
Baab-e-Wilayat me Shah Waliullah Muhaddis Dehlavi Rehmatullah Alaih farmate hai:
- “Is Ummate Marhumah me (Faathe Awwal) Wilayat ka
darwaza sabse pehle kholne waale fard Hazrat Ali Al
Murtaza Alaihisalam hain.” - “Hazrat Ameer(Leader) Alaihisalam ka Raaz e Wilayat Aapki Aulaad e Kiram Alaihisalam me Sarayat kargaya.”
- “Chunanche Auliya-e-Ummat me se ek bhi aisa nhi jo kisi na kisi tour par Hazrat Ali Alaihisalam ke Khaandani Imamat se (Iqtesaab-e-Wilayat ke liye) wabasta na ho”
- “Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki ummat me pehla fard jo wilayat ke (sabse a’alaa wa aqwaa tareeq) baab-e-jazab ka faateh bana aur jisne is maqami bulandi
par (pehla) qadam rakha Ameerul Momineen Hazrat Ali Alaihisalam ki Zaat-e-Girami hai, isi wajah roohaniyat wa wilayat ke mukhtalif tareeqon ke salasil Aap he ki taraf ruju karte hain” - “Ab ummat me jise bhi Bargaahe Risalat SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se Faiz-e-Wilayat nasib hota hai wo ya to Nisbat-e-Ali Murtaza Alaihisalam se nasib hota hai ya Nisbat-e-Gaus-e-Aazam Jeelani RajiAllahu se,iske bagair
koi bhi shaks Martaba-e-Wilayat par faa’iz nhi ho sakta.”
_
- Shah Waliullah , at -Tafhimat-ul-i lahiyyah (1:103).
- Shah Waliullah, at -Tafhimat -ul -i lahiyyah (1:103)
- Shah Waliullah, at -Tafhimat -ul -i lahiyyah (1:104).
- Shāh Waliullah, Hama‘at (p. 60).
5. Shāh Waliullah, Hama‘at (p. 62).
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ سَيِّدِنَا مُحَمَّد