
Ek momeen Quran se hawala de raha hai padh lena. Lakin fir bhi Maula ali alehisalam samjh me na aye toh. Uske liye bhi shart batayi hai Rasulallah salillaho alehi wasallam ne ali ko samjhne ke liye ilm nahi amma nek hona baap ka ek hona shart hai. Bahrhal aapke Ilm me izafe ke liye Quran ke kuch Surah hai padh lena.
1.)Surah Ar -Ra’ad (43)
“QUL KAFAA BILLAHI SHAHEEDAM BAINEE WA BAINAKUM WA MANN INDAHOO ILMUL KITAB.”
Mere Mohammad teri gawahi ke liye 2 kafi hain ek mai Allah kafi hu ek vo mann (मन) kafi hai jiske pas puri kitab ka ilm hai..
2.)Surah Maryam (87)
“LAA YAMLIKOONASH SHAFA’ATA ILLA MANITTAKHAZA INDAR RAHMAN AHZAA”
Qayamat me tumhe koi nahi bakshwayega bas ek mann (मन) hai jisne teri bakshish ka waada hamse pehle hi le lia..
3.) Surah Ta-ha (108-109):
WA KHASHA’ATIL ASWAATU LIR RAHMAANI YAWMA IZIL LAA TANFA’USH SHAFAA’ATU ILLA MAN AZINA LAHUR RAHMANU WA RADIYA LAHOO QAWLA.
Qayamat me Rehman ki peshi me sabki bolti band hongi, sabki zaban kaanp rahi hongi, bas vo mann (मन) bolenge jiski zaban meri (Allah ki) zaban hogi..
4.)Ayatul Kursi
MAN ZAL LAZEE YASHAFA’U INDAHOO ILLA BI-IZNIH.
Kiski majal hai jo meri (Allah ki) bargah me kisi ki sifarish kare bas vahi bakshwayega jise mene ijazat dedi.
5.)Ar-Rahman (26-27)
KULLU MAN ALAIHA FAAN
WA YAQBAA WAJHU RABBIKA ZUL JALALI WAL IKRAM.
Sare khatm ho jayenge zameen pe, sare fana ho jayenge bas vo Mann (मन) baki rahega jo Allah ka chehra hai.
6.) Al-Hadid (25)
WA LIYA’LAMAL LAAHU MAN YANSURUHOO WA RASULAHOO BILGHAIB.
Ek mann (मन) hai jo parde me chhupkar Allah ke Nabiyo’n ki madad karta hai.
7.)Al-Baqara (207)
WA MINAN NAASI MAI YASHREE NAFSA HUB TIGHAA’A MARZATILLAH.
Ek Mann (मन) hai jo bistar par letke Allah ki marzi kharidta hai.
👇👇
(Mann (मन) jiske pas puri kitab ka ilm hai, Allah se bakshish ka wada le lia, Jiski Zaban Allah ki Zaban hai, jise Allah ne Bakshwane ki ijazat dedi, Jo Allah ka Chehra hai, jo parde me chhupkar Allah ke Nabiyo’n ki madad karta hai, bistar par letke Allah ki marzi kharidta hai.)
Ab bhi MAN (मन) samajh naa aaye to Maidan-e Ghadeer me aaao.
Rasulallah salillaho alehi wasallam ne Farmaaya.
Man (मन) kunto maula. Fahaza aliun maula