
Gham e Hussain AlahisSalam aur Hazrat Makhdoom Simnani Rehmatullah alaih



Fazail-e-Ali (a.s) Ba Zubaan-e-Rasool-e-Akram (s.a.w):
Ek Taweel Riwayat Ka Kuch Hissa –
Hazrat Rasoolallah (s.a.w) ne Sayyeda Fatima Zahra (s.a) se farmaya,
“Tumhare shohar Ali (a.s) jannat key aik naaqey per sawaar hongey.
Janab Fatima Zahra Zahra (s.a) ne arz kiya Babajaan wo naaqa kaisa hoga?
Aap (s.a.w) ne farmaya beti iss naaqey ki takhleeq noor se hogi isskay pehlu makhmal ki tarha naram hongey usska rang zard, sar surkh, ankhon kay halqey siyah, isskay pair soney kay, muhar taaza motiyon ki, ankhen yaqoot ki, pet sabz barjar ka, us naqey per aik safaed motiyon ka qabah hoga, jo iss qadar shafaf hoga kay isska zaahir baatin se or batin usskey zaahir se numaaya hoga, ye Allah key naqon mein se aik naaqa hoga, isskay satar dukan hongey, or aik dukan se dosrey dukan tak satar hazaar Malaik hongey joh tarha tarah ki zubaanon mein Allah-taa-aala ki tasbi karte hongey or jiss waqt Ali-ibn-Abi-Talib (a.s) iss naaqey par sawaar hokar Malaika ki safon mein say guzrengey toh Malaika kahengey kay dekho yeh Banda Allah-taa-aala ke nazdeeq kitna mohtaram hai aisa maloom hota hai kay yeh koi Nabi yaa Mursal hai yaa koi Malaik hai yaa Hamil-e-Arsh hai yaa Hamil-e-Kursi hai,
Uss waqt arsh kay neechy se aawaaz aayengi aye logon suno,
Yeh Shakhs na koi Nabi Mursal hai na koi Malaik balkey yeh Ali-ibn-Abi-Talib (a.s) hai,
Yeh awaaz sab suney gey or phir har chaar jaanib se Khilqat-e-Khudaa inhen dekhney kay liye toot padey gi,
Or Ali (a.s) ko dekh kar kahen gay
“Inna-lillaah-wa-inna-alah-e-raaj hun”
Hum duniya mein inke mutaaliq Hadees suntey they magar tasdeeq nahi karte they log hamen nasihat karte they magar hum qabool nahi kartey they.
Or joh Hazrat Ali (a.s) kay dost (pyaar karney waley) hongey woh iss arwah wa Saaqi Ali (a.s) kay daaman ko tham lengey,
Aye Fatima (s.a) Ali (a.s) kay dost iss tarha jannat payengey.”
Reference:
(Bihar-ul-Anwar Jild 3, page 174)

Ashrae Muharram Aor Sarkar Tajul Auliya (q.s.a.)
Maulana zaheen shah taji apni kitab “Tajul Auliya” me Sarkar Tajul Auliya Hazrat Sayyed Muhammad Baba Tajuddin (q.s.a. Nagpuri) ke ahwal yun bayan karte hai ke Baba Huzur par mahe muharramul Haram me gham ki kaifiyat rahti, aap majlise zikre Imam Husain padhne ka hukm dete (jis me marsiya khawani wa waqeae karbala ka tazkira kiya jata) aap in dino hara jubba zebe tan farmate yaume aashura yani 10 muharramul haram ko karbala (nagpur me maujud imam bargah) Tashreef le jate aor farmate : ke “Babu yaha aaya karte”.
Hayate zahiri ke aakhri sal jab aap karbala tashrif le ja rahe the to bagghi me sawar the samne ek alam bardar chal raha tha aapne us alam bardar se wo alam le liya aor aap par ek kaifiyat warid hui aor aapne aalame jalal me buland aawaz se teen martaba farmaya:
Imame Dee’n Sultane Madina Shaho’n Ke Sardar Husain
Sarkar Tajul Auliya ke muhibbin aapke tariqae mubarka par chalte huwe in ayyam me zikre Imam Hussain Alaihissalam ki majalis munaqid karte hai aor hara libas pahante hai aor yaume aashura ko karbala jate hai.
Darbare Sarkar Tajul Auliya me bhi ashrae muharram me majalise zikre Imam Husain ka ehtemam kiya jata hai.

Wilayate Ali Ke Baghair Na Koi Abdaal Ban Saka Aur Na Koi Qutub Ho Saka. Wilayate Ali Ke Baghair Na Kisi Ko Ghauthiyyat Mili Aur Na Kisi Ko Wilaayat, Hazrat Ghauth-ul-A’zam Jo Ghauth Bane Woh Bhi Wilayate Ali Ke Sadqe Me Bane, Imamat Ghauthiyyat, Qutbiyyat, Abdaaliyyat Sab Kuchh Wilaayate Ali Hai, Is Liye Aaqa-E-Ka’enat SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Farmaya.
“Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Mein Ne RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Suna Aap SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Farmaya Jis Ne Ali Ko Gaali Dee Us Ne Mujh Ko Gaali Dee.”
–
[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/323, Hadith-26791,
2_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/121.]
Is Se Badh Kar Doo’iy Kee Nafi Kya Hogi Aur Ab Is Se Badh Kar Apna’iyyat Ka Izhaar Kya Hoga Ki Taajdaare Ka’inaat SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Farmaya Jis Ne Ali Ko Gaali Dee Woh Ali Ko Nahin Mujhe Dee.
Tabarani Aur Bazzar Me Hazrat Salman Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Farmaya :
“Ali Tujh Se Mahabbat Karne Waala Mera Muhibb Hai Aur Tujh Se Bughz Rakhne Waala Mujh Se Bughz Rakhne Waala Hai.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/239, Hadith-6097.]
Hadithe Paak Apni Tashreeh Aap Hai. Oopar Hum Ne Is Hawaale Se Sayyidina Ali Ke Jo Faza’il Bayaan Kiye Woh Mahz Iatish’haad Hain Warna Hazrat AliKo Rabbe Ka’enat Aur Rasoole Ka’enat Ne Jarr Fazilatein Ata Kee Un Ka Ihaata Mumkin Nahin.
–
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/55_56.]
〰〰
Join Karen