Jo Farz namaz padhe bagair so jaya karta hai uska sir paththar se kuchla jayega

Rasool-Allah

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith: Jo Farz namaz padhe bagair so jaya karta hai uska sir paththar se kuchla jayega
————-
✦ Samura bin Jundab Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne khwab bayan karte huye farmaya ki jiska sir paththar se kuchla ja raha tha wo Quran ka hafiz tha magar wo Quran se gafil ho gaya aur Farz namaz padhe bagair so jaya karta tha
Sahih Bukhari, Jild 2, 1143
———–
✦ समुरा बिन जुन्दब रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने ख्वाब बयान करते हुए फरमाया की जिसका सिर पत्थर से कुचला जा रहा था वो क़ुरान का हाफ़िज़ था मगर वो क़ुरान से गाफ़िल हो गया और फ़र्ज़ नमाज़ पढ़े बगैर सो जाया करता था
सही बुखारी, जिल्द 2, 1143
————————–
سمرہ بن جندب رضی اللہ عنہ نے بیان کیا ان سے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے خواب بیان کرتے ہوئے فرمایا کہ جس کا سر پتھر سے کچلا جا رہا تھا وہ قرآن کا حافظ تھا مگر وہ قرآن سے غافل ہو گیا اور فرض نماز پڑھے بغیر سو جایا کرتا تھا

————–
✦ Narrated Samura bin Jundab Radi Allahu Anhu The Prophet (ﷺ) said in his narration of a dream that he saw, “He whose head was being crushed with a stone was one who learnt the Qur’an but never acted on it, and slept ignoring the compulsory prayers.
Sahih Bukhari, Book 21, Hadith 244

PULSIRAAT

subhaanallah-300x300

HIQAYAT:-
***********
Hazrat Umar Bin Abdul Aziz Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ki Ek Baandi (Naukrani) Ne Ek Roz Subah Arz Ki, Amirul Momineen! Aaj Raat Maine Ek Khwab Dekha! Aapne Farmaya, Bayaan Ker! Wo Boli, Maine Dekha Ki Dozak Bhadkayi Gayi Hain! Pulsiraat Usper Rakha Gaya Hain! Baaz Khulfa Ko Farishte Laye Hain! Pehle Khalifa Maarwaan Ko Dekha Ki Farishte Use Laye Hain! Use Hukm Diya Ki Pulsiraat Per Chal! Wo Thodasa Chala Ki Dozak May Gir Gaya! Hazrat Umar Bin Abdul Aziz Bole, Fir Aage Kya Hua? Jaldi Bayaan Karo! Wo Boli, Fir Maarwaan Ke Bete Walid Ko Laya Gaya Wo Bhi Isi Tarah Dozak May Girpada! Aap Be-Chaini Se Bole, Jaldi Kaho Fir Kya Hua? Wo Boli, Ki Fir Ibne Abdul Malik Ko Laye Wo Bhi Isi Tarah Dozak May Girgaya! Aapne Kaha, Fir Kya Dekha? Wo Boli, Fir Aapko Laya Gaya! Baandi Ne Itna Hi Kaha Ki Hazrat Umar Bin Abdul Aziz Ne Ek Naara Maara Aur Be-Hosh Hoker Girpade! Is Dar Se Ki Kahin Mujhe Bhi Isi Tarah Dozak May Girte Hue Na Dekha Gaya Ho! Baandi Ne Cheekhker Kaha, Amirul Momineen! Khuda Ki Kasam! Maine Dekha Ki Aap Salamat Guzar Gaye! Baandi Cheekh-Chilla Rahi Thi Magar Hazrat Umar Abdul Aziz Be-Chaini May Laut-te Aur Hath Pair Maarte The! Kaafi Daer Ke Baad Aapko Hosh Aaya!

(Kimiya-A-Sa-aadat, Pg-496)

*********************************
SABAK:-
********
ALLAH Ke Maqbool Bandon Ke Dil May Aakibat Ka Khauf Rehta Hain, Wo Kabhi Aisa Kaam Nahi Karte Jiska Anjaam Dozak May Girna Ho! Ek Wo Paak Log Bhi The Ki Har Waqt Aakibat Ki Fikr Rehti Thi! Ek Yeh Log Bhi Hain Jo Alal-Ehlaan Kehte Hain Ki-

Aakibat Ki Khaber Khuda Jane,

Ab To Aaraam Se Guzarti Hain!

