma

1. Al Quran : Eh Imaan walon jab jumaa ke din namaz ke liye azan di jaye to Allah ke zikr ki taraf jaldi se aa jao aur kharid wa farokht chhodh do , tumhare liye yahi baat behtar hai agar tum ilm rakhte ho
Al Quran : Surah Al Jumaa (62) , verse : 9

2. Hazrat Aws bin Aws radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlalhi Wasallam Ne farmaya tumharey tamam dino mein Jumaa ka din sabse afzal hai ki is din Hazarat Aadam Alalhi salam ko paida kiya gaya aur usi din unki rooh qabz ki gayee aur isi din soor phunka jayega aur isi din sab behosh hongey isliye is roz (juma ko) mujh par ziyada se ziyada durud
bheja karo kyunki tumhara durud Parhna mujh par pesh kiya jata hai, logon ne kaha ya Rasoollallah SallallahuAlalhi Wasallam Hamara Durud Parhna Aap par kis tarah se pesh hoga jabki Aap to Mitti ho gaye hongey,to Aap SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya Allah taala ne Anbiya karam ke Jism ko Mititi par haram kar diya hai.
SunanAbuDawud, Vol 1,1035 ( Sahih)

3. Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Jumaa ka din aata hai to farishtey masjid ke darwazey par aaney walon ka naam likhtey hain sabse pahley aane wala oont(camel) ki qurbani dene waley ki tarah likha jata hai, uskey baad aaney wala gaay (cow) ki Qurbani deney waley ki tarah phir maindey (sheep) ki Qurbani ka sawab milta hai , uskey baad murgi(chicken) ka, uskey baad andey(egg) ka lekin jab imam (khutba
dene ke liye) bahar aa jata hai to ye farishtey apney daftar band kar dete hain aur khutba sunney mein mashgul ho jatey hain.
Sahih Bukhari, Vol 2, #929

4. Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisney jumaa ke din ghusal kiya aur khub paki hasil ki aur Tel (oil) ya khushbu istemal ki phir jumaa ke liye chala aur Do aadmiyon ke beech mein na ghusa aur jitni uski kismat mein thi namaz Parhi phir jab Imam bahar aaya aur khutba shuru kiya to khamosh ho gaya,uskey is jumaa se guzrey (past) jumaa tak ke tamam gunaah baksh diye jayengey.
Sahih Bukhari, Vol 2, 910

5. Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne farmaya ye din (jumaa ) Eid ka din hai jo Allah ne musalmano ko ata farmaya hai, isliye jo jumaaa ke liye aaye to ghusal kar le aur khushbu
mil jaye to laga le aur tum par miswak bhi hai
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1098-Hasan

6. Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apney minbar par se irshaad farmaya Logon ko Namaz jumaa tark karney (chhoDh deney) se baaz rahna chahiye nahi to Allah taala unkey Dilon par Muhar laga dega phir wo Ghafeeleen mein ho jayengey
Sunan An Nasai, Vol 1, # 1373 (Sahih)

7. Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jab koi jumaa ke din aaye aur imam khutba ke liye bahar aa gaya ho to bhi 2 rakaat padh le.
Sahih Muslim, Vol 2, 2022

8. Hazrat Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh mujh par Ek martaba Durud
bhejega to Allah subhanahu us par 10 martaba rahmat bhejega aur uskey 10 gunaah maaf hongey aur 10 darjaat buland hongey
Sunan An Nasaii, Vol1, No. 1300 ( Sahih)

9. Abu seed khudri radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu Alaihi wasslkam ne farmaya Jo (Musalman) Juma ke din Surah Al-Kahaf ki tilawat kare to uske liye is juma se agle juma tak ek noor chamakta rahega
Mustadrak Hakim 3392-Sahih
Sahih Al jamee 647