KHAUF-A-QAYAMAT

12313981_637512633053130_5010007281226950726_n

HIQAYAT:-
**********
Ek Bar Hazrat Imaam Aazam Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ka Be-Khabri May Ek Ladke Ke Pau Per Pau Pad Gaya! Ladke Ne Kaha, Aye Shaikh! Qayamat Ke Din Ke Badle Se Nahi Darte? Hazrat Imaam Ne Yeh Suna To Aap Per Gashi Taari (Be-Hoshi Ya Chakker Aana) Hogayi! Jab Ifaka (Be-Hoshi Se Sambhle) Hua To Farmaya Ki Mera Yeh Khayaal Hain Ki Yeh Kalima Use Talkeen Hua Hain!

(Jawahirul Bayaan Pg-69)

********************************
SABAK:-
********
Imaam Sahab Alaihir-Rehmaan Ba-Wajudh Itne Bade Imaam Aur Muttaki Hone Ke Qayamat Ke Badle Se Darte Hain Fir Kis Qadr Gaflat Hain Hum Logon May Ki Sir Se Pau Tak Gunahgar Hone Ke Ba-Wajudh Qayamat Ke Din Ka Hame Koi Ehsaas Hi Nahi! Imaam Sahab Se Be-Khabri Ke Aalam May Ek Ladke Ka Pau Kuchla Gaya To Aap Be-Hosh Hogaye! Magar Hum Jaan-Boojker Bhi Sekdon Zulm Karte Hain Magar Kuch Parwah Nahi Karte!

BEWA KI GAI

12316364_734328143364725_3387132900989035467_n-296x300

HIQAYAT:-
*********
Sultan Malik Shah Saljuki Ek Martaba Isfahaan Ke Jangalon May Shikaar Khel Raha Tha! Ittefaqan Usi Dauraan Ek Gaon May Uska Kayaam Hua! Shahi Gulamon Ne Ek Gai Dekhi Aur Lawaris Samajhker Zabah. Karke Kha Gaye! Wo Gai Ek Garib Bewa Ki Thi, Jiske 3 Chote-Chote Bacche Us Gai Ke Dudh Se Parwarish Pa Rahe The! Jab Bewa Ko Is Baat Ka Pata Chala To Wo Subah Savere Hi Jafdh Rudh Ke Pool Per, Jo Isfahaan Ke Karib Hain, Aa Khadi Hui! Itne May Sultan Ki Sawari Ka Juloos Us Pool Per Se Gujra! Budiya Be-Khaufi Se Sultan Ki Sawari Ke Paas Pahuchi Aur Nihayat Be-Baaki Se Apni Dastaan Sunane Lagi!
O Alp Arsalaan Ke Farzandh! Tu Mera Insaaf Yahan Jafdh Rudh Ke Pool Per Karega Ya Qayamat Ke Pulsiraat Per? Jo Jagah Pasand Ho Ikhtiyar Kerlen! Khuda-Taras Sultan Bewa Ki Fariyaad Se Kaanp Utha Aur Be-Ikhtiyar Ghode Se Uter Pada Aur Bola-
Badi Bi! Mujhe Pulsiraat Ki Taab Nahi! Main Tumahra Insaaf Karne Keliye Is Pool Per Taiyyar Hoon! Karib Aaker Apna Haal Bayaan Karo!
Bewa Aage Badi Aur Apni Saari Dastaan Keh Daali! Sultan Sab Haal Sunker Bola, Main Tumahri Gai Ke Badle 70 Gai Dene Ke Liye Taiyyar Hoon Agar Tum Raazi Hojao!
Bewa Aurat Ko Aur Kya Chahiye Tha! Usne Fauran Razamandi Jaahir Ki Aur Sultan Use Har Tarah Khush Karke Rawana Hua!

(Tarikh-A-Islam Pg-134)

*********************************
SABAK:-
********
Qayamat Ke Roz Ki Saza Se Darte Rehna Chahiye, Wahan Har Baat Ka Jawab Dena Padega! Wo Log Bade Hi Aakabat-Andesh Aur Dana Hain Jo Qayamat Ki Baaz-Purs Se Bachne Keliye Yahin Intezaam Kerlete Hain! Mazlumon Ki Dadar-Pursi Karke Apni Aakabat (Aakhirat) Acchi Kerlete Hain! Yeh Bhi Malum Hua Ki Nek Dil Haakim Kisi Per Zulm Wa Sitam Nahi Hone Dete!

