
Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Allah Ta’ala Farmata Hai Ki Mera Banda Mere Mut’alliq Jaisa Khayaal Rakhta Hai Mein Us Ke Saath Waisa Hee Maamala Karta Hoo’n.Jab Woh Mera Zikr Karta Hai Mein Us Ke Saath Hota Hoo’n.
Agar Woh Apne Dil Me Mera Zikr (Ya’ni Zikr-E-Khafi) Kare To Mein Bhi (Apni Shaan Ke Laayaq) Apne Dil Me Us Ka Zikr Karta Hoo’n, Aur Agar Woh Jama’at Me Mera Zikr (Ya’ni Zikr-E-Jali) Kare To Mein Us Kee Jama’at Se Behtar Jama’at (Ya’ni Farishton) Me Us Ka Zikr Karta Hoo’n.
Agar Woh Ek Baalisht Mere Nazdeek Aaye To Mein Do² Baazuon Ke Barabar Us Ke Nazdeek Ho Jaata Hoo’n Aur Agar Woh Meri Taraf Chal Kar Aata Hai To Mein Us Ki Taaf Daud Kar Aata Hoo’n.
Muttafaque Alayh
[Bukhari As-Sahih, 06/2694, Raqam-6970,
Muslim As-Sahih,04/2061, 2675,
Tirmidhi As-Sunan, 05/581, Raqam-3603,
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.
Ibn Majah As-Sunan, 04/412, Raqam-7730,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 02/413, 934,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 01/406, Raqam-550,
Al-Minhaj-us-Sawi, Safah-391, 392, Raqam-411.]