MAWLID-IN-NABIYY SALLALLAHU ‘ALAYHI WA-AALIHI WA-SALLAM According to Hadith Part 05

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 21

          “Hazrat Anas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayaan Karte Hain Ki Ahle Habasha Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Saamne (Apne Aalaate Harb Ke Saath) Naach Rahe Aur Raqs Kar Rahe They Aur Yeh Kehte  Jaate They : مُحَمَّدٌ عَبْدٌ صَالِحٌ ﴾Muhammad صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم (Allah Ta’ala Ke) Barguzida Bande Hain﴿. Pas Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Daryaaft Farmaya : Yeh Kya Keh Rahe Hain? Sahaba-e Kiram رِضْوَانُ اللهِ تَعَالىٰ عَلَيْهِمْ اَجْمَعِيْنَ Ne ‘Arz Kiya : Yeh Keh Rahe Hain : مُحَمَّدٌ عَبْدٌ صَالِحٌ ﴾Muhammad صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم (Allah Ta’ala Ke) Barguzida Bande Hain﴿.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Maqdisi Ne Riwaayat Kiya Hai, Aur Is Ke Sanad Sahih Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/152, Raqm-12562,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 05/60, Raqm-1680,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/59, Raqm-21.]

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 22

          “Hazrat Anas Bin Malik رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Hai Ki Ahle Habasha Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Saamne Raqs Kar Rahe They Aur (Apni Zabaan-o Lehje Me) Kuchh Keh Rahe They Jis Ka Ma’na-o Mafhoom Waazeh Nahin Tha, To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Daryaaft Farmaya : Yeh Kya Keh Rahe Hain? Logo’n Ne ‘Arz Kiya :مُحَمَّدٌ عَبْدٌ صَالِحٌ ﴾Muhammad صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم (Allah Ta’ala Ke) Barguzida Bande Hain﴿.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Hibban Aur Maqdisi Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Ibn Hibban Fi As-Sahih, 13/179, Raqm-5870,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 05/60, Raqm-1681,

‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 02/444,

Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/493, Raqm-2012,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/59_ 60, Raqm-22.]

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 23

          “Hazrat Anas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne E’laane Nubuwwat Ke Baa’d Apna Aqiqa Kiya.”

Ise Imam Bayhaqi Aur Maqdisi Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 09/300, Raqm-19056,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 05/205, Raqm-1833,

Nawawi Fi Tahdhib-ul-Asma’ Wa Al-Lughat, 02/557, Raqm-962,

Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 09/595,

Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 05/340, Raqm-661,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 16/32, Raqm-3523,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/60_61, Raqm-23.]

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 24

          “Hazrat Anas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Riwaayat Karte Hain : Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Baa’d Az Be’that Apna ‘Aqiqa Kiya.”

Ise Imam Tabarani Aur Maqdisi Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/298, Raqm-994,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 05/205, Raqm-1832,

Ru’yani Fi Al-Musnad, 02/386, Raqm-1371,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/61, Raqm-24.]

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 25

          “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Bayaan Karte Hain : Jab Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadat Hu’i To Hazrat Abd-ul-Muttalib رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُNe Aap Kee Taraf Se Ek Mendha Dhab’h Kar Ke ‘Aqiqa Kiya.”

Ise Imam Ibn ‘Asakir Ne Riwaayat Kiya Hai.

“Imam Suyooti Ne Farmaya : Yawme Milad-un-Nabi صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Manaane Ke Hawaala Se Ek Aur Daleel Mujh Par Zaahir Hu’i Hai, Jise Imam Bayhaqi Ne Hazrat Anas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Naqal Kiya Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne E’laane Nubuwwat Ke Baa’d Khud Apna ‘Aqiqa Kiya Baa Wujood Is Ke Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Daada ‘Abd-ul-Muttalib Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Paidaa’ish Ke Saatwe’n Roz Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka ‘Aqiqa Kar Chuke They Aur ‘Aqiqa Do-02 Baar Nahin Kiya Jaata. Pas Yeh Waaqe’a Isi Par Mahmool Kiya Jaaega Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Apne Aap Ko Allah Kee Taraf Se Rahmat-ul-Lil-Aalamin Banaae Jaane Aur Apni Ummat Ke Mushrif Hone Kee Waj’h Se Apni Wilaadat Kee Khushi Ke Izhaar Ke Liye Khud ‘Aqiqa Kiya. Isi Tarah Hamaare Liye Mustahab Hai Ki Hum Bhi Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Yawme Wilaadat Par Khushi Ka Izhaar Kare’n Aur Khaana Khilaaein Aur Deegar ‘Ibaadaat Baja Laaein Aur Khushiyo’n Ka Izhaar Kare’n.”(01)

[Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Madinat Dimashq, 03/32,

Halabi Fi Insan-ul-‘Uyoon Fi Sirat-il-Amin-il-Ma’moon Aw As-Sirat-ul-Halabiyyah, 01/128,

Suyooti Fi Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib (Al-Khasa’is Al-Kubra), 01/134.

(01) Suyooti Fi Husn Al-Maqsad Fi ‘Amal Al-Mawlid,/64, 65,

Suyooti Fi Al-Hawi Li-’l-Fatawi Fi Al-Fiqh Wa Uloom Al-Tafsir Wa Al-Hadith Wa Al-Usool Wa Al-Nahw Wa Al-I’rab Wa Sa’ir Al-Funun,/206,

Salihi Fi Subul Al-Huda Wa Al-Rashad Fi Sirat Khayr Al-‘Ibad, 01/367,

Zarqani Fi Sharh Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 01/263_264,

Nab’hani Fi Hujjatu Allahi ‘Ala Al-‘Alamin Fi Mu’jizat Sayyid-il-Mursalin,/237,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/61_62, Raqm-25.]

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s