 

4 KISM KE AADMI

HADEES:-
*********
Hazrat Khaleel Bin Ahmed Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ka Qaul Hain Ki 4 Kism Ke Aadmi Hain-
Ek Wo Jo Jaanta Hain Aur Yeh Bhi Jaanta Hain Ki Wo Ilm Rakhta Hain, Wo Aalim Hain, Uski Itteba Karo,
Dusra Wo Jo Ilm Rakhta Hain Magar Use Malum Nahi Ki Wo Ilm Rakhta Hain, Wo Soya Hua Hain, Use Jagao,
Tisra Wo Jo Nahi Jaanta Aur Wo Yeh Samajhta Hain Ki Wo Kuch Nahi Jaanta, Wo Rehnumayi Chahne Wala Hain! Uski Rehnumayi Karo,
Chautha Wo Jo Nahi Jaanta Aur Samajhta Yeh Hain Ki Wo Bahoat Kuch Jaanta Hain, Wo Jaahil Hain, Usse Dur Raho!

Hazrat Sufiyan Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ka Qaul Hain Ki Ilm Amal Se Bolta Hain, Agar Insaan Amal Kare To Sahi Warna Ilm Koonch Kar Jata Hain!

Hazrat Ibne Mubarak Radi-Allahu-Ta’aala Anhu Ka Qaul Hain Ki Aadmi Jabtak Ilm Ki Talaash May Rehta Hain Wo Aalim Hain! Aur Zyohi Wo Aalim Samajhne Lagta Hain, Jihaalat Ki Taarikhiyon May Chala Jata Hain!

Kisi Shayer Ne Kya Khoob Kaha Hain-

Mujhe Hidayat Ke Badle Jahaalat Kharid Ne Wale Per Taajjub Hua,
Aur Jo Deen Ke Badle Duniya Kharidta Hain Wo Usse Zyada Taajjub-Khez Baat Karta Hain!

(Mukashfatul Kulub, Pg-477)

Sood / Byaz / Interest

money-768x495

Sood/byaz ka lena ek bahut bada gunah hai.
Allah quran mein farmata hai.
“Jo log sood khate hain, wo Qayamat ke din us shakhs ki tarah uthenge Jinhe shaitan ne lipat kar deewana bana liya ho, ye haalat unki is wajah se hogi ki unhone kaha tha ki kharid wa farokht (kharidna bechna) bhi sood ki tarah hai, jabki Allah subhanahu ne kharid aur farokht ko halal qarar diya hai aur sood ko haram, phir
jisko uske Rab ki naseehat pahunchi aur wo (sood lene se) baaz aa gaya to wo jo kuch pahle le chuka hai wo usi ka hai aur uska maamla Allah ke supurd hai lekin agar wo phir bhi sood leta rahta hai to ye log jahannami hain, ye ismein hamesha rahanergey:
{Al Quran, Surah Baqara (2), verse 275}

Hazrat Muhammad (Sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya –
Sood ke 70 gunaah hain aur sabse halka gunaah aisa hai jaise koi apni maa se zina karta hai
{Sunan ibn Majah, Vol2, 431-Hasan}

Bhaiyo-bahno, islam mein sirf sood lena hi haram nahi hai, balki sood dena, dilwana, likhna, beech waani karna, sood ke liye help karna bhi gunah hai.

Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne sood khane wale, khilane wale, iski gawahii dene wale, aur isko likhne wale, sab par laanat farmaee hai
{Sunan ibn Majah, Vol 2, 434- Hasan}

Allah hum sabko sood/byaz ke gunah se bachae.

3 din se zyada baat band na rakho

12063290_464221893749390_3436267396861406424_n

Hazrat Muhammed (Sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya : Kisi insan ke liye ye sahi nahi hai ke apno se 3 din se zyada rishta tod kar rakhe, Jis insan ne 3 din se zyada aesa kiya aur agar wo mar gaya to jahannam mein jaega
– Abu Daud

Narazgi Khatam Karne Ke Liye Aage Hokar Salam kar Lo :
================================================
Hazrat Muhammed (Sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya : Jiska mafhoom ye hai ke – Agar 3 din rishta tode rakha to unme se koi aage hokar salam kar le, agar dusre ne salam ka jawab de diya to sawab mein dono hi shaamil ho gae, aur agar dusre ne salam ka jawab na diya to wo khud gunahgar hua aur salam karne wala rishte todne waale gunah se bahar nikal gaya, bach gaya. lekin jisne jawab na diya wo shaamil raha.
– Abu Daud

Ek hadees ka mafhoom hai ke agar 2 log aapas mein baat band rakhte hain to Allah ke pass jab hafte mein unki nekiya pesh ki jaati hain, to Allah us par dhyan nahi deta aur tab tak nahi deta jab tak dono aaps mein sulah na kar len.

Dosto, Lekin aaj hum dekhte hain ke kai kai saal log ek dusre se naraz rahte hain, balke kai to naraz rahte rahte hi mar jaate hain. Galti bhale hi kisi ki bhi ho hum pahal kar len, jo pahal karega usko zyada sawab hai, agar kuch log ye soche ke agar hum aage hokar gae to hamari naak neechi ho jaegi, ya log humko galat samjhenge, to is tarah ki baate na socho, kyonke duniya ki takleef bahut chhoti aur thodi hai, aakherat ki takleef bahut badi aur zyada hai.

Allah hum sabko amal karne ki taufik ata kare, aameen.