ALLAH-TA’AALA KI 15 REHMATAIN

allah-wallpaper3

Mah-A-Ramzanul Mubarak May ALLAH-TA’AALA Apne Rozadaron Per 15 Rehmatain Nazil Farmata Hain-
(1)Rizk Zyada Hota Hain,
(2)Maal Wa Zer May Zyadati Hoti Hain,
(3)Jo Khana Khaya Jata Hain Sab Ibadat May Likha Jata Hain,
(4)Kul Aamaal-A-Nek Ka Azr Dugna Hojata Hain,
(5)Kul Farishte Zameen Wa Aasmaan Ke Rozadar Keliye Bakshish Maangte Hain,
(6)Shayateen Bandh Kiye Jate Hain,
(7)Rehmat Ke Darwaze Khushada Hote Hain,
(8)Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain, Aur Dozak Ke Darwaze Bandh Kiye Jate Hain,
(9)Har Raat May 7 Lakh Gunahgar Dozak Se Aazaad Kiye Jate Hain,
(10)Har Juma Ki Raat May Is Qadr Dozaki Dozak Se Aazad Hote Hain Jitne 7 Din May Aazaad Hote Hain Yani 49 Lakh,
11)Aakhari Raat Ramzaan Ko Tamaam Gunah Logon Ke Bakshe Jate Hain,
(12)Har Roz Bahisht Ko Aaraasta Kiya Jata Hain,
(13)Rozadaron Ki Duayen Kabul Hoti Hain,
(14)Rozadaron Ko ALLAH-TA’AALA Ki Khushnudi Haasil Hoti Hain,
(15)Rozadaron Ko ALLAH-TA’AALA Ka Didaar Nasib Hota Hain!

 

NAABINA SAHABI

Rasool-Allah

HIQAYAT:
**********
Huzoor SALLALLAHU-TA’A ALA-ALAIHI-WASA LLAM Ki Khidmat May Ek Naabina Sahabi Haazir Hue Aur Arz Kiya, Ya Rasoolallah! Dua Farma Dijiye Ki Main Accha Hojaoun! Huzoor SALLALLAHU-TA’A ALA-ALAIHI-WASA LLAM Ne Farmaya, Agar Chaho To Yeh Baat Mu-akkhar Kerdo Aur Agar Chaho To Abhi Dua Karoon! Usne Arz Kiya, Ya Rasoolallah! Abhi Dua Farma Dijiye! Huzoor Ne Farmaya, Accha To Yun Karo Wazu Karo Aur 2 Rakat Namaz Padho Aur Yeh Dua Maango-

ILAHI! Main Tujhse Panah Maangta Hoon Aur Teri Taraf Tawajjah Karta Hoon Tere Nabi Mohammad SALLALLAHU-TA’A ALA-ALAIHI-WASA LLAM Ke Wasile Se Jo Meharbani Ke Nabi Hain! Ya ALLAH! Main Huzoor Ke Wasile Se Apne Rab Ki Taraf Apni Is Haajat Ki Tawajjah Karta Hoon Taaki Meri Haajat Rawa Ho!
ILAHI! Ineh Mera Shafi Ker Inki Shafa-at Mere Haq May Kabul Ker!

Chunanache, Us Naabina Sahabi Ne Aisa Hi Kiya! Raawi Kehta Hain Ki Wo Yun Acche Hogaye Jaise Kabhi Naabina The Hi Nahi!

(Ibne Maaza, Pg-100)
(Hashiya Ibne Maaza Safa Mazkur)

*************** *************** **
SABAK:
********
Sahaba-A-Kiraam Musibat Ke Waqt Musibat Se Bachne Keliye Huzoor SALLALLAHU-TA’A ALA-ALAIHI-WASA LLAM Ki Khidmat May Haazir Hua Karte The!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Huzoor SALLALLAHU-TA’A ALA-ALAIHI-WASA LLAM Ka Wasila Aur Huzoor Se Madad Talab Karna, Ya Rasoolallah Ka Naara Lagana Aur Huzoor Ko Harf-A-Nida (Yani Ya Rasoolallah Karke Pukarna) Se Pukaarna Shirk Hargiz Nahi Hain! Balki Huzoor SALLALLAHU-TA’A ALA-ALAIHI-WASA LLAM Ki Apni Taalim Hain! Huzoor Ne Khud Sikhaya Hain Ki Dua Maango To Mere Wasile Se Aur Mujhe Pukaar Kar Maanga Karo!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Huzoor SALLALLAHU-TA’A ALA-ALAIHI-WASA LLAM Ke Saamne Rehker Ya Alag Hoker Ya Dur Rehker Har Haalat May Ya Rasoolallah! Keh Sakte Hain!
Malum Hua Ki Huzoor Ka Wasila Aur Aapse Madad Aur Naara-A-Risalat May Sab Baatain Badi Acchi Aur Dua Kabul Hone Ka Zariya Hain Aur Bayis-A-Barkaat Hain!