
Imam Kamaaluddin abi saalim Muhammed Bin Talha Halabi shafai rehmat ullahi alaih apni kitaab “Addurul Munazzam” me likhte hai’n ke ek martabah ameer ul momeneen sayyiduna imam Ali alaihissalam ne ek taweel khutba irshaad farmaya to ek shaqs Sawaid bin Nofal ne uth kar arz kiya aye ameer ul momeneen jis baab ka aap tazkirah farmarahe hai’n kya aap usse aashna bhi hai’n?
Toh ameer ul momeneen imam Ali ghazabnaak hogaye aur usko mutawajje kar ke farmaya:
Tujh ko rone waaliya’n rooye’n peete’n aur tujh par masaib ka nuzool ho. Aye buzdil ke bete baiyat todhne waale aur jhutlaane waale khabees anqareeb taweel arsa khatam hojayega aur tujh ko ghaul e biyaban halaak karde’nge.
Aur phir ameer ul momeneen ne apne mutallikh ye kalimaat irshaad farmaye:
Mai’n raazo’n ka raaz hu’n, main anwaar ka darakht hun, main aasmano’n ka rehnuma hun, main masajjat ka anees hun, main mikayil ka safi hun, main badshahon ka qaaid hun, main aasmano’n ka shahbaaz hun, main sirahat ka takht hun, main loh ki hifazat karne waala hun, main taariki ka qutub hun, main bait e mamoor hun, main baadalo’n ka abrnesaa’n hun, main ghayahab ka noor hun, main lauhau’n ki hifazat karne waala hun, main hajaj ki kashti hun, main hajaj ki hujjat hun, main makhlookh ki islah karne waala hun, main haqaaiq ko qaayim karne waala hun, main taweel ko bayaan karne waala hun, main injeel ka mufassir hun, main kisa waalo’n ka paanchwa hun, main nisa ke liye tabsan hun, main ulfat waalo’n ke liye ulfat hun, main aeraaf waalo’n se ek hun, main sirr e ibrahim hun, main asdaha e kaleem hun, main wali ul auliya hun main ambiya ka waaris hun, main zaboor ka naghma hun, main ghafoor ka parda hun, main jaleel ki safat hun, main injeel ki iliya’a hun, main shadeed ul qawa hun, main haamil e liwa hun, main mahshar ka imam hun, main saaqi e kausar hun, main qaasim e jana aur naar taqseem karne waala hun, main deen ka baadshah hun main imam ul muttaqeen hun, main waaris e mukhtaar hun, main kamzooro’n ka madadgaar hun, main kuffar ki jadh ukhaadne waala hun, main groho’n ko mutafarriq karne waala hun, main qeemti joohar hun, main baab e maadina hun, main mufassir e baraheen hun, main zaahir taur par mushkilaat ko hal karne waala hun, main noon wal qalam hun, main taariki ka charagh hun, main mataa ka sawaal hun, main mamdooh e hal e ataa hun, main bunyaad e azeem hun,main siraat e mustaqeem hun, main asdaaf ka mooti hun, main qaaf ka pahad hun, main huroof ka raaz hun, main zuroof ka noor hun, main jabl e raasiq hun, main buland parcham hun, main ghaibo’n ki kunji hun, main dilo’n ka charagh hun, main noor ul arwah hun, main mukarrar hamla aawar hoone waala sawaar hun, main madadgaaron ki madad hun, main nangi talwaar hun, main maqtool e shaheed hun, main quran jama karne waala hun, main bayaan ki diwaar hun, main baradar e rasool hun, main zooj e batool hun, main islam ka sutoon hun, main sirul asnaam hun, main saahib e izn hun, main jinn ka qaatil hun, main saalih ul momeen hun, main falah paane waalo’n ka imam hun, main saqawat karne waalo’n ka imam hun, main aseaar e nubuwwat ki kaan hun, main awwaleen ki khabro’n se aagah karne waala hun, main aaqireen ko pesh aane waale waaqiye ki khabar dene waala hun, main qutub ul aqtaab hun, main habeeb ul ahbaab hun, main mahdi e asr hun, main esa e zaman hun, khuda ki qasam main wajhullah hun, khuda ki qasam main asadullah hun, main sayyid ul arab hun, main musibato’n ko door karne waala hun, main wo hun jise la fatah kaha gaya hai, main wo hun jise rasool e khuda sallallahu alaihi wa aalihi wa sallam ne farmaya hai tu mujhe aise hai jaise moosa ke liye haroon, Main banu ghaalib ka sher hun, “MAIN ALI IBNE ABI TAALIB HUN”.
(“Addurrul Munazzam”
Muallif: Allama Kamaaluddin Shafai. Ma’a Yanabe UI Mawadda jild duwwam 406-407)
(Risala e Khilafat e Batiniyah,pg. 34-36)